Mazhab E Islam Duniya mein jitny mazaahib hein in mein sy hr aik ka naam kisi shakhs ya qaom k naam par hy jis mein wo mazhab paida hoa… maslan Esaaiyat or Budh-mat aik shakhs k naam or Yahoodi mazhab aik khaas qabeela k hawaly sy hy…etc Magar Islam ke ye khasoosiyat ye hy k ye kisi shakhs ya qaom qabeela ke taraf mansoob nahi bulky is ka naam aik khaas sift ko zaahir karta hy jo lafz Islam k matlab hy. Islaam k maani… Islam k maani arbi zaban mein atta’at or farmabardari k hein. Mazhab e Islam ka naam Islaam is leay rakhaRead More →

“Arkaan e Islaam” Jab 5 aqaaed par eeman laaya jata hy tou musalmaano k garoh mein shaamil ho jatay hein… Laikin poray musalman os waqt hotay hein jab oun ehkaam ke atta’at kartay hein, jo Piaray Aaqa S.A.WW ny Allah ke taraf sy ham tak pahonchaey hein… Kion k eeman lanay k sath he atta’at laazim ho jaati hy or atta’at he ka naam Islaam hy… Piaray Aaqa S.AWW ny hamein zindagi guzarnay ka tareeqa sikhaya hy… Hadood k andar rehtay hoay kuch cheezon par amal karnay ka hukam deya hy or kuch sy mana farmaya hy… Is mein sab sy pehlay wo ibadaat heinRead More →

Arkaan E Islaam ” 2nd Rukan e Islaam Namaz Sy Pehlay ” Dosra Rukan e Islam namaz hy… Par namaz sy pehlay ham Azaan or Wazu k baray mukhtasaran bataein gy… kion k namaz sy pehlay Azaan or Wazu dono intshaai zarori hein. Arkaan E Islaam “AZAAN” Azaan k maani ailaan karny k hein… lakin shariyat e Islaam mein 5 waqt or juma ki namaz k leay khas alfaz sy namaz ke itlaah dainy ko azaan kehty hein. Azaan sy islaam ki aik khass shan zahir hoti hy is leay is ki bohat takeed hy. Azaan mein Allah ki toheed or Piary Aaqa S.A.WW kiRead More →

Wazu Ka Tareeqa Piaray Aaqa E Doaalam S.A.WW ke sunnat e mubarika k mutabik wazu ka tareeqa aisay hy k… Wazu karnay walay ko chahiye k Apnay dil mein wazu ka irada kar k Qibla ke taraf moun kar k Kisi ounchi jaga beithay or ● Tasmeya parrh kar ● Pehlay dono hath 3 martaba gitton tak dhoay ● Phir miswaak karay or agar miswak na ho tou oungli sy apnay danton or masorrhon ko mal kar saaf karay ● Or agar danton ya taalu mein koe cheez atki ya chipki ho tou osay oungli sy nikalay or churraey ● Phir 3 martaba kuli karayRead More →

“NAMAZ” Faraaiz e Namaz Namaz k 7 faraaiz hein jinhein arkaan e namaz bhe kaha jata hy. Jo k ye hein ● 1. Takbeer e tehreema Namaz ka pehla farz takbeer tehreema hy yani Allah Hu Akbar keh kar namaz shuru karna. ● 2. Qiyaam Nanam ka dosra farz qiyaam hy yani farz namaz, witar, dono eidon ke namaz or sunnat e fajar kharray ho k parrhna. ● 3. Qiraat Namaz mein surat ya ayaat ka parrhna qiraat kehlata hy. ● 4. Rakou Namaz ka caotha farz rakou hy or rakou ka mani jhukna hy. ● 5. Sajda Namaz ka panchwan farz har rakat meinRead More →

Waajibaat E Namaz Waajibaat E Namaz wo amaal hein jin ka namaz mein adda krna zarori hy. Agar in mein sy koi amal reh jaey tou Sajda E Sehav kr lainay sy namaz darust ho jaey ge. Agar Sajda E Sehav na keya ya qasdan koi wajib chora tou namaz ka laotana wajib hy wajib ka tarak kr daina acha nahi. Qasdan wajib chornay sy gunah hota hy. Waajibaat e Namaz hasb e zail hein. 1.Takbeer e tehreemah mein lafz Allah O Akbar hona. 2.Allhamd parhna. 3.Farz ke 2 pehli rak’atton mein or sunnat o nafal or watar ki har rak’att mein Allhamd k sathRead More →

Topic Namaz Mufsidaat E Namaz Aisay amour jin ka namaz mein krna mana hy, krnay sy namz tout jati hy unhein mufsidaat e salaat kaha jata hy. In mufsidaat ka dosra naam Nawaqis E Namaz bhi hy. Namaz tout janay ki surat mein namaz dobara parhni parti hy. Namaz ko fassidor tornay wali cheezain do trah ki hein. Awal… Aqwaal yani Kalaam e guftagu wagaera. Or dusri… Afaal yani khilaaf e namaz koi kaam or harkat wagera krna. Ye dono cheezain namaz ko tornay wali hein. ☆… Aqwaal… yani namaz mein kisi sy baat krna mufsid namaz hy. Ye baat… ● Jaan bujh k hoRead More →

Makrouhaat e Namaz Makrouhaat e namaz sy muraad wo amour hein jin sy namaz fassid tou nai hoti albatah makrouh ho jati hy… Is leay in sy bachnay ki koshish krni chahiye… Makrouhaat 2 trah k hein… ● Aik Tanzeehi… ● Or dosray Tehreemi… Jin ki tafseel mandarja zail hein… … Makrouhaat e Tanzeehi… Namaz mein darj zail cheezain makrouh e tanzeehi hein… ● Rakou o sajoud mein bila uzar 3 tasbeeh sy kam parhna… Haan agar waqt tang ho ya… Imaam ny sajda sy sir utha leya tou imaam ki mutabe’at mein… Yaa rail wagera k chal janay ka khaof ho tou koi harjRead More →

Namaz ki Sunatein Namaz mein jo amoor Rasool Akram S.A.WW sy sabit hein. Lakin un ki takeed farz or waajib sy kam hy unhein sunnat kaha jata hy. In amoor mein agar koi kaam sehvan chout jaey tou us sy namaz fassid nai hoti or na he insaan gunahgaar hota hy or na he Sajda e Sahev wajib hota hy albatah in k chornay sy sawaab mein kami ho jati hy. Lehazah Ehl e Taqwa k leay zarori hy k wo namaz ki sunnaton per zaror amal krein kion k ye wo amour hein jin per Nabi Paak S.A.WW ny Bazaat e Khud amal keyaRead More →

Mustahibaat E Namaz Namaz mein mandarja zail af’aal e mustahib hein… 1. Halat e Qayaam mein sajda ki jagha per nazar karna. 2. Rakou mein qadam ki pusht per daikhna. 3. Sajda mein naak per nazar rakhna. 4. Qa’adaa mein seenay per nazar jamana. 5. Pehlay salaam mein daaein shanay ko daikhna. 6. Dosray salaam mein baaein shanay per nazar krna. 7. Jamaai aaey tou munh band keay rehna or is sy jamaai na rukay tou hont dant k neechay dabaey or is sy bhi na rukay tou qayaam ki halat mein daaein hath ki pusht sy munh dhaank ly or qayaam k elawa dosriRead More →