Step 3 – Sunnat e Nabvi S.A.W.W (day 30)

Outhny Baithny K Adaab

Outhny baithny k adaab ko adaab e majlis bhe kehty hein.
wo qoum ya log bary muhazib kehlaty hein jo behtreen tareeqy sy outhty or baithty hein.
Piary Aaqa S.A.WW k tareeqy par outhna baithna deeni or duyavi fwaaid ka baes hy.


Baithny Ka Sunnat Tareeqa

Hazrat Qarah Bin Ayaas r.a sy marvi hy k…
Aap S.A.WW jab sahaba r.a k sath baithty tou halqa bana kar gol daairy mein baithty.
Piary Aaqa S.A.WW ke majlis aagy peechy baith k nai hoti thee is mein aik dousry k pas e pusht baitha jata hy or Aap S.A.WW ko kisi k peechy baithna pasand na tha is leay gol daairy mein Aap S.A.WW ke majlis hoti.
aaj bhe Harm pak mein majlis ka yehi sunnat tareeqa raaij hy.
Hamein bhe hat’tul imkan baithny mein aisa he tareeqa ikhtiyar krna chahiye ta’k sunnat ka swab mily.
Hazat Abdullah Bin Umer r.a Aap S.A.WW k baithny k bary mein farmaty hein k…
Aap S A.WW ko ka’aba sharif k sehan mein apni dono mumbarik pindilion ko apny muqadas hathon k halqy mein lay kar baithy daikha.


 

 Baithny Sy Mutaliq Piary Aaqa S.A.WW Ke Aadaat E Tayba 

1. Aap S.A.WW dono ghutnon ko khara kr k sureen k bal baithty or dono mubarik hathon sy pindlion k girdchalqa bana kr baithty.

2. Aap S.AWW kabhe takiya k sath taik laga kar bhe tashreef farma hoty.

3. Aap S.A.WW zameen par baithna pasand farmaty.

4. Aap S.A.WW aksar mijlis mein tashreef farma batein krty or nigah aasman ke taraf farmaty.

5. Aap S.A.WW majlis mein aam logon ke tarah aisy baithty k nay aany walon ko Aap S.A.WW ki pehchan’ny mein diqat hoti.

6. Majlis mein baithty hoay kabhe Aap S.A.WW ny apny ghutny apny sath baithy hoay sy aagy nai nikaly or na kabhe aisa hota k Aap S.A.WW k pass koe aa kar baithta or Aap S.A.WW ous k outhny sy pehly outh khary hon or na kabhe aisa hoa k kisi ny Aap S.A.WW k haath mein haat deya ho or Aap S.A.WW ny ous ka hath chora yahan tak k wo khud apna haath chura laita.

7. Aap S.A.WW ko jahan jagah mil jati wahan baith jaty apny leay koe jagah makhsoos na farmaty.

8. Jab kisi majlis mein tashreef ly jaty tou majlis k aakhri hissy mein baith jaty or dousron ko bhe yehi talqeen farmaty.

9. Aap S A.WW andhairy mein baithna pasand nai farmaty thy.

10. Aap S.A.WW halqa bana kar baithty is tarah beech mein ja kar baithny sy kisi ke janib pusht ho gi is leay halqa k beech baithny walon par lanat farmai.

 Baithny Ka Sunnat Tareeqa 

Hazrat Qarah Bin Ayaas r.a sy marvi hy k…
Aap S.A.WW jab sahaba r.a k sath baithty tou halqa bana kar gol daairy mein baithty.
Piary Aaqa S.A.WW ke majlis aagy peechy baith k nai hoti thee is mein aik dousry k pas e pusht baitha jata hy or Aap S.A.WW ko kisi k peechy baithna pasand na tha is leay gol daairy mein Aap S.A.WW ke majlis hoti.
aaj bhe Harm pak mein majlis ka yehi sunnat tareeqa raaij hy.
Hamein bhe hat’tul imkan baithny mein aisa he tareeqa ikhtiyar krna chahiye ta’k sunnat ka swab mily.
Hazat Abdullah Bin Umer r.a Aap S.A.WW k baithny k bary mein farmaty hein k…
Aap S A.WW ko ka’aba sharif k sehan mein apni dono mumbarik pindilion ko apny muqadas hathon k halqy mein lay kar baithy daikha.


 

 Jo Baith Kar Jaye Ous Ka Haq Baqi 

Hazrat Abu Huraira r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya,
“Tum mein sy jab koe majlis sy jaye or phir wapis aaye tou wo ziada mustahiq hy ous jagah ka (jahan jo baitha tha)”. Hazrat Abu Saeed Khidri sy riwayat hy k…
jab hum Aap S.A.WW k pass baithy hoty tou Aap S.A.WW kisi wajah sy tashref ly jaty tou wahan par kor cheeze chor jaty jis sy maloom ho jata k Aap S.A.WW wapis tashreef laaein gy or sub waheein thehry rehty.


 

 Baithny Ke Jagah Ko kushada Krna 

Allah farmata hy k…
“Aey emaan walo…!!!
jab tum sy kaha jaye majlis kushada kro tou kushda kar do, Alalh tumhary leay kushada kr dy ga”
Hazrat Waseela Bin khataab sy riwayat hy k Aap S.A.WW masjid mein tashreef farma thy k aik shakhs hazir hoa. Aap S.A.WW apni jagah sy sirk gy.
Ous ny arz ke…
Ya Rasool Allah…!!!
jagah kushada mojoud hy Aap S.A.WW ko sirakny or takleef farmany ke zaroorat nai. Aap S.A.WW ny farmaya, “Musalman ka haq hy k jab ous ka bhai ousy daikhy tou ous k leay sirak jaye”.
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny farmaya…
“Teen aadmiyon k leay khas kar majlis kushada ke jaye,
aalim k leay ilm ke wajah sy,
bari umer walon k leay bari umer ke wajah sy,
or
hakim o sultan k leay”.


 

Jis Jagah Baithny Sy Mana Farmaya Gaya

Hazrat Abu Saeed Khidri r.a sy marvi hy k Piary Aaqa S.A.WW ny farmaya…
“Khabar dar raston par baithny sy bacho”.
Hazrat Umer r a sy marvi hy k,
“Darwazy k saamny ya logon ke guzar gahon k samny mat baitho, phir farmaya k agar baithna zaroori ho tou phir guzarny walon ka haq ada kro.
poucha gaya, wo keya hy?
Aap S.A.WW ny farmaya, nigahein past rakho or salam ka jwab do”
Hazrat Jabir r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny dhoop or saaye mein baithny sy mana farmaya.
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny farmaya k…
“Dhoop or saaye k darmiyan shaitan ke aaram gah hy”


 

Outhny Baithny K Chand Aadaab

Outhny baithny k jo aadaab islam ny muqarar keay hein oun par amal sy insani seerat ke tameer hoti hy. Outhny baithny k chand aadaab yeh hein.

1* Bazurgon ke jagah par baithna khilaaf e aadaab hy.

2* Agar chataai ya koe cheeze na ho tou saaf zameen ya farsh jis par baithny sy gard na lagy baithna darust hy.

3* Is tarah baithny sy guraaiz krna chahiye jis sy jismani be pardagi ho.

4* Tang par tang charha k baithny sy bhe mana farmaya gaya hy k yeh tareeqa gharoor o takabur ko zahir krta hy.

5* Ghar mein ya ghar sy bahir ka’aba ke taraf pusht kr k na baithein.

6* Mijlis mein jahan jagah mily wahan baith jaein.

7* Agar do shakhs mil kr baithy baat kar rahy hon tou bila ijazat oun ke majlis mein shamil na hon.

8* Masjid ya majlis mein logon par sy phailangna nai chahiye.

9* Majlis mein aisy baithein k baad mein aany walon ko aasani st jagah mil jaye.

10* Majlis mein log ziada ho jaein tou pehly sy baithy hoaon ko simt jana chahiye.
Msg 2

11* Bazar ya raaston mein nai baithna chahiye .

12* Dhoop chaoun mein baithny sy mana farmaya gaya hy.

13* Bury logon ke mehfil suly ijtanaab krna chahiye.

14* Agar baithy hon or koe bazurg, aalim ba amal, mutaqi ya waldain aa jaein tou ehtraman khary ho jana chahiye.

15* Jumma ke namaz mein khateeb ke taraf rukh kr k baithna mustahib hy.

16* Ulty haath ko kamar k pichy kar k or seedhy haath ke hathaili par taik laga kar na baithein.

17* Majlis mein jouta outaar kar baithna chahiye

18* Majlis mein bazurg hon tou oun ke taraf pusht kr k na baithein.


 

 Outhny K Chand Aadaab 

Outhty hoay in aadaab ko mad e nazar rakhna chahiye.
1* Libas ko smait kr outhein.

2* Outhty hoay parda na khuly.

3* Outhty hoay hum aksar sath baithy hoay shakhs k haath ya paoun par wazn daal daity hein jo dousron k leay takleef ka baaes hota is baat ka khas khiyal rakhna chahiye.

4* Outhty hoay angraiyan ya jamaiyan nai laini chahein.

5* Outhty hoay andaz mei masti na ho.

6* outhty hoay karahny ke aawazain na nikalin.



EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Aap S.A.WW kis par baithna pasand farmaty thy?
a) Bistar
b) Zameen
c) Kursi

2. Pusht kar k na baithein…
a) Majlis ke taraf
b) Masjid ke taraf
c) Ka’aba le taraf

3. Outhty hoay nai khulna chahiye….
a) Parda
b) Darwaza
c) Munh

4. Dhoop or chaoun k darmiyan aaram gah hy…
a) Jino ke
b) Frishton ke
c) Shaitan ke

5. Outhny baithny l adaan sy tameer hoti hy…
a) Insani seerat ke
b) Ikhlaaq ke
c) Emaan ke

Fill in the Blanks /5

1. Outhty hoay ______ na lain.
2. Majlis sy outh kar jany waly ka ______ ois par baqi rehta hy.
3. Jumma ke namaz mein ______ ke taraf munh kar k baithna hy.
4. Piary Aaqa S.A.WW k tareeqy par outhna baithna _____ or ____ k faaidy ka baes hy.
5. Outhty hoay dousron k _____ or ____ par wazan na dalain.

True/False /5

1. Aap S.A.WW apny leay makhsoos jagah par baithna pasand farmaty thy.
2. Tang par tang charha kar baithna gharoor o takabur ko zahir krta hy.
3. Dhoop chaoun mein baithny sy mana keya geya hy.
4. Majlis mein aagy peechy baithna chaiye.
5. Majlis mein jouty outar kar baithna chahiye.

Short Answer Questions /15

1. Majlis mein baithny ka sunnat tareeqa keya hy?
2. Kin logon k leay majlis mein jagah kushada karni chahiye?
3. kin jaghon par baithny sy mana farmaya geya hy?
4. Piary Aaqa S.A.WW ka tareeqa keya tha?
5. Majlis mein jagha kushada karny k leay Allah ka keya hukm hy?


 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (b)
2. (c)
3. (a)
4. (c)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Angraiyan
2. Haq
3. Khateeb
4. Deeni / duniyavi
5. Hath / paoun

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. Aap A.S.WW jab sahaba k sath baithty tou halqa bana kar gol daairy mein baithty. Aap S.A.WW aik dousry k pas e pusht baithna pasand nai farmarty thy.

2. Jawab:
? Aalim k leay
? Bazurgon k leay
? Hakim o sultan k leay

3. Jawab:
? Guzargahon mein
? raaston mein
? dhoop chaoun k darmiyan

4. Aap S.A.WW dono ghutnon ko khara kr k sureen k bal baithty or dono mubarik hathon sy pindlion k girdchalqa bana kr baithty.
Aap S.AWW kabhe takiya k sath taik laga kar bhe tashreef farma hoty.

5. Allah farmata hy k…
“Aey emaan walo…!!!
jab tum sy kaha jaye majlis kushada kro tou kushda kar do, Alalh tumhary leay kushada kr dy ga”


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *