Tarufi Message

*Harawal Dasta 1*

**TA’ARUFI MSG**

Is traning ka maqsad aap ko aisy nayab or anmol heery k taor par taraashna hy…
jis k na sirf zahri amal Allah or Hazoor Nabi Akram S.A.WW k ehkamat k tabay hon… Balky baatni halat bhe intehai pasndeeda ho jaye…
Or ye k zahiri amal munafiqat or riyakari sy pak ho kar aap ki batini halat ka aaina dar hon…..
Or aap ka Allah k sath khalis or sacha mohabat k ta’aluq bana rahay……
Or aap k andar ke is quwat e emani ki waja sy zindagi k har tarah k mamoolat or moamlaat ke azmaishon mein sirf Allah or Piary Aaqa S.A.WW ki raza or khushi ko he muqadam rakh sakein.
Is training k doran aap ko mukhtalif steps sy guzrna ho ga!!

Hr step ka aik best level ho ga jisay hasil krna k leay aap ko dua ki power or tips deay jaein gy……
Jab tak aap wo best level hasil nai krein gy tb tak aap ko next step mein nae ly k jaein gy…..
Is rah par aap ko musalsal apny jazba or shouq ko jawan rakhna ho ga……
Tab Allah ki aashnai or qurbat ki manzil tak jany ki rah aasan ho gi……
Aap ka haar dam jawaan jazabaa!!!
Or shoaq he aap ko Allah ki qurbaaat or aashnaai k is safar mein aagy ly jaanay mein aap ka madadgar rahy ga…..

Allah aap ko apni qurbat or aashnai k safar py kamyaaabi ataa karay. Ameen
Dil sy dua :-)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *