Step 2 – Arkan e Islam (Day 4)

Wazu Ka Tareeqa

Piaray Aaqa E Doaalam S.A.WW ke sunnat e mubarika k mutabik wazu ka tareeqa aisay hy k…
Wazu karnay walay ko chahiye k

Apnay dil mein wazu ka irada kar k
Qibla ke taraf moun kar k
Kisi ounchi jaga beithay or

● Tasmeya parrh kar

● Pehlay dono hath 3 martaba gitton tak dhoay

● Phir miswaak karay or agar miswak na ho tou oungli sy apnay danton or masorrhon ko mal kar saaf karay

● Or agar danton ya taalu mein koe cheez atki ya chipki ho tou osay oungli sy nikalay or churraey

● Phir 3 martaba kuli karay or agar roza na ho tou  ghar’ghara bhe karay
Phir daein hath sy 3 dafa naak mein pani charrhaey or baaein hath sy naak saaf karay

● Phir dono hathon mein pani ly kar 3 martaba is tara chehra dhoey k mathay par baal nikalnay ke jaga sy ly kar thorri k neechay tak or

● Daaein kaan ke lao sy baaein kaan ke lao tak sab jaga pani beh jaey or koe zara jaga bhe pani behnay sy khali narrh jaey

● Agar daarrhi ho tou osay bhe dhoey or darrhi mein ounglion sy khalaal bhe karay

● Phir 3 martaba kouhni tak pehlay daaiyaan or phir baaiyaan bazo dhaoein

● Agar oungli mein angothi ya challa ho ya kalai mein chorriyan hon tou ounhei bhe hila phira kar dhoey ta k sab jaga pani beh jaey

● Phir naey pani sy dono hath tar kar k poray sar ka aik bar masaah karay is tara k

● Donon haathon ko pani sy tar kar ky, ungoothae aur kalmae ke ungle choor kar, donon haathon ke teen teen ungleyoon ke nok ko aik doosrae ky nok sy milaein

● aur in 6 ungleyoon ko apnae mathae par rakh kar peechae ke taraf sir ky aakhre hissae tak lae jaein

● is tarhan keh kalmae ke donon ungleyaan donon angoothae donon hatheliyan sir sy na lagnae paein

● Phir sir ky pechlae hissae sy haath mathae ke tarź50af is tarhan laein keh donon hatheliyaan sir ky daein baein hissae par hote mathae tak waapis aa jaein

● Mardon ky liye haath sir ky peechae sy waapis mathae tak laana zaroori hy laikaan auraton ky liye yeh zaroori nhe

● Phir shahadat ke oungli sy kaan k androni hissay or angothay k pait sy kaan ke baironi satah

● Or ounglion ke pusht sy gardan ka masaah karay
Phir 3 bar dono paoun dhoey aisay

●Pehlay daiyaan paoun takhno tak baeen hath sy dhoey or ounglion ka khalaal karay phir baiyaan paoun aisay he dhoay or ounglion ka khalala karay.


Wazu K Faraaiz

Wazu mein kuch chezein aisi hoti hein jo farz hoti hein or jon k choot janay ya oun mrin kami reh janay sy wazu nai ho ga…

Wazu k 4 faraiz hein
● 1. Poray chehray ka aik bar dhona
● 2. Aik aik bar dono bazo kounhion samait dhona
● 3. Aik aik bar chothaai sar ka masaah karna yani geela hath sar par phairna
● 4. Aik bar takhno samait dono paoun ko dhona

 


Todays Memorization

  • Chatta kalmaba tarjuma yaad kar k kisi ko souna k tashee bhe karani hy…

Chata Kalma Rad e Kufr:
Tarjama…
Elahi mae Tere panah mangta hoon is baat sy keh kisi cheez ko Tera shareeek banaon aur mujhe is ka ilm ho aur mae maufi mangta hoon Tujh sy us (gunah) sy jis ka mujhe ilm nhe, maine us sy touba ke aur bezaar hua kufar sy aur shirk sy aur jhoot sy aur gheebat sy aur bida’at sy aur chugli sy aur behayai ky kamon sy aur tohmat laganae sy aur (baqi) har kisam ke nafarmaniyon sy aur mae emaan laya aur mae kehta hoon keh Allah ky siwa koi mabood nhe aur Muhammad S.A.WW Allah ky Rasool hain.



Exercise Questions /30

MCQ’s /5

1. Pyaraay Aaqa S.A.WW ky sunnat ky mutabiq wazu ke tarteeb kya hy ?

a) Irada?Tasmeeyah?Paon dhona?Miswaak

b) Irada?Kibla rukh hona?ounche jagah baithna?tasmeeyah parhna

c) Miswaak?masah?tasmeeyah

2. Donon hathon mae pani lae kar kitne martaba chehra dhona hota hy?
a) 3
b) 7
c) 5

3. Kon sy ungle sy kaan ky androni hissae ko saaf karnaa hota hy?
a) Angootha
b) Shahadat
c) Chotee Ungle

4. Wazu ky kitnae faraiz hain?
a) 4
b) 6
c) 8

5. Sir ky kitnae hissae ka masah karna farz hy?
a) Aadha
b) Chouthai
c) Poora

Fill in the blanks /5

1. ______ aur kalmae ke ungle ko chor kar donon hathon ke nook ko mila kar masah karna hota hy.
2. Donon hathon ko 3 martaba _____ tak dhona zaroori hota hy.
3. Daein paon takhnon tak baein haath sy dhoaein aur ungle sy _____ karaein.
4. Aik baar _____ samait donon paon ka dhona farz hy.
5. Agar _____ na ho tau ungle sy danton ke safae karaein.

True/False /5

1. Wazu karnae ky liye irada karna zaroori hy
2. Agar darhee ho tau usae dhona zaroori hy.
3. Mard ky liye masah kar ky sir par haath loutana zaroori hy aur aurat ky liye zaroori nhe.
4. Wazu mae pehlae baein phir daein haath dhona hota hy.
5. Aik baat konheyon samait donon bazuu dhona faraiz mae shamil hy.

Short Answer Questions /15

1. Wazu ky kitnae faraiz hain? Wazeyah karaein.
2. Masaah karnae ka tareeqa likhaein.
3. Aaj ke maloomat mae sy kin kin points ka apko pehlae ilm nhe tha?
4. Chatta kalma yaad kar k kisi ko sounaein or tarjuma likhein…??
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis ko kis point par aur kaisae targheeb de ?


Answer Sheet

MCQ’s

1. (b)
2. (a)
3. (b)
4. (a)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Angootha
2. Giton
3. Khalal
4. Takhnon
5. Miswaak

True/False

1.✔
2.✖
3.✔
4.✖
5.✔

Short Answer Questions

1. Wazu ky 4 faraiz hain.
i) Poorae chehrae ka aik baar dhona
ii) Aik aik bar donon bazu konhiyon samaet dhona
iii) Aik baar chouthai sir ka masah karna
iv) Aik baar takhnon samait donon paon ka dhona.

2. Masaah karnae ka yeh tareeqa hy:
● Donon haathon ko pani sy tar kar ky, ungoothae aur kalmae ke ungle choor kar, donon haathon ke teen teen ungleyoon ke nok ko aik doosrae ky nok sy milaein
● aur in 6 ungleyoon ko apnae mathae par rakh kar peechae ke taraf sir ky aakhre hissae tak lae jaein
● is tarhan keh kalmae ke donon ungleyaan donon angoothae donon hatheliyan sir sy na lagnae paein
●Phir sir ky pechlae hissae sy haath mathae ke taraf is tarhan laein keh donon hatheliyaan sir ky daein baein hissae par hote mathae tak waapis aa jaein
●Mardon ky liye haath sir ky peechae sy waapis mathae tak laana zaroori hy laikaan auraton ky liye yeh zaroori nhe
●Phir shahadat ke oungli sy kaan k androni hissay or angothay k pait sy kaan ke baironi satah
●Or ounglion ke pusht sy gardan ka masaah karay

3. Yeh har aik ka apna jawab ho ga

4. Chata Kalma Rad e Kufr:
Elahi mae Tere panah mangta hoon is baat sy keh kisi cheez ko Tera shareeek banaon aur mujhe is ka ilm ho aur mae maufi mangta hoon Tujh sy us (gunah) sy jis ka mujhe ilm nhe, maine us sy touba ke aur bezaar hua kufar sy aur shirk sy aur jhoot sy aur gheebat sy aur bida’at sy aur chugli sy aur behayai ky kamon sy aur tohmat laganae sy aur (baqi) har kisam ke nafarmaniyon sy aur mae emaan laya aur mae kehta hoon keh Allah ky siwa koi mabood nhe aur Muhammad S.A.WW Allah ky Rasool hain.
5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *