Step 4 : Duaein – Maafi o Toba ki Dua

“~*Workers*~”
“2nd Step”
*Duaein*

2. *Maafi-O-Taoba Ke Dua*

Is dua sy pehlay dua karaanay or karnay walay aamnay saamnay, call par ya msg par aapas mein thorra raabta karein,g agar dua karaanay wala wpna masla share karay tou osay os k amal ke sangeeni ka ihsas dilaaein k apna kitna nuqsan kar lea hy or is k baad Allah k Ghafoor bulky Ghfoor Ur Raheem honay or apne ghaltion par naadim ho k maafi maangnay walon o4 taoba karnay walon sy muhabat ka ihsas dilaein…

Ta k ye na ho k banda apnay amal par intahaai nadim ho k Allah ke maghfarat sy he mayous ho jaey.

Is dua mein khas khiyal rakhna hy k nadamat k bina maafi koe maani nai rakhti or behtareen umeed or Allah Gafoor Ur Raheem or Tawaab Ur Raheem honay par yaqeen k bina dua karnay ka koe faaida nahi.

Is dua mein Allah ko Os ke sifaat Bakhshish karny wala, Sahara dainay wala, Kabe na chorrnay wala, Darguzar karny wala, Bacha lainy wala or Bandon ke sharr sy bachnay ke panaah gaah…. etc ka waasta dy kr sath sath har fiqray meon apne ghaltion ka iqraar kr k ro ro k maafi maangni hy… ye tou hoe apnay amal par nadamat sy maafi…

Ab aatay hein taoba ke taraf.
Maafi maangnay k baad Allah sy madad talb karni hy k ab mujhy apne jaanib apne raah par qabool kar ly, main ny Tere taraf aana hy or bus Too he mere manzil hy, mujhy qabool kar ly, mere taoba yani mera palat kr aana qabool kr ly.
Main kamzor hon bue mujhy Too himmat or taqat atta karn apne raah pr musalsal qadam barrhanay k leay…

Is min dua karaanay walay ny bhe intahaai aajzi sy jhukay dil k sath, dua karnay walay sy muhabat ir os ke bhalaai or bachat k ihsas k sath os k leay maafi takab karni hoti hy k is sy ghalti or bhol ho gae, ab agar Too isay maaf nai karay ga tou is k3 dunia o aakhrat barbaad ho jaey ge isay maaf kar k ie ke taoba qabool kar ly.

Dua karaanay walay ko dua k daoraan jab sakoon or itminaan feel ho or maafi qabool honay ka ihsas ho tou dua khatam karaaey.Jitnay khaloos sy dua karaaein gy outna he sakoon or itminaan khushi ke surat dil mein outray ga.

Agar apnay dil sy poora zor laga kar bhe dua mein aakhir tak poori tara sakoon or itminaan nai aata tou dua karnay walay ko phir kisi waqt ka time dy kar dua karnay ka kahein or os waqt tak duaein karaatay rehna hy jab tak k dua karaatay dil mein sakoon feel nai hota.

Dua k daoran feel karna hy k jaisay dua karnay walay ko dil sy sath ly kar Allah k samnay paish hein.Khud ko akila feel kar k dua nai karni agar dua walay k sath ka ihsas nai aaraha tou dua karnay walay sy poch3in k wo kia soch raha hy ya kis ihsas mein hy kion k is ka matlab hy k wo poray dil sy Allah k samnay paish nai hy.

Aap ny dua karnay walay ko ye nai kehna k mere sath ko feel karay bulky osay kehna hy k har taraf sy ta2aju hata k khud ko Allah k samnay paish mehsos karay or aap ny khud osay sath feel kar k paish hona hy.

Ye maafi or taoba ke dua bohat he khas dua hy is leay isay pooray sachay dil sy dua karnay walay k sath mil k karaya karein or dua mukamal bhe agar khud he karaya karein tou ziada behtar ho ga.Dua karnay walay par na chorra karein k apnay hisaab sy dua mukamal kar ly.

Ye dua aik waqt mein sirf kisi aik banday kobhe karaai ja sakti hy par agar grouo meon mil k sab log apne apne ghalti k leay khud he dua karna chahein tou sab mil beith k maafi ke dua kar saktay hein.
Lakin agar koe dua kara raha jo tou sirf aik ko he dua karaai ja sakti hy.

Maafi o taoba ke dua aik in mein aik he ho sakti hy oar agar koe majburi jobor jaldi duaein karaana chahein tou aik subh or aik raat ko bhe karaai ja sakti hy.

Spirit of Work Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *