STEP 4 – MOAMLAAT – MAQASID MESSAGE

 Step 4 Maqasid 

☆Harawal Dasta 2 ka step 4 “Moamlaat” hy.

☆Piaray Aaqa E Dou Jahan S.A.WW ke zindgi har tara sy hamaray leay aik mukamal namoona e hayat hy.
Zindgi k tamam moamlat or har pehloo k hawalay sy Piaray Aaqa S.A.WW ke zindgi ummat k leay uswa e hassna hy.

☆Zindagi ke aadat o atwaar mein sunnat e Nabvi S.A.WW sy aashnai hasil karnay k baad training k is marhalay mein zindagi k mukhtalif moaamlaat mein Piaray Aaqa e Do aalam S.A.WW k pairvi amli taor par karnay ke tarbiyat de jati hy kion k billa shuba AAP S.A.WW ke it’taba he hamari zindgi k sab moamlat ko sanwarnay ka behtreen waseela hy or isi mein hamari bhalai or falah or Allah ke raza bhe hy.
Jaisay k Quran mein bhe hy k…
“Allah ke ita’at kro or Oss k Rasool ke ita’at kro”
Quran e Kareem mein Allah ny sirf yehi nai k hukm deya balky Rasool Allah S.A.WW ke it’tabaa ko apna it’tabaa or Oun S.A.WW ke ita’at ko apni ita’at qarar deya hy.

☆Is marhalay mein yeh tarbiyat de jati hy k kis tara sy Piaray Aaqa E Dou Jahan S.A.WW ny apni zindgi k mukhtalif moamlat behtareen tareeqay sy nibhaye ta’k training karnay walon ko aashnai ho or wo bhe apni zindgi k moamlaat ko nibhatay hoay un moamlat mein Aap S.A.WW ke Sunat e Pak ka itaba karnay ke koshish ka aghaz karein.

☆Is step mein zindgi k Moamlaat ko sanwarnay ke tarbiyat k leay Ayat e qurani, ahadees e mubarika, bazurgon k aqwal or farman e ouliya sy bhe madad le jati hy. In bazurgan e deen or sufiya o ouliya ke zindgi k halaat o waqiat sy bhe rou shanas karaya jata hy ta’k training karnay walay jan sakein k kaisay Piaray Aaqa e dou jahan S.A.WW k uswa e hassna ke it’taba amli taor par mumkin hy or is amli ita’at k fayooz o barkaat kia hein or oun k andar bhe Piaray Aaqa S.A.WW k bataye hoay rastay ko apna kar apni zindgi k moamlat ko Oun S.A.WW ke pasand k moutabiq dhalnay ke lagan paida ho.

☆Is step mein zindgi k maomlat mein Piaray Aaqa E Dou Jahan S.A.WW ke pairvi ka ihsas or moamlaat mein Oun S.A.WW ke sunat e mubarik sy ashnaai ke wajah sy Oun S.A.WW ke muhabat ka rang oujagar hota hy or youn khud ba khud moamlaat mein behtari aanay lagti hy tou apnay sath sath doosron ko bhe isi tara sy moamlat mein Piaray Aaqa E Dou Jahan S.A.WW k it’taba ke targheeb dainy lagtay hein. Or youn is step k in maqasid k hasool par yeh step mukamal hota hy.

☆Is step mein bari bari aik aik moaamlay k baray mein aagahi de jati hy or is tara hat-ul-imkaam koshish ke jati hy k zindagi k eham tareen moaamlaat ko yahan training ka hissa banaya jaey.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *