Step 4 – Moamlaat (Day 41)

Taqwa 

Hazrat Ali r.a farmaty hein,
“Ma’siyat par israr na krna or ibadat par maghroor na hona taqwa hy.
Hazrat Abu Hafs r.a k nazdeek khalis or halal e mehz k saath he taqwa qaaim rehta hy.
yeh kasooti hy.
Darasal akal e halal he taqwa ke rooh e rwaan hy or yehi taqwa ke mazboot or thous buniyad hy.
Agar doodh ya shehad sy bhary hoay matky mein khumar (sharab) ka aik qatra dal deya jaye tou wo napaak ho jata hy halan k matky k andar mojoud shehad ya doodh ke nisbat aik qatra khumar ke koe hasiyat nai rakhta… yehi haal rizq e haram ka hy.
Rizq e halal mein jab thora sa rizq e haram mil jata hy tou sub haram ho jata hy or jis tann mein rizq e haram ke ghiza dakhil ho wahan sy taqwa k mushkbaar pholoon ke twaqoo rakhna sub sy bari hamaqat or nadani hy.
Msg 2

Allah pak Quran e pak mein farmata hy,
“Aakhirt ka ghar oun logon k leay behtr hy jo taqwa ikhtiyar krty hein magar tum nai samajhty”
Taqwa ka hamil shakhs duniya mein rehty hoay bhe duniya mein nai hota kion k ousy duniya sy qatan lagaao nai hota, wo bara phounk phounk kar qadam outhata hy ta, k koe baat khilaaf e haq na ho.
Apni harkaat o saknaat par gehri nazar rakhta hy.
Allah kareem or Oss k mehboob ke mohabat o ishq k charagon sy ous ka tan mun or zindagi ka har gosha jagmaga raha hota hy.
Allah pak quran e pak mein
sorat Al-Zumar
aayt 61 mein taqwa sy mutaliq farmaty hein k
Tarjuma:-
“Or Allah pak oun logon ko nijaat dain gy k jo apni kaamyaabi mein bhe mutaqi hein”.
Agarchy duniya mein taqwa ikhtiyar krna bzahir talwar ke dhar par chalny k mutradif hy lakin aakhirat mein Allah ke taraf sy jo sila mily ga ous k muqabil duniya mein is par kaarband rehny ke mushaqat koe hasiyat nai rakhti.
Sach tou yeh hy k taqwa sarmaya e hayat hy, azeem naimat e ghair mutraqiba hy, yeh Allah ke ous par khas rehmat hy jo is raah par chalta hy lakin yeh jan’nany k leay k kisi k andr sahee taqwa hy ya nai ous ke pehchan k leay Hazrat Shafiq Balkhi r.a farmaty hein k insan k andr teen cheezain daikhi jati hein.

1* Wo keya laita hy

2* Keya batein krta hy

3* Kin cheezon sy apny aap ko rokta hy
Msg 3

Haqeeqi zindagi naik amaal sy ibarat hy.
Taqwa sy insan mutaqi banta hy or Allah pak mutaqiyon sy mohabat krta hy.
Taqwa k k khad o khal or asool aabdar motiyon ke tarah hamary saamny hein, ab zindagi ko oun k saanchy mein dhalna hamara kaam hy sirf pehla qadam outhany ke dair hy k zindagi az khud in roshnion or khusbo’oun sy bhar jaye gi jo taqwa or mohabat o ishq Rasool Allah S.A
WW k batan sy janam laiti hy.
Lafz mutaqi sy aam tor par murad li hati hy k aisa shakhs jo kufar o shirk or gunaah e kabeera sy khud ko dour rakhy or is ka aala darja yeh hy k insan sagheera gunahon, sunnat e Rasool S.A.WW k khilaaf afaal o amaal or khilaaf e oulaa sy bhe bachta rahy.
Piary Aaqa S.A.WW ka farmaan e mubarik hy k
“Banda ous waqt tak mutiqeen k darjy ko nai pohanch sakta ja tak oun cheezon ko tark na kr dy jin mein harj na ho is khouf sy k shayed is mein harj ho or be zarar cheezon ko is khouf sy na chor dy k shayed is mein zarar ho”.
Msg 4

Mutaqi shakhs ka zahir o batin, tan mun shariyat e Muhamadi S.A.WW k rang mein ranga hota hy, wo har haal mein rab e kareem sy razi ba raza rehta hy, Allah ke mohabat or Oss k Mehboob (S.A.WW) k ishq sy ous ke zindagai k lamhaat jagmaga rahy hoty hein, sabr o shukr or qina’at ous ke siffaat hoti hein, ous k lab harf e shikayat sy na aashna hoty hein, ous ke har harkat, andaz, nashist o barhast, guftaar or afaal or amaal sy taqwa or parhaiz gari ka shehad tapakta hy.
Mutaqi k mutaliq piary Aaqa S.A.WW k is farman sy Allah k haan ous k maqaam o martaba ka andaza lagaya ja sakta hy,
Fatah Makkah k mouqa par apny khutba mein Aap S.A.WW by farmaya, “Aey logo…!!!
insano k bas do he girooh hein, aik naik mutaqi jo Allah k nazdeek mohtaram hy or dousra badkaar badbakht jo Allah k nazdeek haqeer hy warna sary insan Hazrat Aadam a s kr oulaad hein or Allah ny Hazrat Aadam a.s ko mat’ti sy banaya tha”.
Haja tul widah k mouqa par Aap S.A.WW ny farmaya,
“Aey logo…!!!
tumhara rab aik hy kisi ajmi ko arbi par or kisi arbi ko ajmi par kor fazeelat nai, na kisi kaly ko surakh par na kisi surkh ko kaly par bartari hasil hy bajuz taqwa k.
Allah k nazdeek tum mein sy ziada izat wala wo hy jo ziada mutaqi hy”.
Msg 5

Taqwa sy jo mukhtasir tareen murad li ja sakti hy wo khouf e khuda hy or yehi taqwa ke jan hy lakin is waqt moashray .mein jo buraiyan dandanati phirti hein ous ke sub sy bari wajah yeh hy k aksriyat khouf e khuda sy aari hy.
Yeh tou sub janty or maanty hein k Allah hamari shehrag sy qareeb hy or har jagah mojoud hy lakin hamein ous ka ehsas nai hota agar yeh baat or ehsas har waqt paish e nazar rahy tou joe gunnah sar zad nai ho sakta.
Aik aadmi ka aik aourat par dil aa geya wo aourat kisi kaam sy bahir nikli or wo aadmi bhe ous k saath chal para, jab jungle mein dono akaily reh gy or sub so gy tou aadmi ny aourat k saamny apna raaz khol deya.
Aourat ny ous sy poucha k keya sub so gy?
wo aadmi bohat khush hoa k shayed aourat ny meri baat maan li hy wo outha or qafily k gird ghoum kar daikha sub log so rahy thy ous ny wapis aa kar btaya,
sub so gy hein.
Aourat ny kaha,
Allah k bary mein tum keya kehty ho kia wo bhe so raha hy?
ous shakhs ny jwab deya…
Allah na sota hy, na Ossy neend aati hy na oungh aati hy.
Aourat boli,
jo na soya na soye ga wo hamen daikh raha hy chahy hum na daikhein ab tou hamein ziada darna chahiye.
chunachy ous shakhs ny Allah k dar sy aourat ko chor deya toba kr li or gunnah sy ruk geya.
Msg 6

Hamary buzurgon ny taqwa mein jo buland maqaam hasil keya hy or keya tha wo is leay k wo naikion mein behad harees thy or hein or taqwa ke choti sy choti baat or amal ko bhe mad e nazar rakhty hein kion k wo janty thy or hein k Allah k haan zara brabar bhe naiki or buraai ka badla deya jata hy.
Aik din kisi ny Hazrat Ibrahim Bin Adham r.a sy daryaft keya k,
Aap aab e zam zam kion nai peety.
farmaya,
agar mery pass dool hota tou zaroor peeta.
is sy andaza lagaya ja sakta hy k aap ny kisi sy doul oudhar maang kar aab e zam zam peena gwara na keya k kisi k ehsan ka badla kis tarah ada kron ga.
Aik martaba Hazrat Umer Bin Abdul Aziz r.a k pass maal e ghaneemat ke kastoori laai gi tou ounhon ny naak par haath rakh leya or farmaya,
is ke khusboo sy he faaida outhaya jata hy or main nai pasand krta k main akaila he is ke khushboo sounghoun.
Msg 7

Taqwa ke raah par gaamzan mutaqi logon ke misal sy rooh mein baalidgi paida hoti hy or oun k naqsh e qadam par chalny ka hosla paida hota hy, yeh aala paya hastiyan choti choti baton ka bhe bara khiyal rakhti theein hum oun k maqam par tou nai pohanch sakty lakin koshish tou kar sakty hein or bari bari baton sy mohtat tou reh sakty hein na…
Kehty hein k Hazrat Raabia Basri r.a ny kapry ka aik tukra shahi mash’al ke roshni mein siya or apna kurta banaya jis ke wajah sy aap ny sakoon na paya yahan tak k ounhein yaad aa geya k main ny yeh kapry ka tukra shahi mash’al ke roshni mein siya hy chunachy ounhon ny qameez pharr daali or is tarah oun ko sakoon mila.
in misalon sy ba khoubi andaza lagaya ja sakta hy k hamary bazurg kis tarah taqwa ke raah par gaamzan thy or hein or hamary leay oun ke zindagi mash’al e raah hy.
agar hum apny moaamlaat ka jaaiza lain tou rona aata hy aaj wo is duniya mein nai hein lakin oun ka naam zinda hy or hum jo khud ko zinda kehty hein haqeeqat mein murda hein kion k hum ny taqwa or parhaiz gari ke raah ko chour rakha hy or hamary andar is baat ka ehsas he nai.
Msg 8

Taqwa ka lafzi matlab hy parhaizgaari
Sorat Al-imran mein hy
“Beshak tum mein sy sub sy ziada izzat wala wo hy jo mutaqi hy”
or hum kitny nadan hein k khud ko izat k qabil samjhty hein magar taqwa ka matlab tak nai janty jo Allah k nazdeek izat ka mayar hy or aakhirat mein bhe taqwa walon k leay he buland maqaam hy.
Sorat Al-Qamar
mein Allah farmata hy,
“Beshak mutaqi log bagahaat or nehron mein hon gy”.
Allah ny apny naik bandon k leay he behtreen inamaat rakhy hein magar hum dunia kamany k chakar mein taqwa ka daman haath sy chor daity hein.
Har ibadat ka maqsad bhe mutaqi ban’na hota hy.
Msg 9

Taqwa ka asal markaz dil hy Aap S.A.WW ny aik baar dil ke taraf ishara kr k farmaya k
“Taqwa yahan hy”
Allah ny dil ko pakeezgi ka markaz banaya hy magar hum aisy jahil or nadan hein k duniya ke ghlazat samait kar dunia ko dil mein basa laity hein tou taqwa kaisy qaaim kar sakty hein.
Aik or hadees e mubarika mein hy,
“Taqwa ka ta’aluq batin sy hy or is ke waja sy hamein nafs e mutma’ina hasil hota hy”
Msg 10

Taqwa har ous cheeze sy bachny ka naam hy jo Allah sy dour kry.
Piary Aaqa S.A.WW afzal ul bashar thy tamam gunahon sy paak thy jab raat ko ibadat k leay khary hoty tou ghanton aik he rak’at mein khary rehty or sajdy mein jaty tou daikhny waly samjhty k rooh e mubarik parwaz kr gi hy. Aik baar Aap S.A.WW ny sari raat beqarari mein karwat badalty hoay guzar di, Aap S.A.WW ke bechaini ko daikh kar Hazrat Ayesha r.a ny poucha k Aap S.A.WW ko sari raat neend nai aaei tou Aap S.A.WW ny farmaya k aik khajoor pari thee jo main ny is leay outha kar kha li k zaya na ho ab fikar hy k wo khajoor sadqy ke na ho.
Bzahir yeh aik chouta sa amal bhe Aap S.A.WW ko pryshan kar raha tha k kaheein dousry k hissy ke khajoor na kha li ho go k wo khajoor sadqy ke na thee magar ous ka bawjood Aap S.A.WW k dil k taqwa ka yeh aalam tha k Aap S.A.WW ko bechani lag gi.
Allah k hukm par amal karny waly piary Aaqa S.A.WW k taqwa or parhaizgari ka aalam daikh kar yeh ehsas hota hy k hum tou qadam qadam par ekhtiyat ka daman haath sy chor daity hein or kitny he beshumar amal khilaaf e hukm karty hoay bhe bechain nai hoty.
Naiki karna bhol jaty hein, gunnah sy bachny ke koshish tark karty hein magar zara bhe ehsas nai hota k hum taqwa ekhtiyar krny waly nabi k ummati hein.
Allah hamein taqwa wala dil ata kr dy.
Aameen
End



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Taqwa ka ta’aluq hy….
a. zahir sy
b. batin sy
c. ikhlas sy

2. Mutaqi har haal mein Allah sy rehta hy….
a. razi
b. khush
c. pryshan

3. Taqwa ka asla matlab,
a. Allah ke muhabat hy
b. Aaqa S.A.WW ke muhabat hy
c. khouf e khuda hy

4. Allah k nazdeek izaat ka mayar hy,
a. doulat
b. taqwa
c. shohrat

5. Haqeeqi zindagi ibarat hy,
a. shukar sy
b. sabar sy
c. naik amaal sy

Fill in the Blanks  /5

1. Taqwa ka hamil shakhs dunia mein rehty hoay bhe ____ mein nai hota.
2. Taqwa sy ____ hasil hota hy.
3. Taqwa ke rooh e rawan ___ hy.
4. Taqwa har ous cheeze sy bachny ka naam hy jo ____ sy dour kar dy.
5. Ibadaat ka maqsad _____ ban’nana hota hy.

True / False /5

1. Allah k haan zara brabar naiki or buraai ka badla bhe deya jata hy.
2. Mutaqi shakhs apni harkaat o saknaat ke bajaye dousron par nazar rakhta hy.
3. Mutaqi shakhs ka tan mun, zahir batin shariyat e Muhammadi k rang mein ranga hota hy.
4. Dunia mein taqwa ikhtiyar krna talwar ke dhaar par chalna hy.
5. Aala paya hastion ko naikion sy koe gharz na hoti thee.

Short Answer Questions /15

1. Piary Aaqa S.A.WW ny jism k kis hissy ko taqwa ka maqaam qarar deya hy?
2. Taqwa ka lafzi matlab kia hy?
3. Hadees Mubarika ke roshni mein mutaqi ke kia pehchan biyan farmai gi hy?
4. Mutaqi insan ke kia siffat hoti hein??
5. Taqwa sy mutaliq waqiyat ko parhny k baad apni feelings share krain.


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (b)
2. (a)
3. (c)
4. (b)
5. (c)

Fill in the Blanks

1. Duniya
2. Nafs e mutmeina
3. Akal e halal
4. Allah
5. Mutaqi

True/False

1. ✔
2. ✖
3. ✔
4. ✔
5. ✖

Short Answer Questions

1. Dil ko

2. Parhaizgaar

3. Aap S.A.WW ny farmaya,
“banda ous waqt tak mutaqeen k darjy ko nai pohancj sakta jab tak oun cheezon ko tark na kar dy jin mein harj na ho is khouf sy k shayed is mein harj ho or be zarar cheezon ko is khouf sy na chor dy k shayed is mein zarar ho”

4. Yeh har aik ka apna jawab ho ga

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *