Step 2 – Arkan e Islam (Day 20)

Zakat Ke Iqsaam

1. Sona chandi ki zakat
2. Janwaron ki zakat
3. Saman e tijarat pr zakat
4. Ushar (fasal pr zakat)

1. SONY CHANDI PR ZAKAT

Hadees e mubarika hy k Piary Aaqa SAWW k pass Yaman ki aik aourat aaei ous k sath ous ki beiti bhe thee oun k hathon mein sony k kangan thy.
Aap SAWW ny irshad frmaya k kia tum pasand krti ho k Allah tumy aag k kangan pehnaye.
aourton ny arz kiya jee nai…
Aap SAWW ny frmaya k tum in zaiwrat ki zakat ada kro.
Note
jin zaiwraat ki malik aourat ho chahy wo maiky sy laai ho ya ous k shohar ny ous ko zaiwrat dy k malik banaya ho tou oun ke zakat aourt pr farz hy.
or jin zaiwraat ka malik mard ho yani aourat ko sirf pehn’ny k leay deay hon aor malik na banaya ho tou oun zaiwrat ke zakat mard k zimy hy.
Msg 2
*agar kisi k pass thori chandi aor thora sona hy aor sona aor chandi mein sy koe bhe bqadr e nasaab nai tou dono ki qeemat lagaein agar wo qeemat sary saat (7.5) toly sona ya sary bawan (52.50) toly chandi k brabar ho tou zakat wajib hy.

* saman e tijarat ki qeemat lagai jaye phir agar is sy sony chandi ka nasab poura ho tou is k hissab sy zakat di jaye.

* agar kisi k pass sona chandi, maal e tijarat ya or kuch bhe na ho bal’k sirf paisy hon tou bazar mein ous sy sart saat (7.5) toly sona ya sary bawan toly (52.50) toly chandi khareedi ja sakti ho tou wo sahib e nasab hy or in paison ki zakat kul paison ka Chaliswaan(40) hy.

* agar shuru saal mein nasab poura poura tha aor aakhri saal mein bhe nasab poura raha lakin darmyan mein maal kam ho k nasab sy kam ho gya tou yeh kami kuch asar na kry gi bal’k ous ko poury maal ki zakat ada krni pary gi.

* rupy paisy ki zakat rupy paisy he daina zaroori nai bal’k jitny paisy zakat k nikalny hein oun ka ghala, kitabein, kapry ya koe bhe saman khareed kr kisi mustahiq ko dainy sy zakat ada ho jaye gi.
Msg 3


2. JANWARON PAR ZAKAT*

janwaron mein qaaima janwaron pr zakat hy yani jo saal k aksar hissy mein char kr guzar basar krty hein or oun ko rakhny ka maqsad sirf doodh laina, bachy laina ya sirf oun ko mota krna hy.
agar ghar mein ghass laa kr khilaty hon ya maqsad bojh laadna ya hal chalana waghira hy jaisy kisi kaam mein laana ya swari laina hy tou agar wo char kr guzara krta hy tou wo qaaima nai aor ous ki zakat wajib nai.
teen qism k janwaron ki zakat wajib hy k wo qaaima ho…
i) Gaaye
ii) Bakrii
iii) Ount
in teeno ki zakat ki alag alag miqdar hy.
Hazrat salim r.a ki riwayat mein hy k,
Piary Aaqa SAWW ny zakat ka jo frman e mubarik likhwa k bheija tha ous mein tha k,
5 ount pr 1 bakri,
10 pr 2,
15 pr 3,
or
20 pr 4 bakriyan li jaein.
or bakrion mein jab k 40 bakriyan hon tou….
40 bakrion par 1 bakri, 120 par 2,
or
120 sy zaaid par 3 bakriyan li jaein.
30 gaaye pr 1saal ka bacha leya jaey
or
40 gaaye pr 2 saal ka”
Msg 4


 

3. SAMAN E TIJARAT PAR ZAKAT*

*Saman ki qeemat laga kr ous ki zakat ada ki jaye gi…
agar saal shuru mein ous ki qeeemat sary saat toly (7.5) sona ya sary bawan toly (52.50) chandi k brabar ho aor saal k aakhir mein bhe itni he ho tou saal guzarny pr samaan e tijarat pr 40% zakat ada krna zaroori hy.
aor agar is saman e tijarat pr saal k doran munafa hua ho tou ous ko bhe total meib shamil krna ho ga aor oun k pass sona aor chandi bhe ho tou ous ki qeemat ko bhe shamil kr k total ka chaliswaan(40) zakat daina wajib hy.

* Tijarat k saman ki qeemat ous jagah ki lagaei jaye gi jahan wo saman mojoud hy. Agar maal jangle mein hy tou ous jangle k qareeb jo aabadi hy wahan ous ki jo qeemat ho ous ka eitbaar kiya jaye ga.

* Agar aisa saman hy jo kraye pr daity hein tou khaw wo hazaron ka bhe ho tou ous pr zakat wajib nai hy.
Msg 5

* Aisy he agar makan ya dukan karaye wali ho tou bhe zakat nai hy lakin oun k karaye ki jo aamdani hy wo nasab k barabr ho aor ous pr saal guzar jaye tou ous pr zakat daini ho gi.
Aisy he car bas ya truk waghira ho tou oun pr zakat nai pr oun ki aamdni agar nasab k brabar ho aor ous pr saal guzar jaye tou zakat ada krni ho gi.

* Zakat mein paisy dainy he zaroori nai hein bal’k jitny paiay zakat k dainy hon ous sy masakeen ya talib e ilmon ko kuch khareed kr dy sakty hein.
Tijarti saman pr zakat k bary mein Piary Aaqa SAWW ka frman Hazrat Samra bin jandab r.a sy marvi hy k Aap SAWW logon ko hukm daity thy k hum log oun samano ki jis ki khareed o farokht krty hein zakat dain.



EXERCISE QUESTIONS

 

MCQ’s /5

1. Zakaat ke kitne iksaam hain ?
a) 4
b) 2
c) 6

2. Kitnae qisam ky janwaron ke zakaat wajib hy?
a) 3
b) 5
c) 7

3. 5 ounth par kitne bakreeyan zakaat mae dene ka hukam hy ?
a) 1
b) 2
c) 3

4. 40 bakreyon par kitne bakreyaan zakaat mae dene ka hukam hy ?
a) 2
b) 1
c) 4

5. 40 gaein par kitnae saal ka gae ka bacha zakaat mae diya jata hy ?
a) 1 saal
b) 2 saal
c) donon

Fill in the blanks /5

1. Agar aisa saman hy jo _____ par dete hain tau us par zakaat wajib nhe.
2. Zakaat mae _____ dene he zaroori nhe hain.
3. Zakaat ky paison sy masakeen ya _____ ko bhi kuch khared kar dae saktae hain.
4. Saman _____ par bhi zakat wajib hy.
5. Karae ke dukaan ke aamdni agar _____ ky barabar ho aur us par aik saal guzar jae tau zakaat dene zaroori hote hy.

True/False /5

1. Car, truck aur bus par bhi zakaat wajib hy.
2. Jab zaewarat ke Malika aurat ho tau unke zakaat dena bhi aurat par wajib hy.
3. Fasal par zakaat ko Ushar kehtae hain.
4. Karae ky saman par zakaat wajib hy.
5. Ghorae par bhi zakaat wajib hy.

Short Answer Questions /15

1. Zakaat ke iksaam beyan karaein.
2. Kin janwaron ke zakaat wajib hy ? Wazeyah karaein.
3. Zaewarat par zakaat dene ky havalae sy Pyaraay Aaqa S.A.WW ka koi farmaan ya waqeyah likhaein.
4. Tijarti saman ky muttaliq Pyaraay Aaqa S.A.WW ka Farmaan e Mubarik likhaein.
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (a)
3. (a)
4. (b)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Karae
2. Paisae
3. Talab e ilmon
4. Tajarat
5. Nasb

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✖

Short Answer Questions

1. Zakaat ke yeh iksaam hain:
?Sona chandi ke zakat
?Janwaron ke zakat
?Saman e Tijarat par zakat
?Ushar(fasal par zakaat)

2. Gayee, Bakrii aur ounth.

3. Yeh har aik ka apna jawab ho ga(Upar diye gae msgs mae bhi aik waqeyah moujood hy)

4. Yeh har aik ka apna jawab ho ga laikan upar diye gae msgs mae bhi Hadees e Mubarika moujood hy.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *