22. Karbla Janay Walay Ehlay Bait

*~*Karbala Janay Walay Ehl E Bait*~*

1. Is Safar mein Hazrat Imam Hussain r.a k 3 Sahab zaaday Aap r.a k hamraah thay.
Hazrat Ali Aos’at jin ko Imam Zain Ul Aabideen r.a kehtay hein.
Ye Hazrat Sheher Bano k Batan sy thay.
ous waqt oun ki Umar 22 saal thee or beemar thay.
2. Aap k Dosray Sahab zaaday Ali Akbar r.a thay.
oun ki umar 18 saal thi. yeh karbala mein muqeed hoay.
3. Imam Aali Maqam r.a k teesray sahab zaaday Ali Asghar r.a thay.
Oun ki walida qabila bani qaza’a sy theein.
Yeh sheerkhwar bachay thay.
4. Aap ki aik sahab zaadi Hazrat Sakeena r.a bhi hamraah theein.
Jin ki nisbat Hazrat Qasim r.a k sath hoe thee.
Is waqt oun ki umar 7 saal thi.
5. Hazrat Imam Hassain r.a ki 2 biviyaan hamraah theein.
Aik Sheher Bano r.a
6. Dosri Hazrat Ali Asghar ki walida.
Hazrat Imam Hassan r.a k chaar nao’jawan sahab zaaday bhe hamraah thay.
Jo karbala mein shaheed hoay.
7. Hazrat Qasim r.a
8. Hazrat Abdullah r.a

Msg 2
9. Hazrat Umar r.a
10. Hazrat Abu Bakar r.a
or Hazrat Ali r.a k 5 farzand bhe Imam E Aali Maqam r.a k hamraah thay.
Sab ny Shahadat paaei.
11. Hazrat Abaas bin Ali r.a
12. Hazrat Usman bin Ali r.a
13. Hazrat Abdullah bin Ali r.a
14. Hazrat Muhammad bin Ali r.a
15. Hazrat Jafar bin Ali r.a
Or Hazrat Aqeel r.a k Farzandon mein sy Hazrat Muslim r.a or oun k 2 Sahab zaaday tou Imam E Aali Maqam r.a k karbala pohanchny sy pehlay he Koufa mein shaheed ho chukay thay.
Or 3 Farzand karbala mein shaheed hoay.
16. Hazrat Abdullah r.a
17. Hazrat Abdur Rehman r.a
18. Hazrat Jafar r.a
Or Hazrat Jafar Tayar r.a k 2 potay bhi karbala mein Imam E Aali Maqam r.a k hamraah shaheed hoay.
19. Hazrat Muhammad r.a
20. Hazrat Aoun r.a
In k walid ka naam Abdullah bin Jafar hy.
Or in ki walida ka naam Hazrat Zainab r.a
Hazrat Imam Hussain r.a ki Haqeeqi behan hein.
Or yeh dono Imam E Aali Maqam r.a k bhanjay hein.

Msg 3…
Sahab zaadgaan E Ehl E Bait mein sy kul 17 Hazraat Hazrat Imam Hussain r.a k hamraah karbala mein shahadat sy sar faraz hoay.
Or Hazrat Imam Zain ul Aabideen r.a , Umar bin Hassan r.a, Muhammad bin Umar Bin Ali r.a or dousray kam umar sahabzaday qaidi banaey gaey.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *