27. Gham Khuwari Ka Maheena

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Gham Khuwari ka Maheena”
Nabi Akram S.A.WW Ny isay Ghamkhuwari ka maheena kaha hy.
Is maheenay mein Sadqaat o Khairaat ka Sawab aam dinon ki nisbat kai guna barha deya jata hy.
Hadees mein Aata hy k Aap S.A.WW ki shafqat, reham dili, narmi, ata, bakhshish, fiyazi or sakhawat ka dariya waisay tou sara saal hi mojzan rehta tha k yeh Aap S.A.WW k ikhlaaq e kareemaa ka hissa theein, lakin Ramzan ul Mubarik mein Aap S.A.WW ki Sakhawat aisi hoti thi jaisay jhonkain marti hoi Hawaein chati hein jo Aap S.A.WW K pas aaya is ko khob khob anayat farmatay.
Is leay hamain bhi chahiye k ham Is Maah mein Sadaqat Khairaat ki kasrat krain.
Is Maah mein dosron ko Aftar kranay ka bhi bohat ajar bayan keya gaya hy…
Farmaya k…
“Jo shakhs kisi Rozadaar ka Roza Aftar kraey tou Us k gunahon k maaf honay or Aag sy nijaat ka sabab banay ga. Or is Rozadaar k sawab ki manind usay Sawab deya jaey ga. Or asal Rozadaar k Sawab mein sy kuch kam nahi keya jaey ga. Or ye Sawab pait bhar khilanay per hi…

…Nahi hy bal’k aik Khajor khila dainay aik ghont pani ya lassi pilaye or jo shakhs kisi roza dar ko pait bhar kr khana khila dy tou Allah ta’ala ous ko mery khouz sy paani pilaye ga or (ous khouz sy paani pee kr)phir ousy piyas mehsoos na ho gi yahan tak k wo janat mein dakhil ho jaye ga”
Aap S.A.WW Or Sahaba Is maah mein bohat hi khulay dil sy kharch krtay thay.
Is leay dosron ki Ghamkhuwari is Maah ki Ibadat mein sy aik khaas Ibadat hy.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *