Step 2 – Arkan e Islam (Day11)

Sajda e Sahev

Sahev ka matlab bhool kr kisi baat ka reh jana hy…
Chanachay namaz mein agar bhool kr nasiyaan sy ya shak sy kuch kami ya ziyadti ho jaey tou us kami baishi ki talafi k leay namaz k aakhri qaa’ada mein 2 sajday krnay ko sajda e sahev kehtay hein… Ye sajda waajib hy.
Aik Hadees sy saabit hota hy k jab namazi namaz parhta hy tou shaitaan waswasy k zariye bhula daita hy jis sy namaz mein kami ya baishi ka gumaan paida ho jata hy.
Agar aisi surat paida ho jaey tou us haal mein sajda e sahev kr k namaz darust ho jati hy.


 

Sajda e Sahev ka Tareeqa

Sajda e sahev ka tareeqa ye hy k…
Namaz k Aakhri qaa’ada mein attahiyaat parh lainay k baad daaein traf salaam phairay or Allah o Akbar keh kr sajda kray… Sajda mein 3 Baar tasbeeh parhnay k baad Allah o Akbar keh kr sajday sy outhay itmeenaan sy baithay phir Allah O Akbar keh kr sajda mein jaey, sajday mein tasbeeh parhay is k baad yani 2 sajday mukamal kr lainay k baad outhay or qaa’aday mein baith jaey or hasb e dastour phir Attahiyaat, Darood Shareef or Dua parh kr Salaam phairay…
Or is trah namaz mukamal kray…
Hazrat Imraan bin Hassein r.a sy rawayat hy k….
Tehqeeq Rasool Allah S.A.WW ny namaz parhaai logon ko. Phir bhool gaey… phir do sajday keay attahiyaat parhi phir salaam phaira(Tirmaizi)
Namaz mein jo bhool or ghalti sy jo kami waqay hoti hy, Sajda e sahev sy us ki islaah ho kr namaz sahii or mukamal ho jati hy…
Agar jaan bujh kr koi waajib tarak keya tou sajda e sahev sy namaz darust nahi hoge… bal’k az sir naoo namaz parhi jaey.
Isi trah farz chout janay sy bhi namaz jati rehti hy.
Sajda e sahev sy namaz sahi na ho ge lehaza us namaz ka dobara parhna waajib hy.
Farz, waajib or sunnat o nafal sab namazon k leay sajda e sahev ka hukam barabar aik he hy.
Isi trah agar aik he namaz mein kaii wajib tarak ho jaein tou sab ki traf sy aakhir mein sirf aik he baar 2 sajday sahev k kaafi hein.


 

Masaa’il e Sajda E Sahev

Sajda e sahev k muta’aliq sharrai masaa’il mandarjah zail hein…

● 1…Mas’ala…
Waajbaat e namaz or arkaan e namaz ko hamesha dehaan mein rakhna laazim hy… k namaz ki halat mein kisi rukan (Farz namaz) ko apni jagha sy hatta kr maslan pehlay ya baad mein parha.
Ya osay 2 baar keya.
Halan’k farz aik he baar hy yaa jo kaam namaz mein 2 baar keay jatay hein un mein tarteeb chour de.
Yun he waajbaat e namaz mein rad o badal kr deya, ya in mein tarteeb chout gae tou in sab suraton mein bhi sajda e sahev waajib hy.

● 2… Mas’ala…
Farz ki pehli 2 rak’aton mein or nafal o sunnat o wattar ki kisi rak’at mein Surat e Allhamd ki aik aayat bhi reh gae …
Yaa surat sy pehlay he 2 baar Allhamd parh le…
Yaa pehlay surat parh le or baad mein Allhamd parhi tou in sab suraton mein sajda e sahev waajib hy.
Haan Allhamd k baad surat parhi us k baad phir Allhamd parhi…
Yaa farz ki pechli rak’aton mein Surat e Allhamd dobara parh le tou sajda e sahev waajib nahi.
Yun hi farz ki peechli rak’aton mein Surat milaai tou Sajda waajib nahi.

● 3… Mas’ala…
Tadeel e Arkaan … (yani Rakou o Sajoud o qaoma o jalsah mein kam az kam aik baar SubhanAllah ki miqdaar theherna) bhool gaya tou Sajda e sahev waajib hy.

● 4… Mas’ala…
Farz namaz mein pehla qaa’ada bhool jaey tou jab tak seedha khara na hoa ho laot aaey or sajda e sahev nahi or agar seedha khara ho gaya tou na laotay or aakhir mein sajda e sahev kray…
Seedha khara ho kr laot aaey tab bhi khara ho jaey or baad mein sajda e sahev kr ly.

5… Mas’ala…
Qaa’ada aakhira bhool jaey tou jab tak us rak’at ka sajda na keya ho, laot aaey.
Or sajda sahev kray.
Or agar is rak’at ka sajda kr leya tou sajday sy sir outhatay he wo farz nafal ho gaya.
Lehaza ahar chahay tou maghrib k elawa or namazon mein aik rak’at or mila ly.
Ta’k rak’atein 2 ho jaein. Tanha rak’at na rahay.
Agarchaa wo fajar ya asar ki namaz ho maghrib mein or na milaey k 4 puri ho gaein.

6…Mas’ala…
Nafal ka har qaa’ada , qaa’ada e aakhira hy yani farz hy.
Agar qaa’ada na keya or bhool kr khara ho gay tou jab tak us rak’at ka sajda na keya ho, laot aaey or sajda e sahev kray or waajib namaz , farz k hukam mein hy.
Lehaza wattar ka pehla qaa’ada bhool jaey tou wohi hukam hy jo farz k qa’ada e oulaa bhool janay ka hy.

● 7… Mas’ala…
Attahiyaat parhnay ki miqdaar qa’ada aakhira kr chuka tha or khara ho gay tou jab tak us rak’at ka sajda na keya ho laot aaey or sajda e sahev kr k salaam phair dy.
Is halat mein sajda e sahev sy pehlay attahiyaat na parhay.

8… Mas’ala…
Qaa’ada oulaa mein attahiyaat k baad itna parha “Alla’huma Salle Alla Muhamma’din ” tou Sajda e sahev waajib hy.
Is wajha sy nahi k Darood Shareef parha bal’k is wajha sy k teesri rak’at k qayaam mein dair lagi … tou agar itni dair tak khamoshi rahay tab bhi sajda e sahev waajib hy jaisay qaa’ada or rakou o sajoud mein Quran parhnay sy sajda e sahev waajib hy. Halan k wo Kalaam e Illahi hy.

9… Mas’ala…
Dua e qanout ya wo taqbeer bhool jaey jo dua e Qanout parhnay k leay parhi jati hy tou sajda e sahev waajib hy.

10…Mas’ala….
Jis per Sajda e sahev waajib tha ousay ye yaad he na raha k sajda e sahev krna hy or namaz khatam krnay k leay salaam phair deya tou abhi namaz sy bahir na hoa lehaza jab tak koi aisa kaam jo namaz fassud kr daita hy na keya ho

11… Mas’ala…
Agar kisi ko baaligh honay k baad pehli baar tadaad e rak’aat mein shak hoa k 3 hoein ya 4 tou wo az sir nao parhay or agar ye shak pehli baar nahi bal’k pehlay bhi shak hota raha ho tou wo gumaan e ghalib per amal kray. Or us per sajda e sahev nahi.
Haan agar ye sochnay mein baqadar aik rukan dair ki tou sajda e sahev waajib ho jey ge.
Agar gumaan e ghalib kisi jaanub na ho tou thori rak’aton ko ikhtayaar keya jaey. Yani 3 or 4 mein shak ho tou 3…
2 or 3 mein ho tou do ko ikhtayaar keya jaey.
Or 3sri or 4th rak’at mein qaa’ada keya jaey.
Or aakhri qaa’ada k baad sajda e sahev kr k salaam phaira jaey.
Agar wattar ki namaz mein shak paida ho k…
Ye dosri hy ya teesri tou us rak’at mein qanout parh kr qa’ada keya jaey or qa’ada k baad aik rak’at or parhi jaey.
Or us mein bhi qanout parhi jaey or aakhir mein sajda e sahev keya jaey.

12… Mas’ala…
Imaam ny agar jehri namaz mein aik aayat aahista parhi ya sarri namaz mein ounchi awaaz sy parhi, akailay namazi ny sarri namaz mein awaz sy itni qir’at ki , wattar mein dua e qanout , yaa dua e qanout ki taqbeer reh gae tou sajda e sahev waajib hy.
Namaz e eid ki sab taqbeerain ya baaz bhool kr reh jaein ya ziada ya gair mehal keh dain tou un tamam suraton mein sajda e sahev waajib hy.
Lakin muqtadi ko imaam k peechay sahev waqay ho tou us per sajda e sahev waajib nahi.
Agar muqtadi ki kuch namaz baqi ho or us ny bhool kr imaam k sath salaam phair deya.
Tou wo baqa ya namaz parhnay k leay faoran khara ho jaey us per sajda e sahev waajib nahi…
Agar imaam musaafir hy or muqtadi muqayam tou imaam ko sahev honay ki surat mein muqtadi bhi imaam k sath sajda e sahev kray…
Agar sajda e tilawat reh jaey tou yaad aanay per sajda keya jaey. Or aakhir mein sajda e sahev bhi keya jaey.
Sunnat o mustahib maslan… Taaouz, Tasmeya, Ameen, Takbeerain, or Tasmbeehain wagera reh janay sy sajda e sahev waajib nahi. Namaz ho jaey ge.


Exercise Questions /30

MCQ’s /5

1. Sajda e Sehav kab hota hy?
a) Aakhre qa’ada mae
b) Pehle qa’ada mae
c) Kabhi nhe

2. Jab namazi namaz parhta hy tau kon waswason sy bhula deta hy?
a) Farishtae
b) Shetan
c) Ird gird ky log

3. Sajda e Sehav mae kitne baar tasbeeh parhna zaroori hy?
a) 3 bar
b) 4 bar
c) 6 bar

4. Sajda e sehav ky barae mae Rasool S.A.WW ka waqeya kin sahaba sy riwayat hy?
a) Hazrat Imran bin Haseen r.a
b) Hazrat Abu Bakr r.a
c) Hazrat Umar Farooq r.a

5. Tadeel e arkaan bhool janae par kya wajib hy?
a) Sajda e Sehav
b) Ghareebon ko khana khilana
c) Roza rakhna

Fill in the blanks /5

1. Sajda e sehav _____ hy.
2. Ataheyat parh lene ky baad _____ taraf salaam phaer ky Allah o Akbar parh kar sajda karaein.
3. _____ bhool janae par sajda e sehav wajib hy.
4. Nafal ka har qa’ada _____ hy yani farz hy.
5. Agar jan boojh kar _____ tark kiya tau sajda e sehav sy namaz darust na ho ge.

True/False /5

1. Farz choot janae par sajda e sehav sy namaz darust ho jate hy.
2. Farz wajib aur sunnat o nafal sab namazon ky liye sajda e sehav ka hukam barabar aik he hy.
3. Wajibaat e namaz aur arkaan e namaz ko humesha dheyan mae rakhna lazim hy.
4. Tadeel e arkaan bhool janae par sajda e sehav wajib nhe hy.
5. Namaz e Eid ke takbeeraein bhool janae par Sajda e sehav wajib hy.

Short Answer Questions /15

1. Sahev ka kya matlab hy?
2. Sajda e Sehav kab wajib hy? koi 2 situations btaein.
3. Sajda e Sehav sy kin suraton mae namaz darust nhe hote?
4. Sajda e Sehav ky barae mae Pyaraay Aaqa S.A.WW ka koi waqeya beyaan karaein.
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (b)
3. (a)
4. (a)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Wajib
2. Daein taraf
3. Dua e qanoot
4. Qada e Aakhir
5. Wajib

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✖
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. Sehav ka matlab bhool kar kisi baat ka reh jana hy.

2. Har aik ka apna jawab ho ga.

3. Agar koi farz chout jae tau Sajda e sehav sy namaz darust na ho ge.

4. Tirmaizi shreef mae aata hy keh Rasool Allah S.a.WW ny namaz parhai logon ko. Phir bhool gae. Phir do sajdae keay attahiyat parhe aur phir Salaam phaera.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.



Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *