27. Zameen e Karbla Par

*~*Zameen e Karbala par*~*

Abhe Aap r.a thorra sa chalay thay k Hurr k sipahiyon ny aa kar rok deya or kaha k bas yahein uttar jaein.
Faraat yahan sy door nahi hy.
Aap r.a ny poucha is jagah ka naam keya hy…??
Logon ny kaha is ka naam karbala hy.
Ous lafz ko suntay he aap ghorray sy uttar parray or farmaya :
Ye karbala hy.
Jo maqaam e karab o bala hy.Yehi hamary ounton k bhaitny ke jagah hy yaheen hamary maal o asbaab utrain gy or isi maqaam par hamary sathi qatal keay jain gy ”
61 hijri Muharam ke 2 tareeqkh jumraat k din Imam Aali maqaam r.a apny ehal o ayaal or sathio samait yahan khaima’zan ho gaey…
Karbala pohanchty he Hazrat Imam Hussain r.a ko Hazoor Nabi Akram S.A.WW k wo farmain yaad aa rahy thay jo Aap S.A.WW ke de hoe bashaartein Aap r.a k aankho k samny aa gaeein.
Aap r.a ko bachpan ka wo lamha yaad aa gea jab Hazrat Ume Salma r.a ke rawayat k mutabiq Aap r.a in k ghar mein apny barry bhai Hazrat Hassan r.a k sath…

Msg 2
… Aap S.A.WW k saamny khail rahay thay k Jibraaeel ameen a.a nazil hoay or kaha,
“Aey Muhammad S.A.WW..!! Beshak Aap S.A.WW ke ummat mein sy aik jamaat Aap S.A.WW k is baitay Hussain r.a ko Aap S.A.WW k baad qatal kar dy ge”.
Or Hazoor S.A.WW ko Hazrat Hussain r.a ke jaaey shahadat ke thorri se matti de.
Rasool S.A.WW ny is matti ko soungha or farmaya k,
“Is mein ranj o bala ke bou aati hai”
or Hazoor S.A.WW ny Hazrat Imam Hussain r.a ko apny seenay sy chimta leya or roo deay.
Phir Aap S.A.WW ny farmaya,
“Aey Umm e Salma..!! Jab yeh mati khoon mein badal jaaey to jaan laina k mera yeh baita qatal ho gea.
Hazrat Umm e Salma r.a ny is matti ko botal mein rakh deya tha wo har rooz is ko daikhteein or farmatin k,
“jis din yeh matti khoon ho jaey ge to wo din azeem din ho ga ”
Yehi wo maidaan tha jis ke nisbat Hazrat Imaam Hussain r.a k Muhtaram Walid Hazrat Ali r.a ny farmaya tha k,
“yeh in (Hussain or is k qafily) k ounton k baithnay ke jagah hy or yeh oun k kajaaway rakhny ke jaga hy or…

Msg 3
…yeh oun k khoon ka maqaam hy.
Aallay Muhamad S.A.WW ka aik giroh is maidan mein shaheed ho ga jis par zamee o asmaan roaein gay ”
Chounk maidan e karbala or Hazrat Imam Hussain r.a ke shahadat k baray mein basharatin pehly sy de ja chuki theen is leay Imam e Aali Maqaam r.a ny ous maidaan ko apny safar ke intahaa samajh kar khaimy laga deay.
Hurr ny bhe Aap r.a k muqably mein khaimy nas’ab ker deay.
Hurr k dil mein agarchy ehal e bait e nabuwat ke azmat thee or yahan tak k is ny apni namazain bhe Hazrat Imam Hussain r.a k pechay he adda ke theen magar wo Ibn e ziyaad k hukam sy majboor tha.
Wo ibn e ziyaad k zaalim or saffaq mizaaj sy waqif tha or isy ilm tha k is ny Hazrat Imam Hussain r a or in k sathiyon k sath kisi qism ke koe narmi rawa rakhi ya ibne ziyaad ke hukam adooli ke koshish ke to yeh baat aik hazaar k lashkar k samny chupi nahi rahay ge.
Jab ibn e ziyaad ko is ka ilm ho ga to wo hargiz maaf nai kary ga or sakht saza dy ga is khouf ke wajah sy Hurr ibn e ziyaad k hukm par brabar amal krta raha.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *