25. Shahadat e Muslim Bin Aqeel r.a ke Khaber

*~*Shahadat E Muslim bin Aqeel ki Khabar*~*

Qafla E Hussaini Koufa k halaat sy be khabar koufa ki taraf rawan dawan tha.
Rastay mein har chara-gaah sy jis par qafla ka guzar hota kuch log hamraah ho jatay.
Jab qafla E Hussaini r.a “Sa’albah” k maqam par pohancha tou Hazrat Imam Hussain r.a ko Hazrat Muslim bin Aqeel r.a or Hani bin Urwah r.a ki shahadat ke khabar mili.
Abdullah bin Muslim al Asadi r.a or Manzar bin Mashmal al Asadi r.a sy riwayat hy k…
Jab ham hajj sy farig hoay tou hamain Hazrat Imam Hussain r.a k sath shamil honay sy ziada pasandeeda kuch na tha.
Is leay ham ny Imam E Aali Maqam r.a ko rastay mein jaa leya.
Isi doran mein qaflay ka guzar bani asad k aik aadmi k qareeb sy hoa. tou Aap r.a ny ous sy halaat daryaft krnay ka irada farmaya… phir khayal tarak farma deya.
Jab ham ous shakhs k pass sy guzray or ous sy Koufa k logon k baray mein pocha tou ous ny kaha:
“Khuda ki qasam! Jab main koufa sy nikla tou…
Msg 2
Muslim bin Aqeel r.a or Hani bin Urwah r.a qatal ho chukay thay…
oun ko tangon sy pakarr kr bazaron mein ghaseeta jaa raha tha”
Abdullah or Manzar k baqoal ounhon ny tamam halaat Hazrat Imam Hussain r.a k gosh guzar keay tou Aap ny kai baar “Ina lil’lah Waa Inaa ilahe Rajeoon” parrha.
Abdullah or Manzar kehtay hein
“Phir ham ny arz keya k ham Aap r.a ko Khuda ka wasta daitay hein k Aap r.a apni or apnay ghar walon ki fikar krain or yahen sy wapis loat jaein kion k Koufa mein koi bhe hami O madad gaar nai hy bal’k hamain andeshah yeh hy k Aap r.a ko dawat dainay walay he Aap r.a k dushman ho jaein gy.
Yeh soun kr Muslim bin Aqeel r.a k teeno bhai kharray ho gaey or josh mein aa kr kaha Khuda ki Qasam ham wapis nahi hon gy.
Jab tak Muslim k khoon ka badla nahi ly lain gy ya phir ham bhe oun ke tarah qatal nahi ho jaeon gy.
Muslim bin Aqeel r.a k bhaiyon ke baat soun kr Hazrat Imam Hussain r.a ny farmaya k….
Msg 3…
…in logon k baad zinda rehnay mein koi lutf O bhalai nahi hy”
Aap r.a k baaz sathiyon ny yeh bhi kaha k Khuda ki Qasam…!!!
Aap Muslim bin Aqeel r.a ki tarah nahi hein, joun he Aap r.a koufa tashreef ly jaen gy sab Aap k sath ho jaen gy”
Jab Hazrat Imam Hussain r.a apnay qaflay k hamraah “Zarod” k maqam par pohanchay tou Aap r.a ko apnay Qaasid Hazrat Qais k qatal ki khabar mili.
Jisay Aap r.a ny Makkah sy rawangi k baad Maqam E Hajar sy Koufa walon k leay khat dy kr rawana keya tha.
Is alam naak khabar k milnay k baad Aap r.a ny apnay rufqa ko jamaa kr k farmaya:
“Hamaray Sheeyon ny ham ko chorr deya hy. tum mein sy jo wapis jana chahay wo Ba’khushi wapis chala jaey hamari traf sy ous par koi pabandi ya ilzaam nai”
Aap r.a ny yeh is leay farmay k rastay mein dehaat k bohat sy log is khayal k tehat Aap r.a k sath ho gaey thay k shayad Aap r.a kisi aisay shehar jaa rahay hein jahan k rehnay…
Msg 4
…. walon ny Aap r.a ki ita’at qabool kr li hy.
Jab k in logon ko sahi halaat sy aagah kiye bagair ly jana munasib nahi tha.
Or Aap r.a jantay thay k jab in ko sahi halaat ka ilm ho ga tou Aap r.a k hamraah sirf wohi log reh jaen gy jo Aap r.a k sath Jaan ki bazi lagany par bhe tayar hon gy.
Aap r.a k is ailaan k baad bohat sy wo log jo rastay mein shamil hoay thay muntashir ho gaey or ab Aap r.a k sath wohi log reh gaey jo Makkah sy chalay thay.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *