Kisi bhe waqia ka ilm hota hy tou ham par is baat ka bhe assar hota hy k is waqia k peechay kia maqsad tha. Waqia e Karbala mein yazeed ka maqsad sirf dunia ke iqtadar o taqat hasil honay par ayashi karna tha… Or Imam e Aali Maqam ka Maqsad sirf Apnay Nana Hazrat Muhammad S.A.WW k deen ko bachana tha taa k qayamat tak anay walay log apnay leay bhalai ke raah pakar saken or apni dunia o akhrat ko sanwar sakein. *Shah jee*Read More →

Log kehtay hein k… Islam ke khatir shaheed tou boht hotay hein phir Shouhada e Karbala k hawalay sy itna wawela kion keya jata hy…? Islam k sabb shaheedon ko hamara Salam…! Par… kia har insan or Aal e Nabi S.A.WW barabar hein…? Kia har maa ke kokh or Khatoon e Jannat Hazrat Bibi Fatima tu Zahra r.a ke Kokh barabar hy…? Or kia os mein par parwarish panay walay Bachay or aam bachay mein koe farq nahi…? Khuda k Leay…. Samjho is Farq ko….!!! *Shah jee*Read More →

Quran e Pak mein hy k Haq ke khatir datt jao or haq baat k leay jo kaho ya karo tou oske wajah sy anay walay masaaib o alaam par sabar karo or bardasht karo… Karbala mein Imam e Aali Maqam Hazrat Imam Hussain r.a ny sabit kar dikhaya k haq ke khatir batil k samnay datt jana kia hota hy… or kaisay hota hy… or ye dikhaya k chahey aik fard k samnay hazaroun bhe hon… Tou bhe os Aik fard ko Haq ko Haq he kehna chahiye. *Shah jee*Read More →

Allah kehta hy k jo is dunia mein har tara k halaat mein mujh sy razi rahay ga… Main qayamat k roz os sy kahon ga k duniya mein too meri raza ka talib raha tou abb Main yahan teri raza poochta hon k bata abb too kis tara razi hoga. Or kion k Aal e Rasool S.A.WW ko Apnay Nana S.A.WW k naqsh e qadam par chaltay hoay ummat sy muhabat or piar tha or Ounho ny tou Allah ke raza par razi rehnay ke aali shan misaal Karbala mein qayam ke is leay roz e Mehshar jab Allah poochay ga k bata… TeriRead More →

Watan or qaom k leay larrnay walon ko or jan dainay walon ko yaad rakha jata hy or qaom k log apni aanay wali naslon ko wo karnamay sounatay hein or oun ke yaad mein har saal khas din manaye jatay hein… Or Agar koe apnay piaray Aaqa E Dou Jahan S.A.WW K deen or shariat ke hifazat karnay or osko bachanay walon yani Oun S.A.WW ke Aal k eman ke mazbooti or haq par khara rehnay ke yaad mein din manaye or karnamay sounaye tou log shia honay ka label laga daitay hein…! Akhir kion…? Kia ham shia ka label lagnay k darr syRead More →

Aaj ham Imaam Bukhari r.a, Imam Abu Haneefa r.a or Imam Shafi or aisay he baki tamam Aiemeen ka intehai aqeedat, muhabat or tazeem sy naam laitay or ziker kartay hein… tou Hazrat Imam Hussain r.a jo k Imaam e Aali Maqam hein, Oun ka ziker kartay hoay kion darrtay hein…?? *Shah jee*Read More →

Karbala mein Hazrat Imam Hussain r.a ny sikha diya k Allah ke muhabat or Allah k Habeeb S.A.WW ke pairvi mein… kaisay har haal mein shikwa keye bina sabr o shukar ka daman thamay rakhna hota hy. Kion k momin ke misal hy Sabar o Shukar… Or Imam e Aali Maqam ny in dono ko apni intehaoun par thamay rakha. *Shah jee*Read More →

Allah khud Quran e Pak mein kae jagha par maa or baap ka apni oulad k leay dukh mehsoos krna biyan kar raha hy… Tou kia Aal e Rasool S.A.WW k Jad e Amjad is dukh ko mehsoos nahi kar rahay hon gay or agar Wo kar rahay hein tou kia hamaray dil itnay pathar hein k Apnay Piaray Or Meharban AAQA S.A.WW k dukh mein shareek na banein… Hazrat Ibrahim, Khaleel Ullah k sirf Aik Baitay Hazrat Ismaeil a.a ke qurbani ke yaad har saal taza ke jati hy or Hazrat Muhammad S.A.WW k baitay ke qurbani ke yaad taza na ke jaye…? AkhirRead More →

Jaiday koe familay picture mein family ka sarbaraah beech mein beithay hotay… Or baqi familay members oun k sath hotay… Piaray Aaqa S.A.WW ke family picture mein jis jis ko daikhein tou wo teer, talwar or naizaon sy zakhnmi nazar aey ga… Kia ham Piaray Aaqa S.A.WW k is dard ko feel kartay hein…?? Agar nahi tou… Kia ham aashiq kehlanay k haqdar hein…???Read More →

Har wo dil jis mein Allah ka ihsas e aashnaai baidaar hota ja raha jota hy… or wo Haq O Baatil ke pehchaan karnay lagta hy… Wo outna he Imaam e Aalli Maqaam sy muhabat mein jhukta chala ja raha hota hy. *Shah jee*Read More →