Step 5 : Case Dealing.

“~*Workers*~”
*5th Step*
“Case Dealing”

Q1. Aap k kitnay % cases nakaam hoay, yani 2 ya 4 duaein kara k ya chand din surat soun k ghaaib jo gaey?

Q2. Aap k khiyla mein in cases ke nakaami mein kitnay % aap ka hath tha or kitnay % case ka???
Q3. Oun cases ke nakaami ke main waja kia the??
Q4. Aap ko kis tara k cases laina pasand hy, jin k sath aap shaoq sy kaam kar laitay hein or maslay sy nikaal laitay hein??
Q5. Kis level tak kisi bhe case ko chalana aap k leay aasan hota hy??
Q6. New cases sy dealing mein kia karna aap ko sab sy mushkil lagta hy??
Q7. Case dealing mein jab tak worker k Allah par emaan or yaqeen ka level best na ho tou wo case ko sahi tara sy Allah k yaqeen par kharra nai kar sakay ga na…
Is k leay ab aap apnay aap ko kitna mazboot yaqeen par kharra feel kar rahay hein… ??
Q8. In dinoo ka koe waaqiya jis mein aap ny apnay aap ko ya kisi case ko Allah par emaan or mazboit yaqeen k saharay kharra keya ho???
Q9. Mayousi or naumeedi… apnay leay darwazay khud band kar daina…
Aap k andar kisi bhe hawalay sy ab mayousi ya beyaqeeni mein mein doub janay ke kia kia waja hoti hy…
Ya wo kon kon sy points hein jin par aap jaldi mayousi mein chali jati hein… chahay k tjorri dair k leay he sahi…
Sachaai sy apna jaaiza ly kar aonay andar ko oudhairr k rakh dain, ta k aaj koe bhe aisa point aap sg oujhal na rahay jis ke waja sy aao mayousi, naumeedi ya beyaqeeni mein chali jaati hein…???
Q10. Aap jab bhe mayousi mein ghir jaatay hein tou khud ko kaisay nikaaltay hein…yani kia tips use kartay hein??

Q11. Apnay sath chalnay walay cases k leay aap khulay dil sy sirf oun ke behtare chahtay hein ya aap oun cases k hawalay sy possesive hein k wo or kisi worker sy raabta na karein??
Q12. Apna koe aisa case bataaein jo pehlay aap k sath tha par jab wo kisi or worker k sath attach hoa tou aap k os k sath rawaiye
mein koe farq na aya??
Q13. Aap k cases k chalnay na chalnay ya kisi or k sath attach ho janay par bhe aap ko koe farq na parrta is k peechay aap ny kia *Golden point* pakarr rakha hy k jis ke waja sy aap ko farq nai parrta??
Q14. As a worker aap k leay kon sy cases impoetant honay chahiyein… jin sy aap ko proper raabtay mein rehna chahiye..??
Q15. As a worker aap k khial mein aap k leay apny Ustad, Guru ya Murshed sy raabtay mein rehna kion zarori hota hy??
Q16. Murshed ko atta ke gae Ehlay Jinaat Fuqraa ke Jamaat k baray mein aap jaantay he hein…
Is k baray mein bataaein k,
Ye kion atta ke gae hy or working k leay kis kis point par aap apnay sath attach loon ke bhalaai k leay in sy bhe help ly saktay hein??
Q17. Aap k khiyal mein Kamiyaab case kisay kehtay hein??
Q18. As a worker mission ka kaam kartay hoay kin kin points par aap ke gharailoo routine life ya qareebi log mutaasir ho rahay hein??
Q19. As a worker aap ko Ustad, Guru ya Murshed ke taraf sy byforce working karaai jaati hy??
Q20. Workers ke is training sy aap ko apnay andar Spirit Of Work or aagay Working mein behatr results ke kitnay % umeed hy??

Jazba-e-Kaam Salaamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *