Kehtay hein k… Jo shakhs jis hal mein is duniya sy jata hy wo hamysha waisi he halat mein rehta hy… roza dar, haji ya namazi… Imam e Aali Maqam ny tou karbala mein haalat e namaz mein jaan day de tou isi leay aaj tak bandagi k aala tareen maqam par he faaiz hein. *Shah je*Read More →

Beshuk k Marka e Karbala mein bazahir batil quwaton ny fateh haasil ke… magar ounhi batil quwaton ny khud he Imam e Aali Maqam a.a k Sar Mubarak ko buland keya or is baat ko sabit kar dikhaya k hamysha haq par rehnay walay he Sar Buland rahay hein or rahein gay… chahey batil quwaten bazaahir kaisi he fateh kion na hasil kar lein. *Shah jee*Read More →

Marka e Karbala ny sikha diya k Aik Fard ka Apnay chand Jan Nisaron k sath hona… jis k samnay hazron afraad apnay tamaam saz o saman e jang sy laiss hon… tou bhe har soorat mein Haq…Haq he rahay ga Or Haq ko tab bhe haq he kehna chahiye. Isi baat ka muzahira Imaam e Aali Maqam r.a ny Karbala mein kar dikhaya. *Shah jee*Read More →

Karbala mein Imaam e Aali Maqam ye sikha gaye k batil ko mitanay k leay or os ke zulmat k andheray dour karnay k leay dil ke noor e emani… Quwat ka kaam krti hy… Or sirf os sy he batil ko mitaya ja sakta hy. Haq walon ke Quwat e Emani he batil ko mita sakti hy kion k andheray ko roshni he dour karti hy. *Shah jee*Read More →

Marka e Karbala hamein sabaq deta hy k halaat chahey kitnay he sangeen ho jayen… kisi bhe haal mein shikwa nahi karna… balkay sirf Sabr o Raza par kharra rehnay ke koshish karni hy. *Shah jee*Read More →

Marka e Karbala mein yazeedi faojon k sath nabard azma… Ehlay Bait e At’har sikha gaye k ishq k safar mein agar azmat o bulandi… Allah or Os k Rasool S.A.WW ke qurbat ke soorat mein chahtay ho tou… har tara k karb o bala mein bhe bass ajizi sy Allah k hazoor dil sy jhukay rahein. Ye jhukna he karb o bala ko paar kara leay janay ka baaiss ban jata hy. *Shah jee*Read More →

Imam e Aali Maqam ny Haq ke Sarr Bulandi k leay Apni Jabeen e Niaz ko Karbala ke tappti rait par sajday mein jhukaaya tou is sajday sy koe bhe Shaour o Agehi rakhnay wala zara sa sochnay par ye raz samjh jaye ga k karbala mein sajda kia sikha geya hy. Karbala k maidan mein batil ka bazahir ghalba honay k bawajood aj tak Haq or Haq Walon k Allam ke sar bulandi is baat par hamaray yakeen or mazboot kar gaye hy k batil ghalib nahi reh sakta chahey is k pass kitna he martaba, daolat or dunia ke taqat ho batil nyRead More →

Baatil chahay kitna he mazboot ho or ham ko har taraf sy ghair kar hamein jhukana chahta ho… Laikin yaad rahay k wo jhukna agar Alkah k samnay dil sy sajda raiz honay ke surat ho ga tou baatil ke saari mazbooti dhari ke dhari reh jaey ge. *Shah jee*Read More →

Kisi bhe waqia, chahey wo acha ho ya boura, os mein mullawiss ya os sy mutasira or moutaliqa logon k baray mein jab hamein ilm hota hy tou ham pehla sawal kartay hein k kis gharanay ka tha, baap bhai kon thay, kis ka baita tha waghera waghera… Or is hawalay sy maloom honay par he os waaqiya ke ehmiyat hamaray dil mein ja guzeen hoti hy. Waqia e Karbala mein agar deikha jaye tou sab gharano’n k Aala Gharanay k Afraad, Nabi e Akhir Uz Zaman S.A.WW ke Aal, Nabi K Baitay, Ali a.a k Lal, Fatima a.a k khoon ny be missl oRead More →