28. Umar Bin Saad ke Aamad

*~*Umar Bin Saad ki Aamad*~*

Idhar qafila E Hussaini karbala k maidan mein khaima’zan tha.
Dosri traf yazeedi hakomat in Nafus e qudsiya par qayamat barpa krnay ke bharpur tayarion mein masroof thay.
3 Muharam ul Haraam ko Umar bin saad 4000 sipahiyon k sath muqabla k leay koufa sy Karbala pohanch gaya.
Ibn e ziyaad ny yeh lashkar “Wailam” k leay taiyar keya tha.
Lakin jab Hazrat Imam Hussain r.a ka moamla paish aa gaey tou ous ny umar bin saad ko hukam deya k pehlay Hussain r.a ki taraf jao or ous sy farigh ho kr Wailam ko chalay jana.
Umar bin saad ny Hazrat Imam Hussain r.a par hamlay sy inkaar kr deya.
Kion k Umar bin saad Hazrat Saad bin Abi Waqaas r.a jo Sahabi E Rasool S.A.WW or Ashra Mubashra mein sy hein. oun ka baita tha.
Wo Nawasa E Rasool S.A.WW Hazrat Imam Hussain r.a ki fazeelat sy khob waqif tha.
Is leay ous ny kaha k mujhy is amar k leay na bhejain main yeh nahi kr sakta or sath he ous ny apna isteefa paish kr deya.

Msg 2
….Is par ibn e ziyaad ny kaha k agar tum chaho tou main tumhara isteefa manzor kr laita hon magar is k sath he main tumy dosray elaqon ki walayat sy maazool kr doun ga.
Jin par main ny tumy apna naa’ib banaya hy.
Umar bin saad ny is masla par goar krnay k leay kuch mohlat mangi or phir ous ny is moamla mein jis sy bhi mashwara keya ous ny is ko Hazrat Imam Hussain r.a par hamla krnay sy roka hat’ta k ous k bhanjay Hamza bin Mugheera bin shayah ny kaha k… Khuda k leay Imam Hussain r.a par hargiz lashkar kashi na krna. Yeh sar’sar Allah ki na farmani or Qataa e Rehmi hy.
Khuda ki qasam…!!
Agar tumy saray jahan ki saltanat sy bhe hath dhonay parrain tou yeh tumharay leay Hazrat Imam Hussain r.a ka khoon bahanay or apni gardan par lainay sy ziada aasan hy.
Ibn e saad ny kaha InshaAllah main aisa he kron ga.
Magar jab ibn e ziyaad ny ousay maazool krnay k elawa qatal krnay ki dhamki di tou…

Msg 3
… wo 4000 k lashkar k hamraah Hazrat Imam Hussain r.a ki traf rawana ho kr 3 Muharam ko karbala pohanch geya or phir barabar peechay sy kamak pohanchti rahi. Yahan tak k ibn e saad k pas 22 hazar ka lashkar jama ho geya.
Kitni hairat ki baat hy k Hazrat Imam Hussain r.a k sath kul 72 admi hein.
Jin mein bibiyaan or bachay bhi hein or phir jang k iraday sy bhi nahi aaey.
Is leay larrai ka samaan bhe nahi rakhtay thay.
Magar Ehl E Bait E Nabuwat ki shuja’at or bahaduri ka ibn e ziyaad k dil par itna asar tha k oun k muqablay k leay 22 hazar ka lashkar e jar’aar bheij deya or dugni, chugni, das guni tou kia sao guni tadaad ko bhe kaafi na samjha.
Or koufa k tamam qabilay jang afraad ko karbala mein bheij deya.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *