29. Pani Band Krnay Ka Hukam

*~*Pani Band Krnay ka Hukam*~*

Umar bin saad ny Hazrat Imam Hussain r.a k pass qasid bheija k Aap r.a kion tashreef laaey?
Aap r.a ny farmaya k ehlay koufa ny likha tha k main oun k pass aaon.
Ab agar mujh sy be’zaar hein tou main wapis Makkah chala jata hon.
Jab ibn e saad ko yeh jawab mila tou ous ny kaha k mere tamana hy k Allah ta’ala kisi tarah mujhy Hazrat Imam Hussain r.a k khilaaf jang krnay sy bacha ly.
Is leay ous ny ibn e ziyaad ko likh bheija k Hazrat Imam Hussain r.a Ehl e koufa ki oun sy be’zaari sy Makkah wapis jana chahtay hein.
Lakin ibn e ziyaad ny jawab deya k…
Imam Hussain r.a or oun k sathiyon par pani band kr do… Or Hussain r.a sy kaho k wo khud or oun k hamraahi Ameer ul Mominen yazeed bin moawiya ki bait krain. Jab wo bait kr lain gy tou ham sochain gy k ab kia krna hy.
Is par ibn e saad ny Umro bin hajaj ko 500 sawaron ka aik dasta k sath darya e farat par muqarar kr deya k Imam or oun k sathiyon…

Msg 2
… par pani band ho jaey. Yeh Imam E Aali Maqam r.a ki shahadat sy 3 din pehlay yani 7 Muharam ki baat hy.
Hazrat Imam Hussain r.a ny apnay bhai Abbas r.a k sath 30 sawar or 20 paidal pani lainay k leay bheijy.
Umro bin hajaj apnay sathiyon k hamraah muzah’mat krnay laga. Lakin Hazrat Abbas r.a or aap k sathi muqablay k baad pani lanay mein kamiyaab ho gay.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *