29. Naikion ka Mousam e Bahar

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Naikion ka Season”
“Naikion ka mousam e bahar”
Dekha gaya hy k jo Log Tijarat krtay hein in k karobari season aaya krtay hein. Jis Shakhs ka Season aa jaey wo apni mehnat bohat ziada kr daita hy. Wo apni degar masrofiyaat tark kr daita hy, wo dosron sy ma’azrat kr laita hy k mera season hy is leay main ziada waqt farig nahi kr sakta. Bal’k wo insan apnay khanay peenay ki perwah nahi krta, Raat ko isay sonay ki fikar nahi hoti. Isko har waqt ye gham hota hy k main kisi trah is season ko kama lon, season sy jitna nafa utha sakta hon main utha lon ta’k mujhy ziada faida ho. Wo sochta hy k ye Thoray din ki mushaqat hy is k Baad phir aaram kr lain gy. Isi trah Ramzan ul Mubarik naikiyaan kamanay ka Season hy jo Log apnay gunahon ko maaf krwana chahtay hein,Allah ka Qurb hasil krna chahtay hein,Allah ki ma’iyat k hasul k leay Be’qarar rehnay Walay hein. In k leay ye maheena aik season ki manind hy.
Ihsas ata ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *