Waqeya # 7 : Hazrat Abu Bakar Siddique R.A

Waqeya

Mithay Sahaba ? ka Apnay Rab Ki Raza kay liye Khaliis Ho kr Amall Krnay kaa..
Hazrat Abu Bakar r.a ne jo bhi ghulaam ya londian khareed kar aazad keeen apne is ammal se wo kisi duniyaavi shohrat o jaah kay talib na thay balkay Aap r.a ka matmaa e nazar mehez Allah ki raza aur khushnoodi ka hasool tha. Aik roz Aap r.a kay walid Abu Qahafa ne kaha ” Aye betay ! Main dekhta hu k tum zaeef aur naatwaa’n Ghulamo he ko khareed kar aazaad kartay ho,Agar Tum inkay bijaye Taqatwar aur qawwi ghulaamo ko azaadi se hamkanar karo to wo tumhare dasst o bazu banain aur Aarhe wakt mein tumhare kaam aayin”
Syedna Abu Bakar r.a? ne jawab diya :
“Abba jaan! main to ye amal mehez Allah ki razaa ki khaatir karta hu.”
?( Al seerat ul Nabvi. 393/1)


Hadees

Allah Kay Liye Amall Aur Emaan Ki Mazbootii ..
Hazrat Abbi Umama r.a se riwayat hai. Rasool S.A.WW ?ne farmaya :
“jis shakhs ne muhabbat ki Allah k waastay aur bughz rakha Allah k waastay aur kisi ko kuch diya Allah k waastay aur manna kiyaa Allah k waastay( yaani jo kaam bhi kiya Allah k liye) usne apne Eman ko kaamil karliya. ”
?(Abu Daood, Tirmizi)


Ehsas

pyaray Satheyo

Allah Kay Qareeb Allah kay Habeeb s.a.ww kay qareeeb wo huaa kay jis ny hr Amal ko Allah kayy liyee Hee Anjam diya, neyat aur dar-neyat mein bhi Apnay zaati Mafad ko na rakha blkyy Allah kii raza kay liye hr Amal ko khalis kia. Hum apnay Amal (Allah ky liye) mein bhi zaat ko barhawa deny lag jatay hain aur bhalai ka bhi Agly sy sila talab krty hain. Humein bhi pairvii mein ab apni neyaton ko khalis kr Allah Ki Raza Hasil krni hai aur Gharz sy paak krna hai Takeh Hum bhi is zariye Qurbat payen.

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *