48. Aitkaaf

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Aitkaaf”
Lafz aitkaaf “Akaf” sy nikla hy jis k maani hein rokna or mana krna.
Mutakif jab rozz daar bhe ho or apny aap ko tamam duniyavi hajaat or jismani khawaishaat sy rokta hy or ibadata e Ilaahi mein lag jata hy tou ous fael ka naam aitkaaf hy.
Ramzan ki bees tarkeeh ko din k chhupny sy zara pehly sy ly kar eid ka chand nazar aany tak chahy 29 ko nazar aaye ya 30 ko, mardon k leay masjid mein or aourton k leay ghar mein Allah k leay jamm ka baithny ko aitkaaf kehty hein.

Ibn e Abbas r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya,
“Jo shakhs aik din ka aitkaaf bhe Allah ki Raza k waasty krta hy tou Allah ta’ala ous k or jahanam k darmiyan teen handaqain aar bana daita hy, jin ki musafat aasman or zameen ki darmiyani musafat sy bhe chorri hoti hy”
Aik riwayat mein hy k,
“Jo shakhs ashra ramzan ka aitkaf kry ous ko do hajj or do umron ka swab hy or jo shakhs masjid mein maghrib sy isha tak ka aitkaf kry k namaz or quran k ilawa kisi sy baat na kry tou Allah ous k leay jannat mein aik mehal bana daity hein”
Aitkaf ki sub sy bari khoubi yeh hy k banda apny dil ko duniyavi amour sy farigh kr k Allah ta’ala ki taraf matwajoo kr laita hy.
Aik aashiq ki tarah din raat dar e mehboob par para rehta hy ous k aza e badan na frmaniyan krny sy bachy rehty hein. Jhoot, gheebat, aib joe, fahash kalami sy bach kr tamam ouqaat tilawat e quran e pak, zikar e Ilaahi or nwafil parhny mein guzar daita hy. Swali ban kr apny Piary Aaqa S.A.WW k darwazy par para rehta hy.

Yeh duniya ka dastoor hy k koe swali jab kisi shareef aadmi k ghar aa kar swal kry or phir jamm kr baith jaye k jab tak mera swal poura na ho ga yahan sy nai taloun ga tou duniya daar insan bhe koshish krta hy k kisi tarah is ka swal poura kr doun. Tou Allah Rab ul iz’zat ki zaat tou pehly he bakhshish k bahany dhoundti hy.
pas jo shakhs duniya sy munqataa ho kar ous k dar pay ja giry ga Ous ko itna ata kiya jata hy k ilfaaz mein biyan nai kiya ja sakta.
Allah apnay dar k swalion ko mehroom nai krta kion k Wo sohnraaa Kareem hy or Kareem maizban hamesha ghar mein aany walon ka ikraam krty hein.
Subhan Allah.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *