30. Imam e Aali Maqam r.a or Ibn e Sad ke Mulaqat

*~*Imam E Aali Maqam r.a Or Ibn E Saad ki Mulaqaat*~*

Hazrat Imam Hussain r.a ny Ibn e saad ko paigham bheija k aaj raat mein ham tum sy milna chahtay hein.
Ibn e saad ny yeh baat maan li or raat k waqat 20 sawaron k sath dono lashkaron k beech mein aaya.
Aap r.a bhe 20 sawaron k sath tashreef ly gaey.
Phir dono ny apnay sathiyon ko alehda keya or tanhai mein dair tak guftago krtay rahay.
Aakhir mein Hazrat Imam Hussain r.a ny farmaya…
K main 3 batain paish krta hon…
oun mein sy tum jisay chaho mere leay manzor kro…
1. Jahan sy aaya hon waheen wapis janay do.
2. Mujhy kisi sarhadi maqam par ly chalo main waheen reh loun ga.
3. Mujhy seedha yazeed k pass damishq mein janay do. Itminaan k leay tum bhe mere peechay peechay chal saktay ho.
Main yazeed k pass jaa kr ous sy barah e rast apna moamla teh kr loun ga.
Jaisay k mery bhai Hazrat Hassan r.a ny Ameer Moawiya sy teh keya tha…
Msg 2
…Hazrat Imam Hussain r.a ka rawaiya itna naram or suljha hoa tha k ibn e saad ny iqrar keya k Hazrat Imam Hussain r.a sulah k rastay par hein.
Or ous ny bohat khush ho kr ibn e ziyaad ko likha k Khuda E ta’ala ny aag ka shoula bhuja deya or Itafaaq ki surat paida kr de. Or Ummat k moamlay ko suljha deya.
Phir Hazrat Imam Hussain r.a ki paish kash ki hoe teeno batain tehreer keein. Or aakhir mein apni raaey bhe likhi k ab ikhtalaf ki koi wajha nahi hy… Or ab is moamlay ko khatam hona chahiye.
Ibn e ziyaad ny khat parrh kr kaha k yeh tehreer aik aisay shakhs ki hy jo apnay ameer ka khair khawah or apni qoum ka shafeeq hy. Acha main ny manzor kr leya k in teeno mein sy aik baat maan li jaey.
ous waqt ibn e ziyaad k pas shimar bin zil joshan bhe baitha hoa tha.
Wo bad’bakht kharra ho geya or kehnay laga k kia tum Hussain r.a ki in sharton ko qabool krtay ho.
Halan k is waqt Wo tumhari girift mein hy. Khuda ki qasam…!!

Msg 3
… agar wo tumhari ita’at keay bagair yahan sy chala gaya tou yeh ous k ghalib O qavi or tumharay maghlob O kamzor honay ka baais ho ga.
ous ko aisa mouqa hargiz na do…
Is mein sara sar tumhari zilat hy.
Hona tou yeh chahiye k wo or oun k sathee tumharay hukam par gardanein jhuka dain. Phir agar aap ounhein saza dain tou aap ko haq hy…
Or agar maaf kr dain tou ous ka bhi ikhtiyaar hy tumhein…
Or rahi ibn e saad ki baat tou khuda ki qasam mujhy tou ye bhi maalom hoa hy k Hussain r.a or ibn e saad apnay lashkaron k maabain raat raat bhar baithay batain krtay rehtay hein.
Shimar khabees ki in baton sy ibn e ziyaad ki raaey badal gae or ous ny kaha k tum ny behtareen mashwara deya hy.
Phir ibn e saad ko likha k main ny tumy is leay nahi bheija k tum Hussain r.a ko bachanay ki fikar kro or sifarashi ban kr oun ki salamti chaho.
Ibn e ziyaad ny shimar zil joshan ko yeh hukam dy kr bheja k agar…
Hussain r.a or Ous k rufqaa mery hukam..
Msg 4
… ki tameel karain gy tou behtar warna umar bin saad ko hukam do k wo Hussain r.a or oun k ehbab par hamla kar dy. Or agar umar bin saad is par amal na kray tou ousay qatal kr do.
Or khawarij ki kaman khud sanmbhal lo.
Qatal e Hussain r.a mein susti krnay par ibn e ziyaad ny umar bin saad ko aik tehdeed aamaiz khat likha k..!
Agar Hussain r a or Ous k rufqaa ita’at qabool na krain tou oun sy jang kro kion k Wo baghee hein.
Ye khat ous ny shimar k sapurd keya or zabani keh deya k agar ibn e saad mere hukam par amal na kray tou pehlay tum ous ka sar kaat kr mery pass bheij daina.
Ibn e saad ny jab yeh khat parrha tou shimar sy kaha k kambakht tum ny yeh kia kaha, Khuda tujhy ghaarat kray.
Tou yeh kia mery pass laya hy.
Khuda ki Qasam..!
Main samajhta hon k ibn e ziyaad ko tou ny he mere mashwaray par amal krnay sy rok deya or is baat ko bigaar deya…

Msg 5
… jis k ban’ny ki umeed thee.
Khuda ki Qasam..! Hussain kabhe bhe Ibn e ziyaad k samnay sar nahi jhuka saktay.
Shimar ny kaha k in baton ko chorro or ye bataao k dushman ko qatal kro gy ya lashkar mery sapurd karo gy??
Ibn e saad jo duniya par jaan dainay wala or bad’bakht azli tha.
ous ny kaha k main lashkar tumharay sapurd nahi kron ga. bal’k yeh muhim main khud kron ga.
Chunachay ous ny foran hamlay ka hukam dy deya.
Yeh Muharam ki 9 tareekh jumairaat ka din or shaam ka waqt tha.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *