Step 4 : Duaein – Hajat ki Dua

“~*Workers*~”
“2nd Step”
*Duaein*

4.*Haajat Ke Dua Ka Tareeqa*

Ye dua kisi bhe haajat k leay karaai ja sakti hy, jis ke haajat jo agar wohi karay tou best hy or agar nohat sy logon ke aik he haajat hy tou sab ko mil kar bhe dua karaai ja sakti hy.

Haajat ke dua mein dua karnay walay ny sachay dil sy aone haajat k hawalay sy qabool karna hota hy k mere is hajat k3 haajat rawaai Allah k siwa kisi k bus ke baat nahi… tamaam zaahiri asbaab or makhlooq ke taraf sy nazar hata laina hoti hy,

Khud ko sachay dil sy intahaai bebus or majbur o lachaar or bedast o paa mehsoos kartay hoay Allah ko os ke taqaton k chara gar or dastageer honay ka waasta daita or waseela banata hy, dua kartay joay har fiqray mein apne haajat paish karty hoay, Allah ke kisi shaan ko dil mein sachaai sy outha k isi hisaab sy apne bebasi biyaan kartay hoay dil ke jholi phaila kar apne haajat maangni hy.

Maslan aisay k Aey mere saray jahan ko dainay walay meherban data!! Mujh bebas majbur or sirf Tuj he sy maangnay walay kebye haajat bhe poori kar dy.
Aey mujhy hamysha sahara dainay walay Rab!! Main is mushkil mein is haajat k poora honay k leay Tera he aasra or sahara lainay ko Tere pass ai hon.

Aey mere Soun’nay walay Allah Soun lay mere dil ke fariyaad or poori kar day mere haajat k Tere siwa kis ko sounaaoun apnay dard o hajaat…

Aey mere haajat rawa! jis ny mere kahay bina mere haajtein poori kar ken, ab mujhy khali na laotana or bhar daina mere ye ohailj hoe jholi, kar daina mere bhe haajat rawaai k Tere dar sy koe khaali nahi jata…etc.

Ab chahay aap apnay leay dua karein ya kisi k leay, aisay he tarrap tarrap kar haajat paish karni hy.
Koe bhe dua os waqt tak mukamal na keya karein jab tak k dua outhnay, os k oeak oar jaanay or os k baad os mein thehraao aanay ka ihsas na ho.

Dua karaanay walay ko agar apna poora zor lagaanay k baad bhe dua peak par mazay ke na oithay tou dua karnay walay ko zaror bataaein k dua bohat ache nai hoe abhe is ko best tak laanay mein gunjaaish hy is leay or duaein bhe karein gy.
Har dua karaanay sy pehlay dil mein dua k hawalay sy ihsas outhana zarori hota hy, is tara dua behtreen hoti hy.

Spirit of Work Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *