24. Ehlay koufa k Nam Khat

*~*Ehl E Koufa k Naam Khat*~*

Hazrat Muslim bin Aqeel r.a ki Shahadat ki khabar Hazrat Imam Hussain r.a ko abhi tak nahi mili thee.
Is leay Aap r.a ny Maqam “Hajar” sy Qais bin mash’rah haidawi ko khat dy kr Koufa rawana keya.
Jis mein Aap ny likha k…
“Mujhy Muslim Bin Aqeel ka khat mil geya jis mein ounhon ny hamaray muta’aliq Husn E Raaey or hamari madad o haq talbi k leay tumharay ijtama ki khabar de hy.
Allah ta’ala hamain hamaray maqsad mein kamiyaab farmaey.
Main 8 Zul Hajj ba roz mangal ko yom e tarwiyaah ko Makkah sy rawana ho chuka hon.
Jab tumharay pass mera Qasid pohanchy tou makh’fi toar par apnay kaam k leay koshish barrha dain.
Main InshaAllah Jald he tumharay pass pohanchnay wala hon.
Wasalaam O Alikoum Waa Rehmat ullah E Waa Barakat O Ho!”
Hazrat Qais jab Imam E Aali Maqam r.a ka khat ly kr Qadsiya pohanchy tou Haseen Bin Nameer jo Ibn e ziyaad k hukam sy pehlay he fouj k…

Msg 2…
… sath taak bandi keay hoay tha.
ous ny Qais ko giraftaar kr k ibn e ziyaad k pass bheij deya.
Ibn e ziyaad ny kaha agar tum apni jaan bachana chahtay ho tou governer house ki chat par charrh kr Hussain Bin Ali r.a k khilaaf taqreer kro or Oun ko bura bhala kaho.
Hazrat Qais chat par charrh gaey.
Or Hamd O Salat k baad farmay: Aey Logo…!! Rasool Akram S.A.WW K Piaray Nawasay Hazrat Hussain bin Ali r.a is waqt Khalq E Khuda mein sab sy behtareen Shakhs Hein.
Main Oun hi ka bheija hoa tum logon k pass aaya hon.
Tumhara farz hy k Oun ki Madad k leay qadam barhao.
Or oun ki aawaz par Labaik kaho.
Phir Hazrat Qais ny ibn e ziyaad or ous k baap ko bura bhala kaha.
Or Hazrat Ali k leay dua e khair ki.
Ibn e ziyaad Aap r.a ki taqreer soun kr sakht ghazab naak ho gaya.
Or hukam deya k isay chatt k ouper sy neechay gira do… ta k is k tukray tukray ho jaen. Be’rehmon ny ounhein neechay gira deya jis sy oun ki hadiyaan…

Msg 3…
… chikna chour ho gaeein.
Or aisay Imam E Aali Maqam r.a ka Aik sacha muhib Aap r.a par qurban ho geya.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *