Wazoo kay Zaruri Masaail

*~WAZOO~*
*~Wazoo k Zaroori Masaail~*

Wazoo mein baaz batein aisi hoti hein k agar oun mein sy aik bhe chout jaye ya ous mein kami reh jaye tou wazoo nai hota…
aisi baat ko FARZ kehty hein.

WAZOO MEIN 4 FARZ HEIN…

1. Aik martaba munh dhona.
(paishani k balon sy thori k neechy tak…
aik kaan ki loo sy dousry kaan kaa ki loo tak)
2. Aik martaba dono hath kohniyon smait dhona.
3. Aik martaba chothai sar ka masah krna.
4. Dono paoun takhno smait dhona.

*Wazoo mein baaz batein aisi hein k jin k chout jany sy wazoo tou ho jata hy lakin swab mein kami ho jati hy or oun k krny sy swab milta hy. aisi baton ko sunnat kehty hein*

WAZOO MEIN 13 SUNNATEIN HEIN…

1. Wazoo k leay niyyat krna.
2. Bismillah parhna.
3. Dono hath giton tak dhona teen baar dhona.
4. Miswak krna.
5. Teen baar kuli krna.
6. Teen baar naak mein paani dalna or naak saaf krna.
7. Daarhi ka khalal krna.
8. Hathon or paoun ki ounglion ka khalal krna.
9. Har uzw teen baar dhona.
10. Tamam sar ka aik baar masah krna.
11. Dono kaano ka masah krna.
12. Tarteeb sy wazoo krna.
13. Pay dar pay wazoo krna yani aik uzw khushk hony sy pehly dousra dho ly.

*Wazoo mein baaz aisi batein hein jin k krny sy swab hota hy or na krny sy gunnah nai hota aisi baton ko MUSTAHIB kehty hein*

Wazoo mein yeh mustahib hein.
1. Daein taraf sy shuru krna.
2. Gardan ka masah krna.
3. Wazoo ka kaam khud krna.
4. Qibla rukh baith k wazoo krna.
5. ounchi jagah par baithna.
6. Wazoo krty huy tamam aza ko mal kr dhona.

*MAKROOHAT E WAZOO*

Wazoo mein 4 makrooht hein….
1. Napaak jagah par wazu krna.
2. Daein hath sy naak saaf krna.
3. Wazoo krty huy duniya ki batein krna.
4. Khilaaf e sunnat wazoo krna.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *