Khud ashna hona

“Haq ki Baat”

Ham mein se bohat se log naya seekhne samajhne k liye akhbar, radio, t.v, internet aur kitabo se parhtay hain.
Par ham Apna aap kyu nai parhtay hain…?
Jiskay liye hamain koi khaas tardud bhi nai karna parrta hai. Hamare andar he sab kuch hai. Aur har warq par kuch na kuch aisa naya saamne aata rehta hai kay ham jisay parhne se uktatay bhi nahin. Aur is trah khud ko parhne se khud aashna hona hamain Khuda aashna karta jaraha hotaa hai.
Khud ko parhne k liye apne ehsas, soch aur amal aur unmein zahir kia hota hai aur darr pardah kia hota hai, iska jaiza lain tou bohat kuch saamne aaye ga. Apne mamolaat aur mamlaat k baray mein sachayi se ghor karain k unmein kab kab fark hota hai aur us fark ki waja kia hoti hai.
Logo se bazahir jo mamlaat chala rehe hotay hain uskay peeche hamari zaat kistrah chuppi hoti hai. Jisko waja se ham wo sab kar rehe hotay hain. Istrah ham par apni asliyat wazeh hoti hai. Aur jab apni asal haqeeqat ka patta chalta hai, tab hee Allah ki azmat, bazurgi, aur barrayi aur Uski bohat se sifaat ham par khulti jaati hain kay falan falan waky mein …. aisa aisa karte hain. Aur hamain dekhne, sun’ne aur jan’nay k bawajood Allah ne phir bhi hamare sath sattar ul ayub… Raziq… Rehmaniyat…. Karam… Fazal… aur janay kia kia kiyaa … jiskay haqdaar ham kat’an nai thay.
Aur istrah Allah ka ehsas e aashnayi barhta jaraha hota hai, aur apna aap aur ghatiya lagta rehta hai kay “main kuj v nai” aur “sab kuch bus TU” …. !

شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *