26. Hurr ke Aamad

*~*Hur ki Aamad*~*

Imam E Aali Maqam r.a ny apna safar jari rakha or jab Hussaini qafla “Koh e Zi Hasham” k maqam par pohanch kr khaima zan hoa tou Hurr bin yazeed taimi jo k hakomat E Yazeed ki taraf sy Aap r.a ko giraftaar krnay k leay bheija geya tha wo aik hazar musalah sawaron k sath pohanch geya.
Dopehar ka waqt tha dushman k ghoray or aadmi piasay thay… Hazrat Imam Hussain r.a ny sab ko pani pilwaya…
Ghaliban isi hamdardi k sabab Hurr Aap r.a sy kuch kehnay ki jurat na kr saka.
Yahan tak k zohar ki namaz ka waqt aa gaya or azaan perrhi gae…
Tou Imam E Aali Maqam r.a ny Hamd O salaat k baad Hurr or ous ke fouj ko mukhatib krtay hoay irshad frrmaya:
Aey Logo….!!
Main Khuda E ta’ala ki baar gaah mein or tumharay samnay apni safai paish krta hon k main ous waqt tak tumhari taraf nai aaya jab tak k tumharay khatoot mere taraf nahi aa gaey k Aap r.a hamari taraf aaein.
Hamara koe Imam nahi hy.
Msg 2…
Msg 2
… shayed Aap r.a k sabab ham logon ko Khuda E ta’ala hidayat par jama farma dy.
Ab agar tum log apni baat par qaaim ho tou main aa he gaya hon.
Tum mujh sy ehad kro ta’k mujhy itminaan ho jaey tou main tumharay shehar mein chaloun.
Or agar mera aana pasand nahi krtay tou main jahan sy aaya hon waheein wapais chala jaon ga”
Aap r.a ki is taqreer k baad khamoshi rahi.
Kisi ny koi jawab na deya.
Aap r.a ny Hurr sy poucha k tum hamaray sath namaz perrho gy ya alag perrhna chaho gy?
Hurr ny kaha Aap r.a namaz perrhaiye ham Aap r.a k peechay perrhain gy.
Or aisa he hoa k dono taraf k logon ny Hazrat Imam Hussain r.a k peechay namaz adda ki or namaz k baad Aap r.a apnay khaimay mein chalay gaey.
Jab asar ka waqt hoa tou Imam E Aali Maqam r.a ny apnay sathiyo ko hukam deya k rawana honay k leay sab taiyar ho jaein.
Phir khaima sy bahir tashreef laaey or ous waqt bhi dono atraaf k logon ny Aap r.a k peechay he namaz adda ki…
Msg 3
Msg 3
… Namaz k baad Aap r.a ny majma ki traf rukh keya or Hamd O Salat k baad farmaya:
Aey Logo! Agar tum taqwa ikhtiyaar kro gy or haq pehchano gy tou Allah ta’ala ki khushnodi hasil kro gy.
Jo tum par zulm o ziadti k sath hakomat krtay hein…
Ehl e bait E Nabuwat oun k muqablay mein khilafat k ziyada mustahiq hein…
Lakin agar tum log ham ko pasand nahi krtay ho or hamaray haq ko nahi pehchantay ho or tumhari raa’ey ous k khilaaf ho gae…. Jo tumharay khatoot sy zahir hy tou main wapis chala jaon ga.
Hurr ny kaha k Ba Khuda hamen nahi maloom k wo khatoot kaisay hein jin ka Aap r.a zikar farma rahay hein.
Is par Aap r.a ny Khatoot k thaily ko mangwa kr sab k samnay ulta deya.
Hurr ny kaha k ham oun logon mein sy nahi hein.
Jinhon ny Aap r.a ko yeh khatoot likhay hein.
Ham ko tou yeh hukam deya gaya hy k jahan bhi Aap r.a mil jaen ham Aap r.a ka sath na chorrain.
Yahan tak k ibn e ziyaad k pass pohancha dain,
Msg 4
Msg 4
… Aap r.a ny farmaya “Moat ous sy ziada qareeb hy”
Aap r.a ka matlab tha k Mujhy zinda giraftaar kr k ibn e ziyaad k pass ly jana na mumkin hy.
Is k baad Hazrat Imam Hussain r.a ny apnay sathiyon sy farmaya: “Sawar ho jao”
Jab mard or aouratein sab sawar ho gaey or Aap r.a ny wapis lotnay ka irada farmaya tou Hur k lashkar ny Aap r.a ka rasta rok leya.
Is par Hazrat Imam Hussain a.s ny Hurr sy kaha
“Tere maan tujhy roay too kia chahta hy”
Hurr ny jawaban kaha… Khuda ki Qasam…!!
“Agar Aap r.a k ilawa koi dosra arab yeh baat kehta tou main ous ke maan ko bhe aisay he kehta lakin main har haal mein Aap r.a ki walida majidah ka naam Izat o ehtaram sy loun ga”
Imam E Aali Maqam r.a ny farmay tou ab kia chahta ho?
Hurr ny kaha main Aap r.a ko ibn e ziyaad k pass ly jana chahta hon.
Aap r.a ny Farmaya ” Khuda ki qasam! Ye nahi ho ga.”
Hurr ny kaha
Khuda ki Qasam…
Main bhe Aap r.a ko nahi chorron ga.
Isi trah takrar hoti rahi. Aakhir…
Msg 5
Msg 5
… Aakhir mein Hurr ny kaha k mujhy Aap r.a sy larrnay ka hukam nahi deya geya.
Mujhy tou sirf yeh hukam hy k main Aap r.a k sath sath rahon.
Yahan tak k Aap koufa pohanch jaein.
Or agar Aap r.a koufa janay sy inkaar krtay hein tou Jab tak ibn e ziyaad ki raaey maloom na kr loun Aap r.a aisa rasta ikhtiyaar krain jo na koufa ki taraf jata ho na Madina ki taraf…
Aap r.a ko ous ki yeh baat behtar lage…
Aap r.a ny qaflay ko kooch ka hukam farmaya…
Or Ghadeeb or Qadsiyah janay walay rastay sy baa’en janib ko ho leay or Hurr bin yazeed Aap r.a k sath chalta raha.
Chaltay chaltay jab Aap r.a Nainwa k maidan mein pohanchay tou Aap r.a ny Koufa sy aaey hoay aik sawar ko daikha.
Sab log thehar kr ous ka intazar krnay lagay.
Wo aaya tou ous ny Hazrat Imam Hussain r.a or oun k sathiyon ko salaam krnay ki bajaey Hur ko salaam keya or ibn e ziyaad ki taraf sy Hur ko aik khat deya.

Msg 6
… ous khat mein likha tha k
“Jis waqt mera qasid mera khat ly k tumharay pass pohanchay tou ousi waqt sy Hussain par sakhti kro… pas tum ous ko siwaey aisay khulay maidaan k jahan na koi panah gaah ho or na pani ho….
ounhein kahin or na otararnay do.
Main ny apnay qasid ko hukam deya hy k wo tumharay sath he laga rahay or ous waqt tak tum sy alag na ho jab tak k mere pass yeh khabar na aa jaey k tum ny mery hukam par amal keya hy”
Jab Hurr ny yeh khat parrha tou ous ny Hazrat Imam Hussain r.a or Aap r.a k rufaqa sy kaha
” Ye ameer bin ziyaad ka khat hy jis mein ous ny mujhy hukam deya hy k main Aap r.a k sath sakhti kron or aisi jagah k siwa jahan na koi basti ho or na pani kisi or jagha na utarnay don”
Aap r.a ny sathiyon sy kaha:
Ham teeno! Ghazariya or Shafiya mein utrain gy”
Hurr ny kaha main aisa nahi kr sakta kion k ous shakhs (qasid) ko mujh par nigrani k leay muqarar keya gaya hy”


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *