42. Jin Wajoohat Mein Roza Na Rakhna Jaiz Hy

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“JIN WAJOOHAT MEIN ROZA NA RAKHNA JAAIZ HY”
1. Aisi bimari k jis mein roza nuqsan krta ho or dar ho k agar roza rakha toy bimari barrh jaye gi ya jaan jati rahy gi tou roza na rakhy or jab theek ho tou ous ki qaza kry.
lakin mehz apny khiyal sy roza chorna darust nai jab tk koe musalman doctor ya hakeem na kahy.
2. Bimari khatam ho gi lakin kamzori baqi hy or yeh guman k roza rakhny sy bimari phir loot aaye gi tou rozy ka na rakhna jaaiz hy magar baad mein is ki qaza daini ho gi.
3. Haamla or doodh pilany walny aourat ko apni ya bachy ki jaan ka khatra ho tou roza na rakhy baad mein mouqa mily tou qaza dy.
4. Agar koe shakhs safar mein ho tou bhe ous k leay roza na rakhna jaaiz hy laikin agar safar aaram deh ho tou aisy mein roza rakh laina behtar hy lakin agar na rakhy tou qaza dy.
5. Haiz o nafaas ki halat mein roza rakhna jaaiz nai.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *