*~*Raah E Rukhsat Or Raah E Azeemat*~* Shariyat e Muta’hira mein mushkil waqt par 2 raastay bataey jatay hein. Dono raastay Allah or Allah k Rasool S.A.WW Ki taraf sy tajweez karda hein. Aik Raah ko Raah E Rukhsat kaha jata hy. Or dosray ko Raah E Azeemat. Agar Halaat saaz gaar hon… Jabar o zulm or kufar ki taqaton ka safaya aasani sy keya jaa sakta ho…. tou in halaat mein har chotay barray or har kalma go par is zulm k khilaaf maidaan e kaarzaar mein nikal aana farz or wajib hota hy. Is waqt kisi shakhs k leay siwaey kisi sharaeei majburiRead More →

*~*Karbala Janay Walay Ehl E Bait*~* 1. Is Safar mein Hazrat Imam Hussain r.a k 3 Sahab zaaday Aap r.a k hamraah thay. Hazrat Ali Aos’at jin ko Imam Zain Ul Aabideen r.a kehtay hein. Ye Hazrat Sheher Bano k Batan sy thay. ous waqt oun ki Umar 22 saal thee or beemar thay. 2. Aap k Dosray Sahab zaaday Ali Akbar r.a thay. oun ki umar 18 saal thi. yeh karbala mein muqeed hoay. 3. Imam Aali Maqam r.a k teesray sahab zaaday Ali Asghar r.a thay. Oun ki walida qabila bani qaza’a sy theein. Yeh sheerkhwar bachay thay. 4. Aap ki aik sahabRead More →

*~*Rawangi Makka Sy Koufa*~* Hazrat Imam Hussain r.a Makah Moazma sy 8 Zill Hajj ko Koufa k leay rawana hoay. Jab Aap r.a rawana honay lagay tou Aap r.a ki khidmat mein darkhuwast ke gae k Aap r.a kuch din or Makkah mein guzar lain. Lakin Hazrat Imam Hussain r.a k samnay apnay walid E girami ka ye Irshad tha… “K Makaha Moazma k haram k taqadus quraish k aik shakhs k sabab sy pamaal ho ga. Or ous aik shakhs k sabab sy Makkah mein Khoon bahay ga. Aap r.a ny farmay k Mumkin hy k Makkah mein Yazeedi fouj mere giraftaari ka iqdaamRead More →

*~*Ehl E Koufa k Naam Khat*~* Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ki Shahadat ki khabar Hazrat Imam Hussain r.a ko abhi tak nahi mili thee. Is leay Aap r.a ny Maqam “Hajar” sy Qais bin mash’rah haidawi ko khat dy kr Koufa rawana keya. Jis mein Aap ny likha k… “Mujhy Muslim Bin Aqeel ka khat mil geya jis mein ounhon ny hamaray muta’aliq Husn E Raaey or hamari madad o haq talbi k leay tumharay ijtama ki khabar de hy. Allah ta’ala hamain hamaray maqsad mein kamiyaab farmaey. Main 8 Zul Hajj ba roz mangal ko yom e tarwiyaah ko Makkah sy rawana hoRead More →

*~*Shahadat E Muslim bin Aqeel ki Khabar*~* Qafla E Hussaini Koufa k halaat sy be khabar koufa ki taraf rawan dawan tha. Rastay mein har chara-gaah sy jis par qafla ka guzar hota kuch log hamraah ho jatay. Jab qafla E Hussaini r.a “Sa’albah” k maqam par pohancha tou Hazrat Imam Hussain r.a ko Hazrat Muslim bin Aqeel r.a or Hani bin Urwah r.a ki shahadat ke khabar mili. Abdullah bin Muslim al Asadi r.a or Manzar bin Mashmal al Asadi r.a sy riwayat hy k… Jab ham hajj sy farig hoay tou hamain Hazrat Imam Hussain r.a k sath shamil honay sy ziada pasandeedaRead More →

*~*Hur ki Aamad*~* Imam E Aali Maqam r.a ny apna safar jari rakha or jab Hussaini qafla “Koh e Zi Hasham” k maqam par pohanch kr khaima zan hoa tou Hurr bin yazeed taimi jo k hakomat E Yazeed ki taraf sy Aap r.a ko giraftaar krnay k leay bheija geya tha wo aik hazar musalah sawaron k sath pohanch geya. Dopehar ka waqt tha dushman k ghoray or aadmi piasay thay… Hazrat Imam Hussain r.a ny sab ko pani pilwaya… Ghaliban isi hamdardi k sabab Hurr Aap r.a sy kuch kehnay ki jurat na kr saka. Yahan tak k zohar ki namaz ka waqtRead More →

*~*Zameen e Karbala par*~* Abhe Aap r.a thorra sa chalay thay k Hurr k sipahiyon ny aa kar rok deya or kaha k bas yahein uttar jaein. Faraat yahan sy door nahi hy. Aap r.a ny poucha is jagah ka naam keya hy…?? Logon ny kaha is ka naam karbala hy. Ous lafz ko suntay he aap ghorray sy uttar parray or farmaya : Ye karbala hy. Jo maqaam e karab o bala hy.Yehi hamary ounton k bhaitny ke jagah hy yaheen hamary maal o asbaab utrain gy or isi maqaam par hamary sathi qatal keay jain gy ” 61 hijri Muharam ke 2 tareeqkhRead More →

*~*Umar Bin Saad ki Aamad*~* Idhar qafila E Hussaini karbala k maidan mein khaima’zan tha. Dosri traf yazeedi hakomat in Nafus e qudsiya par qayamat barpa krnay ke bharpur tayarion mein masroof thay. 3 Muharam ul Haraam ko Umar bin saad 4000 sipahiyon k sath muqabla k leay koufa sy Karbala pohanch gaya. Ibn e ziyaad ny yeh lashkar “Wailam” k leay taiyar keya tha. Lakin jab Hazrat Imam Hussain r.a ka moamla paish aa gaey tou ous ny umar bin saad ko hukam deya k pehlay Hussain r.a ki taraf jao or ous sy farigh ho kr Wailam ko chalay jana. Umar bin saadRead More →

*~*Pani Band Krnay ka Hukam*~* Umar bin saad ny Hazrat Imam Hussain r.a k pass qasid bheija k Aap r.a kion tashreef laaey? Aap r.a ny farmaya k ehlay koufa ny likha tha k main oun k pass aaon. Ab agar mujh sy be’zaar hein tou main wapis Makkah chala jata hon. Jab ibn e saad ko yeh jawab mila tou ous ny kaha k mere tamana hy k Allah ta’ala kisi tarah mujhy Hazrat Imam Hussain r.a k khilaaf jang krnay sy bacha ly. Is leay ous ny ibn e ziyaad ko likh bheija k Hazrat Imam Hussain r.a Ehl e koufa ki ounRead More →

*~*Imam E Aali Maqam r.a Or Ibn E Saad ki Mulaqaat*~* Hazrat Imam Hussain r.a ny Ibn e saad ko paigham bheija k aaj raat mein ham tum sy milna chahtay hein. Ibn e saad ny yeh baat maan li or raat k waqat 20 sawaron k sath dono lashkaron k beech mein aaya. Aap r.a bhe 20 sawaron k sath tashreef ly gaey. Phir dono ny apnay sathiyon ko alehda keya or tanhai mein dair tak guftago krtay rahay. Aakhir mein Hazrat Imam Hussain r.a ny farmaya… K main 3 batain paish krta hon… oun mein sy tum jisay chaho mere leay manzor kro…Read More →