Step 3 – Sunnat e Nabvi S.A.W.W (Day 29)

 Salam

“Salam” Allah ka asma e husna mein sy hy.
Jab aik musalman kehta hy Asalam o alikoum tou is ka matlab hy k tum Allah ke hifazat or ra’aiyat mein raho, jia tarah Allah apny ilm or qudrat k zariye tumhary sath hy or Allah tumhary saath ho.


Salam K Bary Mein Piary Aaqa S.AWW Ke Chand Ahadees E Mubarika

* Hazrat Abu Huraira sy riwayat hy k Aap S A.WW ny farmaya k…
“Tum jannat mein nai ja sakty jab tak poury momin na ho jao (yani pouri zindagi emaan walai na ho jaye) or yeh nai ho sakta jab tak tumhari aapas mein muhabat na ho ya main tumy wo tareeqa na btaoun jis k krny sy tumhary darmiyan piar mohabat paida ho jaye wo yeh hy k aapas mein salam ko khoub phailaao”
* Hadees e mubarika hy k…
“Jo shakhs salam sy pehly kalam shuru kr dy ous ke baat ka jwab na do jab tak salam na kry”.


 

 Ghair Muslim Ko Salam Krna Or Salam Ka Jwab Daina 

sirf musalmano ko he salam krny k bary mein nai btaya gaya balky ghair muslimon or ehl e kitab k leay bhe salam ka tareeqa bta deya gaya hy.
* Ehl e kitab ko khud salam na krain lakin agar wo krain tou phir sunnat k mutabiq yeh taeeqa ikhtiyar krain.
Hazrat Anis sy riwayat hy k Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“Jab ehl e kitab tumy salam krain tou tum jwab mein wa’alikoum’as’salam kaho”.
aisy he ghair muslimon ko salam k jwab ka tareeqa bhe in ahadees e mubarika sy wazeh hy.
Hazrat Abdul Bin Umer r.s sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya….
“Jab tumy koe yahoudi salam kry or agar in mein sy koe asalam alaik kahy tou tum ous k jwab mein sirf wa alaik keh deya kro”.
Msg 2
Hazrat Ayesha r.a biyan farmati hein k…
kuch yahoudi Aap S.A.WW ke khidmat mein hazir hoay or kaha Asama Alaik (Tumy moat aaye).
main oun ke baat samjh gi or main ny jwab deya Alaikoum Saam wal anha…. yani tumhary ouper moat or Allah ke lanat ho
Aap S.A.WW ny farmaya….
Ayesha sabar sy kaam lo kion k Allah tamam mamoolat mein narmi pasand farmata hy.
Main ny arz keya…
Ya Rasool Allah…!!
Aap ny souna nai ous ny keya kaha.
Aap S.A.WW ny farmaya, main ny jwab dy deya Wa’alikoum (Tum par bhe).


 

 Salam sy mutaliq Piary Aaqa S.A.WW k Pakeeza Aadaat O Khasaail 

1* Aap S.A.WW ehl e islam mein sy har mulaqat hony waly ko salam farmaty.

2* Aap S.A.WW amoman salam barkaat tak farmaty.
Yani
Asalam o alikoum wa rehmatullah wa barakatu ho.

3* Aap S.A.WW salam ka jwab ba milny par teen baar salam farmaty.

4* Aap S.A.WW salam mein pehal farmaty, dousron k salam k muntazir na rehty.

5* Aap S.A WW majlis mein tashreef ly jaty tou khud awlan salam farmaty.

6* Majlis sy wapis jaty tou bhe Aap S.A.WW khud salam karty.

7* Ghar mein dakhil hoty tou salam farmaty.

8* Raat mein ghar wapis tashreef ly jaty tou aahesta salam farmaty ta’k koe sota hoa baidar na ho.

9* Aap S.A.WW bila salam waly ko andr dakhil na hony daity or ousy wapis bheij daity.

10* Aap S.A.WW bachon ko bhe salam krty.

11* Aap S.A.WW salam ka jwab itni awaz sy daity k salam krny wala soun laita.

12* Aap S.A.WW kisi k ghaaibana salam pohanchany ke sorat mein jwab is tarah daty k salam pohanchany wala or jis ka salam hota dono ko jwab mein shareek farmaty.
Aap S.A.WW farmaty…
Alika wa alihi salam

13* Aap S.A.WW k ashab o ehbab mein sy koe ghalta amal ya bid’at ka kaam krta tou Aap S.A.WW ibtada’an salam ko tark kr daity jab tak k wo toba kr k baaz na aa jata.
(Khiyal rahy k yeh hukm har shakhs k leay nai hy balky oun aala hastion k leay hy jo maqam e islah par hon k oun k tark e islam sy wo baaz aa sakty hein.
warna tou aam hukm yeh hy k har aik ko salam keya jaye saleh ho ya ghair saleh)


 

Mukhtalif Mouqoon Par Salam K Aadaab

1* Chouty baron ko salam krain.

2* Baad mein aany wala pehly sy mojoud ko salam kry.

3* Burhiya k salam ka jwab aawaz sy daina or aourat k salam ka jwab itni aahista aawaz mein daina k wo na souny albata itni awaaz zaroor ho k jwab dainy wala khud soun ly.

4* Salam ka foran jwab wajib hy agar bila wajah takheer ke tou gunnah hy. Or sirf jwab dainy sy gunnah moaf nai ho ga balky toba krni ho gi.

5* Sunnat k mutabiq kaheein ja k bhe salam krain or wapis aaty hoay bhe salam krain.
Allah hafiz kehna chahein tou kahein lakin salam k baad.

6* Agar bohat sy log aik jagah par jama hein tou kisi aik ny salam ka jwab dy deya tou kafi hy lakin agar kisi ny jwab na deya tou sub gunahgaar hein.

7* Agar khat mein salam likha hy tou ous ka jwab daina bhe lazim hy.

8* Aaj kal jaisy sms aaty hein or oun mein salam likha hota hy tou ous ka bhe jwab daina chahiye.



EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Salam Ka jwab na milny par Aap S.A.WW kitni baar salam farmaty
a)1
b)2
c)3

2. Salam ka jwab daina…
a) Haq hy
b) Farz hy
c) Wajib hy

3. Aap S.A.WW k ashab mein sy koe ghalat kaam karta tou Aap tarak farma daity….
a) Salam karna
b) Raabta krna
c) Baat krna

4. Aik jagah par bohat sy log ikathy hon tou kitny logon ko jwab daina zaroori hy ?
a) kisi ko nai
b) sub ko
c) kisi aik ko

5. Kis k salam ka jwab aahista aawaz mein daina chahiye?
a) Burhiya
b) Aourat
c) larki

Fill in the Blanks /5

1. Aap ______mein tashreef ly jaty tou khud awlan salam farmaty
2. _____ or _____ mein keay gy salam ka jwab bhe laazim hy. 3. Salam Allah ka _____ hy
4. Logon mein Allah ke qurbat or _____ ka mustahiq wo hy jo salam mein pehl kry.
5. Aap S.A.WW _____ ko bhe salam krty.

True/False /5

1. Baad mein aany wala pehly sy mojoud ko salam na kry
2. Ehl e kitab ko salam karna jaaiz nai.
3. Salam ka jwab takheer sy daina gunnah hy.
4. Ehl e kitab ko salam mein pehal nai karni chahiye
5. Raat mein ghar aa kar buland aawaz sy salam karna chahiye.

Short Answer Questions /15

Q1. Asalam o alikoum ka keya matlab hy?

Q2. Ehl e kitab sy salam ka keya tareeqa btaya geya hy?
Q3. Ghaaibana salam k jwab ka sunnat tareeqa keya hy?
Q4. Ghair muslimon k salam k jwab ka keya tareeqa hy?
Q5. Burhiya or aourat k salam ka jwab kis tarah daina chahiye?


 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (b)
2. (c)
3. (a)
4. (c)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Angraiyan
2. Haq
3. Khateeb
4. Deeni / duniyavi
5. Hath / paoun

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. Aap A.S.WW jab sahaba k sath baithty tou halqa bana kar gol daairy mein baithty. Aap S.A.WW aik dousry k pas e pusht baithna pasand nai farmarty thy.

2. Jawab:
? Aalim k leay
? Bazurgon k leay
? Hakim o sultan k leay

3. Jawab:
? Guzargahon mein
? raaston mein
? dhoop chaoun k darmiyan

4. Aap S.A.WW dono ghutnon ko khara kr k sureen k bal baithty or dono mubarik hathon sy pindlion k girdchalqa bana kr baithty.
Aap S.AWW kabhe takiya k sath taik laga kar bhe tashreef farma hoty.

5. Allah farmata hy k…
“Aey emaan walo…!!!
jab tum sy kaha jaye majlis kushada kro tou kushda kar do, Alalh tumhary leay kushada kr dy ga”


 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *