23. Makkah Sy Koufa Rawangi

*~*Rawangi Makka Sy Koufa*~*

Hazrat Imam Hussain r.a Makah Moazma sy 8 Zill Hajj ko Koufa k leay rawana hoay.
Jab Aap r.a rawana honay lagay tou Aap r.a ki khidmat mein darkhuwast ke gae k Aap r.a kuch din or Makkah mein guzar lain.
Lakin Hazrat Imam Hussain r.a k samnay apnay walid E girami ka ye Irshad tha…
“K Makaha Moazma k haram k taqadus quraish k aik shakhs k sabab sy pamaal ho ga. Or ous aik shakhs k sabab sy Makkah mein Khoon bahay ga.
Aap r.a ny farmay k Mumkin hy k Makkah mein Yazeedi fouj mere giraftaari ka iqdaam kray or hamaray haami hamaray difaa mein talwarain utha lain.
Is tarah mery sabab sy harm E Makkah mein khoon bahy.
Imam E Aali Maqam r.a tawaqul bar Khuda Koufa ki traf rawana ho gaey.
Rastay mein ‘Saffah’ k maqaam par Arab k Mash’hoor shaair Farzoq sy Aap r.a ki mulaqat hoe.
Wo Koufa sy aa raha tha.
Farzoq ny Aap r.a ko salaam keya or dua daitay hoay kaha k… Allah ta’ala Aap r.a ki muraad pouri kray or…

Msg 2
…Aap r.a ko wo cheez atta farmaey… Jis k Aap r a talab gaar hein.
Hazrat Imam Hussain r.a ny pocha k tumharay peechay logon ka kia haal hy?
ous ny kaha:
“Logon k dil tou Aap r a k sath hein magar oun ki talwaren Bani Umaiya k sath hein”
Ta’ham qazaey Elaahi aasman sy nazil hoti hy.
Or Allah jo chahta hy krta hy.
Aap r.a ny farmaya…
“Tum ny sach kaha. Be’shak pehlay bhi Allah he k hath mein amar tha or baad mein bhe Ossi k hath mein ikhtiyaar hy. Wo jo chahta hy krta hy.
Hamaray Rab ki har roz nae shaan hy.
Agar qaza E Elaahi wohi hy…
Jo ham chahtay hein. tou ham Allah ki naimaton par Oss ka shukar adda krtay hein.
Or shukar adda krnay par Wohi hamara madadgaar hy.
Or agar qaza E Elaahi hamari umeed k khilaaf hy tou jis shakhs ki niyyat saleh ho or wo mutaqi ho tou ous ki shikayat nahi karty”
Is k baad Imam E Aali Maqam r.a ny apni sawari ko chalaya or Salaam krtay hoay dono aik dusray sy rukhsat ho gaey…

Msg 3
…Farzoq sy mulaqat k baad Qafila E Hussaini aagay barrha tou Aap r.a k bhanjay Hazrat Aoun O Muhammad r.a.a apnay walid Hazrat Abdullah bin Jafar r.a ka khat ly kr pohanch gaey.
Khat mein likha tha.
“Main Khuda k naam par Aap sy Iltaja krta hon k mera yeh khat daikhtay he Aap r.a wapis loat aaein, jo safar Aap r.a ny ikhtayar keya hy ous mein mujhy Aap r.a ki halakat or Aap r a k Ehl E Bait ki barbadi ka khoaf hy.
Aaj agar Aap r a halaak ho gaey tou Islam ka noor bujh jaey ga.
Aap hidayat yafton k rehnuma or Ehl E Emaan ki Umeed hein.
Aap safar mein ujlat na krain.
Is khat k peechay main khud aa raha hon. Wasalaam”
Hazrat Abdullah bin Jafar r.a ny apnay bachon k hath yeh khat rawana kr k khud Ameer E Makkah Umru Bin Saeed sy mulaqaat ki or ousay kaha k Hazrat Imam Hussain r.a ko aik khat bhej dain. Jis mein ounhein amaan dainay or naiki O ehsan krnay ka wada ho…

Msg 4…
…Or khat mein ounhein wapis aanay ki darkhwast ki gae ho, mumkin hy is tarah Wo mutma’in ho kr wapis aa jaen.
Umru bin Saeed ny kaha k jo kuch Aap r.a likhna chahtay hein… Wo mere taraf sy likh lain main ous par mohar laga don ga.
Is par Hazrat Abdullah bin Jafar r.a ny jo likhna chaha Umru bin Saeed ki traf sy likha or ous par ous ny mohar sabat kr de.
Aap ny ous sy mazeed kaha k mery sath kisi admi ko amaan k tor per bheij do.
Is par Umru bin Saeed ny Yahyaa ko Aap r.a k hamraah rawana kr deya.
Hazrat Abdullah bin Jafar or Yahyah khat ly k rawana ho gaey.
Hat’ta k Hazrat Imam Hussain r.a sy jaa milay or ounhein yeh khat parrh kr sunaya.
Hazrat Imam Hussain r.a ny Wapas aanay sy inkaar krtay hoay farmaya:
“Main ny Rasool Allah S.A.WW Ko khawab mein daikha hy.
Aap S.A.WW ny mujhy aik kaam sar anjaam dainay ka hukam farmaya hy. Jis ko Main har halat mein anjaam doun ga.
Ounhon ny pocha wo khuwab kia hy..???

Msg 5
…Aap r.a ny farmaya k, “yeh khawab main kisi ko nai bataon ga.
Yahan tak k main apnay Rab sy jaa milon”
Imam E Aali Maqam r.a ny Umru bin Saeed ki tehreer ka jawab likh kr oun k sapurd keya.
Hazrat Abdullah kuch majburion ki wajha sy ous safar mein Aap r.a k sath nai jaa saktay thay.
ounhon ny apnay sahabzaadon Aoun O Muhammad ko Aap r.a k sath rehnay ki hidayat ki or khud wapis aa gaey.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *