Namaz Ko Mukamal Krny Wali 12 Cheezain…

*~Namaz Ko Mukamal Krny Wali 12 Cheezain~*

Sufiaa kehty hein k namaz mein 12 hazar cheezain hein jin ko Allah ny 12 cheezon mein taqseem farmaya hy…..
in 12 ka khiyal rakhna zaroori hy ta’ k namaz mukamal ho jaey or is ka poora faida hasil ho.
1… ilm
2… Wozou
3… Libaas
4… Waqt
5… Qibla ke taraf rukh krna
6… Neeyat
7… Takbeer Tehreema,
8… Nimaz mein khara hona,
9… Quran pak parhna,
10.. Rakoo
11.. Sajda
12.. Attahayaat mein bethna….
*In 12 mein hr aik k 3 juzv hein*

1… ILM
a. Farzon or sunton ko alehda alehda maloom kry,
b. wazoo or namaz mein kitni chezen farz hein kitne sunnat hein.
c. Shaitaan kis kis makar sy namaz mein rakhna dalta hy..

2. WAZOO
a. Dil ko keena or hasad sy paak kry jaisa k zahiri azaa ko paak kr raha hy
b. zahiri azaa ko gunahon sy paak rakhy
c. wazoo krny mein na israaf kry or na kotaahi…

3. LIBAAS
a. Halaal kamaee ka ho.
b. paak ho
c. sunnat k mawafiq ho, takabur or baraee k tour par na pehna ho.

4. WAQT
a. Dhoop sitaron waghira ke khabar geeri rakhy ta’k ouqaat sahee maloom ho sakein.
b. Azaan ke khabar rakhy
c. Dil sy har waqt namaz k wsqt ka khyal rakhy kbhe aisa na ho k waqt guzar jaey pata na chaly.

5… QIBLA
a. Zahiri badan sy idhar mutawaja ho
b. Dil Allah ke taraf tawaja rakhy k dil ka kaba wohi hy.
c. Malik k samny jis tarha hama tan mutawaja hona chaheay isi tarha mutawajha ho..

6…NEYAT
a. kon c namaz parh raha hy.
b. Allah k samny khara hy or Wo dekhta hy.
c. Wo dil ke halat ko bhe dekhta hy.

7. TAKBEER TAHREEMA
a. lafz sahee ada hon.
b. Hathon ko kaano tk uthaey ( Allah k ilawa sb chezon ko peachy phenk dea)
c. Allah O Akbar krhty hoay Allah ke Baraee or Azmat dil mein mojoud ho.

8. QAYAAM
a. Nigaah sajdy ke taraf rahy.
b. Dil sy Allah k samny khary hony ka khyal ho
c. kisi dousri taraf mutawaja na ho.
is ki misaal aisi hy jaisy koe shakhs bari mushkil sy darbano ke min’nat samajat kr k badshah k hazoor pohanchy or jb rasaee ho or bsdshah is ke taraf mutawaja ho or wo idhar udhar dekhny lagy aiai sorat mein badshah is ke taraf kia tawaja kry ga.

9… QIRAAT
a. Sahee tarteel sy parhna.
b. is k maani par ghour krna.
c. jo parhy is pr amal kry.

10… RAKOU
a. kamar ko rakoo mein bilkul seedha rakhy na neecha kry ns ouncha.
b. Hath ke oungliyan khol kr chori kr k ghutno pr rakhy.
c.Tasbehaat ko Azmat or Waqar sy parhy.

11….SAJDA
a. Dono hath sajdy mein kano k barabar rahein.
b. Hathon ke kohniyaan khari rahen
c.Tasbehaat ko azmat sy parhein.

12.. TASH’HAD
a. is mein Hazor SAWW par darood hy.
b. Momineen k leay dua hy.
c. phir farishton pr or daen baein janib jo log hein in pr salaam ke niyyat kry.
in sb ke takmeel ikhlas k sath hy…
ikhlas k bhe 3 juzv hein…

IKHLAAS
1. jis namaz sy sirf Allah ke khushnudi maqsad ho.
2. ye samjhy k Allah ke tofeeq sy he namaz ada hoe.
3. is pr sawab ke umeed rakhy.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *