44. Rozay Ka Kufara

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“ROZAY KA KUFFARA”
Ramzan ul mubarik k farz roza torrny ka kuffara youn hy…
1. koe ghulaam azaad kray mard ho ya ourat, kafir ho ya musalman
2. saath (60) rozy rakhy.
Kuffary k rozy lagataar rakhny zaroori hein.
Thory thory waqfy sy rakhny sy kuffara darust nai hota. agar kisi wajah sy darmiyan mein aik roza nai rakha tou tou phir sy dobara dou maheeny k rozy rakhny parrain gy.
Kisi takleef ya bimari ki wajah sy ya safar ki wajah sy kuffary k rozon mein nagha ho jaye tab bhe tandrust hony k baad dobara sy rakhny hon gy.
Agar koe aourat nafaas ki wajah sy kuffary k rozy darmiyan mein chorr daiti hy tou bhe pak hony py doubara rozy rakhy gi.
Agar kuffary k rozon k darmiyan mein ramzan, baqar eid ya ayam e tashreeq aa gy tab bhe kuffara sahi nai.
Haiz ki wajah sy jo rozy chout jaein wo maaf hein paak hoty he jahan sy chory thy wahan sy dobara shuru kr k saath (60) poury kr ly.

3. agar kuffary k rozy rakhny ki taqat nai tou saath ( 60 ) miskeeno ko khana khilaye.
60 miskeeno ko subah sham itna khilaye k oun ka pait bhar jaye.
Aik he muskeen ko subah shaam 60 din khila dy tou bhe theek hy.
agar 60 din lagataar khana nai khilaya beech mein nagha ho gya tou bhe kuffara ada ho jaye ga.
Agar khana na khilaye bal’k kacha anaaj 60 miskeeno ko dy tou bhe jaaiz hy.
Har miskeen ko agar anaaj ki qeemat dy tou bhe jaaiz hy. Har aik ko pony do sair gandum ya ous ki qeemat dy.
Aik din mein aik miskeen ko saath (60) din ka anaaj daina darust nai hy.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *