*~*Aik Raat Ki Mohlat*~* Hazrat Imam Hussain r.a namaz e asar k baad khaima k darwazay par talwar ka sahara ly kr sar jhukaey baithay thay. K ousi daoran Aap r.a par ghanoudgi tari ho gae. Idhar ibn e saad ny apnay lashkar ko pukara k… Aey Allah k sipahiyo..!! sawar ho jao or fatah o kamrani ki khushi manao. Is par tamam yazeedi lashkar namaz e asar k baad hamla krnay k leay… Imam E Aali Maqam r.a k khaimon k qareeb pohanch gaey. Yazeedi fouj ka shoor o ghull soun kar Aap r.a ki ham’sheera Hazrat Bibi Zainab r.a Aap r.a k passRead More →

*~*Rufqa sy Hazrat Imam Hussain r.a Ka Khitaab*~* Ibn e saad k dastay k wapis laotanay k baad Hazrat Imam Hussain r.a ny apnay rufaqa ko jama keya. Aap r.a k farzand Syedna Zain ul Aabideen r.a farmatay hein k main beemari ki halat mein bhi apnay walid garami k qareeb jaa baitha ta’k suno k wo kia farmatay hein. Allah ta’ala ki hamd o sana or ous k Rasool E Mukaram S.A.WW par darood O salaam k baad Aap r.a ny nihayat he faseeh o baleegh alfaaz mein apnay ashaab sy famaya… K main kisi k sathiyon ko apnay sathiyon sy ziada wafadaar orRead More →

*~*Dasween Muharam ki Subh*~* 10 Muharam 61 hijri ka souraj taloo hoa or aashura ki raat khatam hoe. Imam E Aali Maqam r.a ny Ehl E Bait or apnay sathiyon k hamraah fajar ki namaz adda ki. Umar bin saad ny apnay sathiyon k sath subh ki namaz parrh li tou qataal k leay tayar ho gaya. Hazrat Imam Hussain r.a or oun k sath 3 din k bhokay piyasay or aisay logon par zulm o sitam k pahar torrnay k leay 22 hazar ka taza dam lashkar mojoud hy. Hussaini fouj k 72 jaan nisaar 32 ghourr sawar or 40 paidal par mushtamil thay.Read More →

*~*Itmam E Hujjat*~* Hazrat Imam Hussain r.a yazeedi lashkar k qareeb aaey or buland aawaz k sath farmaya: “Aey Logo..!!! Main tumy naseehat krnay wala hon… Isay ghaor sy suno…” Is par sab log khamosh ho gaey. Aap r.a ny Allah ta’ala ki hamd O sana k baad farmaya: “Aey logo…!! Agar tum mera uzar qabool kr lo or mery sath insaaf kro tou yeh tumharay leay baaes e sa’adat hy. Or tumharay pas mujh sy ziadti krnay ka koi jawaz bhi nahi hy. Agar tum mera uzar qabool nahi krtay” (phir Aap r.a ny ye ayaat parhein) “Pas tum or tumharay shareek sab milRead More →

*~*Hurr ka Shaouq E Shahadat*~* Jab Umar bin saad jang shuru krnay k leay aagay barrha tou Hurr bin yazeed ny ous sy kaha k… Khuda tera bhala kray kia tou waqaee Oun sy jang kray ga? Ibn e saad ny kaha haan Khuda ki qasam or aisi jang k jis mein saron ki barish ho ge. Or hath qalam ho kr zameen par girain gy. Hurr ny kaha Oun ki paish ki hoe baton mein sy koi baat bhi tum logon ko manzor nahi? Ibn e saad ny kaha “Khuda ki Qasam…!! Agar yeh moamla mery ikhtiyaar mein hota tou main zaroor aisa heRead More →

*~*Kufiyon sy Hurr ka Khitaab*~* Hazrat Imam Hussain r.a sy khata moaaf kranay k baad Hurr foran maidan mein aa gaya. Or pehlay naram alfaaz mein kufiyon sy kaha. Aey Logo…! Hussain r.a teen batain jo paish krtay hein oun mein sy kisi aik ko tum kion nahi manzoor kr laitay. Ta’k Khuda E ta’ala tum ko In k sath jang mein mubtila honay sy bacha ly. Kufiyon ny kaha hamaray sipah salaar umru bin saad mojoud hein. oun sy baat kro. Ibn e saad ny kaha agar mujhy ikhtiyaar hota tou main zaror manzoor kr laita. Yeh soun kr Hurr ko ghussa aa gayaRead More →

*~*Jang Ka Aaghaz*~* Hurr k wapis aanay k baad Umru bin saad ny fouj ko aagay barrhaya or apnay ghulam zawaid ko jo alam bardaar e lashkar tha aawaz de k jhanda mery qareeb laao… Wo is k pass aa kr kharra ho gaya. Ibn e saad ny kaman mein teer jorr kr Hussaini Lashkar ki traf phainka. Or apni fouj ko pukaar kr kaha k gawah rehna k sab sy pehla teer main ny he mara hy. Sipah salaar k in alfaaz ko soun kr is k lashkar mein josh o kharosh paida ho geya tou wo bhe teer barsanay lagay. Is trah jangRead More →

*~*Imam r.a K Sathiyon k Shuja’at or Shahadat*~* Koufi lashkar sy yazeed bin mouaqil nikla… Imam E Aali Maqam r.a ki taraf sy Barair bin Huzeer r.a ny barrh kr ous k sar par aisi zarab lagai k talwar yazeed ki khud ko kat’ti hoe damagh tak jaa pohanchi or wo dhair ho geya. Itnay mein Razi barair sy lipat geya or dono mein koushti honay lagi. Aakhir Barair razi ko gira kr ous k seenay par sawar ho gaey. Razi chilaya tou kaa’ab ny dourr kr barair ki peeth mein naizah mara or wo shaheed ho gaey. Phir Imam E Aali Maqam r.a kiRead More →

*~*Hashmi Jawano Ke be Misal Bahadri Or shahadat*~* Karbala mein Imam Aali Maqaam r.a k sathioo ke wafadari ka yeh bhe aik bahut bara karnama raha k jab tak in mein sy aik b baqi raha to Imam Aali Maqaam r.a k bhai, baitay ya bhatijay waghira mein sy kisi bhe bani hashim ko ounho ny larrny k leay maidaan mein na janay deya bal’k in mein sy kisi aik ko bhe gazand bhe nahi pohanchny deya halan k is doraan mein koufion ke taraf sy zabardast teeron ke baarish bhe hoe… magar is k bawajood aik zakham bhe kisi Hashmi jawaan bachay ko lagnayRead More →

*~*Khaimon Mein Aatish Zadgi*~* Hazrat Imam Hussain r.a ny apnay khaimon ko is tarah sy bandha tha k koeufi aik rukh k siwa kisi or taraf sy hamla nai kr saktay… Ibn e saad ny is khiyal k tehat k har taraf sy hamla keya jaa sakay. Hukam deya k khaimay ukharr deay jaein. Koufi jab khaimay ukharrnay k leay aagay barrhay tou Imam E Aali Maqam r.a k chand jaan nisaar khaimon k andar aa gaey. Or khaimon ki taraf aanay walon, ukharrnay walon or lout maar krnay walon ko talwaron or teeron sy halaak krna shuru kr deya. Ibn e saad ny jabRead More →