51. Halat e Aitkaf mein Mamnou kam or 2 Shariat

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Halaat e Aitkaaf Mein Mamnoo Kaam or Aikaaf Ki Do Shartein”
Hazrat Ayesha r.a frmati hein k,
“aitkaaf krny waly k leay aitkaaf k moamly mein yeh sunnat hy k wo na mareez ki eyadat kry, na janzy mein jaye, na aourat ko hath lagaye, na ous k sath jism mas kry, na kisi hajat k leay bahir nikly bajuz ous hajat k, k jis k leay masjid sy nikalny mein chara na ho or koe aitkaaf nai hy bghair rozy k, or koe aitkaaf nai hy magar jamea masjid mein”
Is hadees e Mubarika mein Hazrat Ayesha r.a ny aitkaaf k jo ehkaam biyan frmaye hein oun mein pehla hukm yeh hy k motakif aam halat mein mareez ki iyadat na kry lakin ous sorat mein jab k mareez ki halat tashveesh naak ho iyadat ki ja sakti hy.
Motakif k leay dousra hukm yeh hy k wo janazy k sath na jaye.
Motakif k leay teesra hukm k bivi k qareeb na jaye.
is hadees sy yeh bhe maloom hua hy k rozy k bghair eitkaaf nai yani yeh nai ho sakta k aadmi rozy sy na ho magar eitkaaf mein ho.
Aakhri hukm yeh biyan frmaya gya k eitkaaf nai hy magar jamea masjid mein…
is ka yeh matlab liya jata hy k eitkaaf ous masjid mein hota hy jahan juma ki namaz hoti hy.
Aik girooh ka yeh bhe kehna hy k jahan jamaat hoti ho yani aisi masjid jahan namazion ki aamd o raft na ho eitkaaf jaaiz nai kion k aisi sorat mein wo jamaat k namaz sy mehroom rahy ga. Aisi sorat mein ous ny eitkaf ki naiki tou ki lakin jamaat k sath naaz chout jaye gi.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *