Waqeya # 3 : Hazrat Abu Bakar Siddique R.A

Waqeya 

Pyaray Sahaba ? kaa, Apnay nafs ka Muhasba Krtay kamiyaab honay Kaa  …

Hazrat Ayisha r.a farmati hein k,
Mere Baba Hazrat Abu Bakar Sideeq r.a ny apnay duniya sy parada karnay k waqt farmaya, main Umar sy ziada kisi ko dost nai rakhta.
Phir faoran he kaha k
Aey ayisha abhe main ny kia kaha?
Tou main ny in k alfaaz duhra deay

Tou farmaya k ye tou mere moun sy nikal geya, warna mera matlab ye tha k zinda insano mein sy mujhy Umar sy ziada koe shakhs azeez nahi ?


Hadees

Kamiyaaab Huee WO ?, jinhoo nyy nafs Ki lagam khenchy rakhi aur Apnay Mehboob ki Muhabbat payii….

Farmaan e Mustafa S.A.WW? haii :
“Aqal Mand aur samjhdaar
wo hai jo apne nafs ka muhasiba karay, aur mout kay baad waali zindagi k liye amal karay. Aur ehmaq o nadaan wo hai jis ne nafsaani khwaahishaat ki pairvi ki aur Allah ( ki rehmat se Jannat milnay ki) umeed rakhi.
? (Fatah al bari Pg. 342)


Ehsas

Pyaray Satheyo:

In Aalla hastion ny zaban sy sarzad hoe choti se laghzish ka bhe muhasba keya or osay faoran durust keya… kion k Allah or Allah k Habeeb S.A.WW sy ziada koe mehboob nahi ho sakta..jinkii Muhabbat mein Yeee haq Kii sadaa bulandd rakhi aurr Apnay nafs syy jang apnii zaat koo marnay aurr Hr pal muhasbay ki behtareen koshish mein lagay rahay.. takay yee shamaaa e haqq Jalii rahayy.. batill kayy jaaal bichaaye bhi nakaaam hon aurr naffss jooo kay Batil ki he pedawar hai…isayyy badd tareeen shikastt hoo…
Allah hamein bhe faoran aisay he muhasba karnay ke taofeeq atta karay. Ameen

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *