Day 11

? DAY 11 ?

? Har cheez mein sy khusboorti dhundna ?

⚡Msg 1…

SHAH JEE ❤ nay hr jaga hr mamlay ko ALLAH aur Apna taaluq mazbut bananay kay liye istamal farmaya. Is baray mein chand mamlaat Aap nay yun biyaan farmaye.

Ek baar mein fotgi per gaaon gyi to wahan bhi mere andar ALLAH kay ehsas kay hawalay sy talash jari thi. Wahan log mukhtalif duniyadari ki baaton mein magan thay. Mein mayyat kay liye kuch parhti rhi kay ALLAH uskay liye asaani kr day. Sardiyon ka mausam tha aur makhiyaan ur rhi thin. Aur mere idhr udhr uranay kay bawajood mjh per bhi beth rhi thin. Mein achanak unko dekhnay lagi. Aur jab mnay unko dekhna shuru kiya to dekhti reh gyi.

⚡Msg 2…
⚡Msg 2…
Makhi kay do paron mein jo rang thay … uski taangain… aur uska apni agli do taangon sy apna agla hissa saaf krna … aur us hissay kay andar rangon ki amaizish… is sab ko dekh kay mjhe makhi bhi takhleeq krnay Walay ki takhleeq ka behtreen Shahkaar laga. Usko dekhnay kay baad mera dil chahnay laga kay mjh per koi makhi aa kay bethay aur mein takhleeqa kay iss shahkaar ko dekhun.

⚡Msg 3…
⚡Msg 3…
Mein nay hr cheez kay andar sy ALLAH ka ehsas dhundna ek mashghalay kay torr per apnaya hua hai. Mein hr cheez mein sy khubsoorti nikaalti hun kyun kay ALLAH nay hr cheez mein koi na koi khubsoorti rkhi hui hoti hai. Jese iss makhi ko dekh kr mein iss saray waqt mein uski khubsoorti ko dekhti rhi kay Wah ALLAH!… TU nay isay kese bana diya. Hum nay humesha kay hum bari cheez hain jab kay TU nay to ye makhi bhi kitni zada khubsoorat peda kr di. Issi makhi ko dhoop mein beth kr dekhain gay to issi ki mazeed khubsoorti kay rang nazar aayen gay jo ALLAH nay takhleeq krtay huay us mein rkhay hotay hain. Magar hum nay kbhi ALLAH ki takhkeeqat ki iss gehrayi ki nazar sy dekhnay ki koshish nahi ki hoti.

فرمان شاہ جی❤
?حق بات
محمدی حسینی سلسلہ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
?Today’s Task ✏

? Humein aksar wo hi cheezein lubhaati hain jo dekhnay mein bhii khoobsurat lagti hon ☺
Jab k Allah ne to har choti se choti cheez ko bhii khoobsurti atta ki hay…

✏ Aj apni routine se koi se 2 points aisay share karen k…
?? jahaan ap ne Allah ki takhleeq kardaa kisii choooti si cheez ko bhii nazar andaaz naa krtay huay us mein se khoosburti nikaalii…. ☺

⭐Jesayy…
MURSHID JAAN ♥ ne ek makhi ko bhi ALLAH kii takhleeq ka behtareen Shahkaar qaraar farmaaya ☺??

✏ Aisay khoobsurti talaash karnay k baad apky dil mein Allah k liay kyaa ehsaas baidar huay ? ?

Ehsaas attaa hon ?♥


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *