18. Ibadat Ka Maheena

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Ibadat ka Maheena”
Ramzan ul Mubarik mein Rozadaar ki Ibadat k ajar ko berha deya jata hy. Agar nafal kaam kray ga tou farz k barabar ajar deya jaey ga or agar aik Farz pura kray ga tou 70 farzon k barabar Is ko ajar atta Farmaya jaey ga. Lehaza is Maheenay mein Ibadaat ka ziada ziada ahtamam hona chahiye…
Tahajud ka perhna is maheenay mein aasan ho jata hy kion k Sehri khanay k leay tou uthna hi hota hy. Banda thori dair pehlay Uth jaey or kuch Nawafil hasb e toufeeq adaa kr ly tou Tahajud ki fazeelat naseeb ho jaey ge.
Isi trah baqi Nafal Namazain jaisay Ishraaq, Chasht awabain Kam az kam is Maah mein Baqaidgi sy adaa kr li jaen. Ho sakta hy is ki Barkat sy Baqi sara Saal bhi toufeeq naseeb ho jaey…
Is maah ki sab sy bari Ibadat Lai,la tul Qadar ki Raat ki Ibadat hy agar wo aik Raat banda Ibadat mein guzar ly tou aisa hi hy jaisay is ny Hazar maheenay ki…

Ibn Majah ki Rawayat hy k
Nabi Akram S.A.WW Ny Farmaya
“Is maheenay mein aik Raat hy jo Hazar maheenon ki Ibadat sy Afzal hy jo Banda is ki khair sy mehrom hoa wo sari hi khair sy mehrom hoa or is ki khair sy Wohi banda mehrom hota hy jo Haqeqat mein mehrom hota hy”
Hazrat Ans r.a riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya,
“Shab e qadar mein Jibreel a.s frishton ke aik jamaat k sath outarty hein or ous shakhs k leay jo khary ya baithy Allah ka zikr raha hy ya ibadat mein mashghool hy dua e rehamat krty hein”
Aam tor Momineen is Raat ko panay k leay Ramzan k Aakhri ashray mein Raton ko jagtay hein ya Aaitkaaf krtay hein.
Ajeeb Allah ki Rehmatain utarti hein jo taloo e fajar tk barasti hein.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *