26. Tilawat Ka Maheena

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Tilawat ka Maheena”
Tilawat e Quran e Pak ko is Maah sy khaas munasibat hy. Kion k isi Maah mein Quran nazil hoa. Is leay Quran e Pak perhna or Sun’na is maheenay ki khaas Ibadat hy. Aam tor per Taraweeh ki Namaz mein Pura Quran e Pak perha or Suna jata hy.
Or kai jaghon per tou taraweeh mein 3 martaba ya is sy zaid Quran e Pak khatam keya jata hy…
Akabreen Ummat tou ye sara maheena Quran ki mashghuli mein hi guzartay thay.
Hazrat Abu Haneefa (r.a) Ramzan ul Mubarik mein rozana aik Quran Pak din mein mukamal farmatay aik raat mein or aik taraweeh mein mukamal keya krtay thay. Yun Wo puray Ramzan mein 61 Quran Kareem mukamal farmatay thay.
Lehaza hamain bhi chahiye k ham is Maah mein aam dinon ki nisbat ziada Tilawat krain.
Or kamazkam or nahi tou aik Quran kareem mukamal tilawat zaror karein.
Ihsas Atta Ho 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *