Workers Training – Ta’arufi Msgs

SPECIAL MSG

Agar Aap sirf apne zaat par bhe kaam kar k Allah ke aashnaai or Qurbat O Muhabat pana chahtay tou is k leay bhe aap ko sab sy pehlay yehi bataya jata hy k…
Daily 5 waqt namaz ke bar waqt adaaigi or
Daily kamazkam aik bar Tilawat e Quran Pak ko apne routine ka hissa bana lain…
Or agar aap ke chahat aagay as a worker kaam karnay ke hy or isay behtr sy behtar bananay ke hy tou is k leay bhe sab ay pehlay 5 waqt namaz or Tilawat e Quran ko apne zindagi ka aisa laazmi hissa bana lain k jaisay zinda rehnay k leay saans laina or dil ka dharrakna zarori hy.
Sanwartay Raho


 

Asalam o alaikoum

Ap sab jantay hein k “Muhammadi Hussaini Silsila” ka buniyadi maqsad Piaray Aaqa e Dou Jahan S.A.WW ka dard ley k Ummat ke bhalai or falah k mission ko agay barrhana or Imam e Aali Maqam ka Haq ka Allam Sar buland rakhna hy.

Silsila mein workers ke tadad bohaat ziada hy jo k apnay apnay level par working krtay hoay isi mission ko aagay barrha rahay hein…
Or Aap bhe bataor Workers is mission ka hissa hein.

Yahan Silsila Workers ki training karaai jaati hy jis mein workerz ko working k leay proper trained keya jata hy…
Ta k jahan jahan weakness aati ho, os ko theek ker k best level ki working ke ja sakay…

Is training mein shamil workers ko training format k moutabiq different steps mein mukhtalif sawal deay jaatay hein jin k jawab par jahan jahan islaah ke zaroorat hoti hy wahan guide kar k kisi bhe worker ke training mukamal ke jati hy.

1. Is Training ka maqsad ye hy k….
As a worker jo bhe logon ke hidayat or bhalaai ka kaam karay…
Os ka mind Silsila or is mein kaisi or kion working karni hy k hawalay sy clear ho,

2. Ta k agar koe samajhnay k ley ya chahay tanqeed baraaey tanqeed k leay he sawal karay tou wo aglay banday ko mutmain kar sakay …

3. Or worker ko samajh ho k aik new case ko kaisay outhana duaein karaana or batadreej kisi case ko kaisay aagay ke manaazil tak ly k janay k leay koshish karni hoti hy.
Sanwartay Raho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *