Namaz ki Fazeelat

*~Nimaz ke Fazeelat~*

Sub sy behtar ibadat or sb sy mutabar ata’at namaz hy jo k deen ka satoon or musalman o kafir mein wazia farq krny wali hy or is k ada krty waqt Allah ka qurb hasil hota hy…

Hadees pak mein hy k, “jb banda namaz k leay khara hota hy to is k leay jannat k darwazy khol deay jaty hein…
or is k or bandy k darmyan hijabat khol deay jaty hen”

Hadees pak mein hy k, “Namaz parhny wala badshah ka darwaza khatkhatata hy or is mein shak nahi k jo shakhs hamysha darwaza khatkhatata rehta hy qareeb hy k wo is k leay khol diya jaey”
Namaz jo k momin ke mairaaj hy asal k zahoor ka maqam or halat e mairaaj ka namouna hy..

Hadees mein hy k
“sajda krny wala Allah ta’ala k dono qadmon par sajda krta hy pas is ke talab or shouq krna chahiye”

Aik or hadees pak mein hy k,
” banda apni namaz mein dakhil hota hy to Allah ta’ala apni Zaat sy is ke taraf mutawaja hota hy or ous bandy sy rukh nahi phairta yahan tk k wo banda apna rukh phair ly…

Hadees pak mein hy k tum mein sy jo shakhs wazoo krta hy is ko pouri tarha krta hy phir wo masjid mein ata hy is ka maqsad namaz k siwa kuch nahi hota to Allah ta’ala is ko khush khabri daita hy jaisa k in logon ko jin ka koe aadmi gum ho gaya ho or apny gaib k a jany sy khushi hoti hy.

Namaz aik aisa juzv hy k jis ny apni jamiyat ke waja sy kal ka hukam paida kr liya hy or tamam muqarb amaal pr sabqat ly gaee hy or Namaz wo dolat hy jo Piary Aaqa S.A.WW ko shab e mairaj bahisht mein muyasar hoe the.Hadees pak mein hen k “Bandy ko apny Rab k sath sb sy ziada qurb namaz mein hota hy”

Namaz he hy jo gamgusaron k leay lazat bakhsh hy or Namaz he hy jo bemaron ko rahat daiti hy.

Aaqa S.A.WW farmaty hein k,
“Namaz mere aankhon ke thandak hy”

Namaz ki quran o hadees mein jitni takeed ki gi hy ous sy kam o baish har musalman mard o aourat waaqif hy. Piary Aaqa S.A.WW jab marz ul wafaat mein thy tou bhe namaz ki takeed frmai.

Quran e pak mein namaz ki taseer i ilfaz mein biyan ki gi hy k,
” Beshak k namaz be hayai or na shaista baton ay rokti hy”

Hazrat Anis r.a biyan krty hein k aik insari Aap S.A.WW ki iqtada mein namaz parha krta tha magar ous k bawjood duniya bhar k gunah bhe kiya krta tha… kisi ny ous ki shikhayat ki tou Aap S.A.WW ny frmaya k, “Aisy mareezon ki sub sy bari dwa namaz hy”
chunachy wo shakhs kuch he dino mein gunahon sy taaib ho kar naik ho gya.
isi tarah Hazrat Umer r.a k zamany ka waqiya hy k aik noujwan kisi mankooha aourat sy najaaiz ta’aluqaat chahta tha. oua ny aourat ko paighaam bheija tou aoura ny kaha k is shart par milny ko tayar hon k tum 40 roz Amir ul Momineen k pichy namaz parho…
noujwan samjha k yeh shart tou bohat aasan hy ous ny yeh shart manzoor kr li… wo har namaz sy pehly he masjid pohanch jata, aath das din mein he ous ki halat mein kafi tabdeeli aa gi. chalis (40) roz guzarny k baad ous aoura ny paigham bheija tou noujwan ny kaha k ab dil chout gya hy or is dil mein tery ishq ki bjaye Allah ki mohabat or ishq rach gya hy.
In waqiyat sy andaza hota hy k namaz par madawat or pabandi kitni mufeed cheeze hy.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *