Nwaqis e Wazoo

*~WAZOO~*
*~Nwaqis e Wazoo~*

1. Rafa e hajat or reeh k nikalny sy wazoo tout jata hy.

2. kisi ny apny kisi zakhm ko dabaya or khoon nikal kar beh gya tou wazoo tout gya.

3. Kis k zakhm par pat’ti bandhi ho or ous par khoon ya peep ki trawat zahir ho tou wazoo tout jata hy.

4. Zakhm k ouper ka chilka nouch dala or ous k neechy khoon ya peep dikhai dainy lagy magar bahy nai tou wazoo na touty ga.

5. Kisi ny daant sy koe cheeze kaati or ous cheeze par khoon ka dhaba aa gya ya danton mein halal kiya or halal mein khoon ki surkhi dikhai di lakin thoukny mein khoon ka rang maloom na ho tou wazoo nai tout’ta.

6. Apny ya kisi dousry shakhs k satar par qasdn ya bila qasdn nazar par jaye tou wazooo nai tout’ta.

7. Qay mein khoon, pani ya khana munh bhar kar nikly tou wazoo tout jaye ga.

8. kisi k kaan mein dard hota ho or paani nikla krta hy tou yeh pani napaak hy is sy wazoo tout jaye ga.

9. Kisi ki aisi nakseer phouti k kisi tarah band hony mein nai aati ya koe aisa zakhm hy k brabar behta rehta hy ghari bhar nai rukta….
ya paishab ki bimari hy k har waqt qatraat aaty hein or itni dair bhe nai rukta k taharat sy namaz parh ly tou yeh shakhs maazoor hy. aisy shakhs ko chahiye k har namaz k waqt naya wazoo kry. Aiay aadmi ka wazoo sirf ous aik namaz k leay he ho ga jis namaz k leay ous ny wazoo kiya hy.

10. Laity laity aankh lag gi ya kisi cheeze sy taik laga kr baithy baithy so gy tou wazoo tout gya.

11. agar namaz parhty huy qehqaha laga kr hansy k dousry logon ny bhe aawaz soun li tou namaz bhe tout gi or wazoo bhe jata raha.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *