Waqeya # 5 : Hazrat Abu Bakar Siddique R.A

Waqeya

Sohnay Sahaba ? ka, Hr maqam per Sirf Haq Ko chahnay kaa, yehi sikhanay kaa, Yehi batlanay kaa ☝
Hazrat Abdullah bin Hakeem r.a farmatay hain kay jab Hazrat Abu Bakar r.a ki bait e khilafat hogyi tou wo mimbar par tashreef le gye aur mimbar par jahan PIYARE AAQA S.A.W.W bethaa kartay thay us sr aik seerhi neeche bethay…
Pehle ALLAH ki hamd o sanaa biyan ki phir farmaya :
Aye logo! achi tarah se samajh lo kay sabse barri aqalmandi taqwah hai…
phir farmaya Apne nafs ka muhasiba karo is se pehle k tumhara muhasiba Allah ki taraf se kiyaa jaye. Aur jo Qoam Jahad fisabeel Allah chor de gi un par Allah faqat musalat kardain gay aur jis qaom mein bihayai aam hojaye gi Allah un sab par museebat bhejain gay…
Lihaza Jab Tak Mai Allah ki Ata’at karu tum log meri Ata’at karo aur jab mai Allah aur Uskay Rasool S.A.WW? ki nafarmaani karu tou phir meri ata’at tumhare zimay nahin hai .
? (Hayat us Sahaba )


Hadees

Yeh Amall, Apnayy AAQA S.A.WW ? ki pasand ka Khoob rang liye tha ,, kay jo nishani wo Hukmaran ki bta Gaye, Wo Inho ny apnay waqt mein bhi Qaim rakhi..
Farmaan E Rasool S.A.WW? hai:
“Apne Hukaam ki baat sunno aur maano agarche tum par kisi Habshi Ghulam ko bhi Hakim bana diya gya ho, jiska Sir kshmsh ki trah ho, Jab tak wo ALLAH ki kitaab ko qa’em karay Us ki baat man’na wajib hai”
?(Bukhari shareef)


 

Ehsas

pyaray Satheyo :

Haq Per chalnay walay SACHAY REHNUMA❤ Hamesha “Allah Aur Uskay Rasool S.a.w.w ki hee Pairviii Krty hain aur Unhi ka pegham Detay hain” Unkaa maqsad apni zaat kay liye Kuch chahna nahin hota aur na hee apni kisi kisam ki zaati khoobi ko manwana hotaa hai, blky khalis reh kar hr, Apni zaati har gharz sy door wo sirf aur sirf Allah Ka he Ehsas dillon mein qaim krwana chahtay hain. Allah ka hee raasta dikhana aur uspay chalna sikhana chahtay hain….Kyu k yehi aik sachay Rehnumaa ki pehchan hai k Wo logo k dilo mein Allah ka ehsas aur Haq ki pehchan utarna chahta hai..
Allah humein bhi Sachay REHNUMA❤ ki rehnumai sy wasool krnay mein aur haq Rah ko jan’nay aur us per barhny ki power ata farmaye.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *