Step 5 – PIYARE AAQA S.A.W.W ki Hayat e Tayba (Day 63)

Msg 48
Continued…

BAIT E RIZWAN OR SULAH KHUDAIBIA

9 zeeqad ko Aap S.A.WW aik hazar 400 sahaba k sath umrah k irady sy chaly.
Aap S.A.WW k sath Umm e salma r.a bhe thy.
Miqaat par pohanch kar Aap S.A.WW ny ehraam bandha.
Aap S.A.WW ny Hazrat Basar bin sufiyan r.a ko quraish ke taraf batoar jasous bheija. Aap S.A.WW safar mein thy.
Asfaan k nazdeek pohanchy tou jasous ny itlaa di k kuffar Aap S.A.WW ko Makkah mein dakhil nai hony dain gy.
Aap S.A.WW ny ashaab sy mashwara keya or Hazrat Abu Bakar r.a k mashwary ko pasand farmaya k…
Msg 49

hum Bait ullah k irady sy nikly hein is leay hum baitullah ka rukh krain gy jo hamein roky ga ous sy larain gy.
Jab Aap S.A.WW Hudaibiya k qareeb pohanchy tou Aap S.A.WW ke naqa qaswa baith gi.
Har chand outhany ke koshish ke gi magar na outhi.
Msg 50

Qaswa rukny wali nai thee magar Allah ny rok deya.
Qaswa ko outhya or hudaibiya k parli traf aik kunwaein par outry.
Garmi ka moasam tha pani kam tha.
Aap S.A.WW ke khidmat e Aqdas mein piyas ke shikayat aaei. Aap S.A.WW ny pani sy kuli kar k chagal mein daal deya or Apna dast e mubarik chagal mein dala tou Aap S.A.WW ke ounglion sy chashmon ke tarah pani nikalny laga.
Msg 51

Isi asna mein Badeel bin warqa apni qoum k chand logon k sath hazir hoa or kaha k kuch qabaail Hudaibiya k aab e kaseer par outry hoay, oun k pas 2 ountniyan bhe hein.
Aap S.A.WW ny farmaya k hum kisi sy larny nai aaye balky ummrah k irady sy aaye hein.
Badeel ny kaha Aap S.A.WW ka yeh irshad quraish tak pohancha doun ga.
Msg 52

Urwa bin masood ny badeel ka biyan soun kar kaha k is ny aik naik amar paish keya hy is ko qabool kar lain or mujhy Aap S.A.WW k pass jany dain.
Urwa Aap S A WW ke khidmat mein hazir hoa jab wo Aap S.A.WW sy kalam karta tou Aap S.AWW ke raish mubarik ko chouta. ous waqt Hazrat Mugheera r.a bagharz e tazeem nangi talwar leay Aap S.A.WW k pass khary rahy….
Msg 53

Urwa Aap S.A.WW ke raish ko hath lagata tou aap r.a ous k hath par maarty or kehty raish mubarik sy hath hatao.
Urwa Ashab e Nabi S.A WW ke jan nisari daikhta raha ous ny wapis ja kar apni qoum ko sahaba r.a k ousaaf btaye or kaha k aik achi baat kahi ja rahe hy is ko qabool kar k moahida kar lo is k baad Haleef bin alkama khidmat e aqdas mein hazir hoa, phir Makraz aaya wo baat kar raha tha k khateeb e quraish Suhail bin umro hazir hoa.
Msg 54

Sulah ke guftagoo k baad qarar paya k aik saal tak laraai band rahy gi.
Suhail ny arz keya k moahida tehreer keya jaye.
Aap S.A WW ny Hazrat Ali r.a ko talab farmaya or farmaya likho,
Bismillah Alrehman Nirahim.
Suhail ny kaha Alrehman ko hum nai janty balky likho
Bismikalahuma,
jaisy k hum pehly likha krty thy
Bismikalahuma likhny k baad Aap S.A.WW ny farmaya k likho k yeh Muhammad S.A WW ke taraf sy hy.
Msg 55

Suhail ny kaha k hum janty k Too Allah ka Rasool hy tou tujhy Baitullah sy mana na krty or kaha k likho Muhaad bin Abdullah or Rasool Allah S.A.WW ko mita do.
Aap S.A.WW ny farmaya k Ali r.a isy mita do.
Hazrat Ali r.a ny farmaya main isy nai mitaoun ga mujhy is ke jagah koe lafz btaein. .
Aap S.A.WW ny farmaya k Rasool Allah ko mita kar Muhmmad Bin Abdullah likh dain
Msg 56

Is mein aik shart yeh thee k aainda saal ummrah k leay aaein gy tou Aap S.A.WW ka raasta chour deya jaye ga or yeh k jo koe Makkah sy Aap S.A.WW k pass aaye chahy wo Aap S.A.WW k deen par ho Aap S.A.WW ousy hamari taraf wapis kar dain gy.
Sahaba karam r.a or hazreein ny is par aitraaz keya.
Msg 57

k kis tarah wapis keya jaye ga.
isi asna mein Suhail ka baita Abu Jandal zanjeeron mein jakra Aap S.A.WW k pass pohanch geya.
Suhail ny kaha k isy mery hwalay kar deya jaye.
Aap S.A.WW ny farmaya,
isy mery pass rehny do.
ousny kaha k nai aisa nai ho sakta.
Aap S.A.WW ny farmaya,
Abu jandal sabar kar or swab ke umeed rakh hum wada nai torty. Allah tery wasty khalasi ke sabeel kary ga.
Msg 58

Jab Aap S.A.WW maqam e Hudaibiya mein pohanchy thy tou Kharaash bin umiya ko quraish ke taraf apny irady sy matlaa karny k leay bheija tou Akarma bin Abu jehal ny zanjeerain kaat deein or qatal karny laga magar kuch logon ny rok leya.
kharash ny wapis aa kar sara majra Aap S.A WW ko sunaya.
Msg 59

Hazrat Ali r.a ny Hazrat Usman r.a ko quraish e Makkah ke taraf bheija.
Hazrat Usman r.a ny sardaran e quraish ko Aap S .A.WW ka paighaam pohanchaya tou quraish ny Hazrat Usman r.a ko apni hirasat mein rakha itny mein yeh khabar phail gi k Hazrat Usman r.a ko Makkah mein qatal kar deya geya hy.
Aap S.A.WW ny babool k aik darakhat k neechy musalmano sy bait li is bait ko bait e Rizwan kehty hein.
Msg 60

Hazrat Usman r.a ke bait ke jagah Aap S.A.WW ny apna dayan hath baein hath par rakh kar oun ko bait mein shamil keya.
Jab quraish ko is bait ke khabar pohanchi tou ouno ny sulah kar li.
Sulah Hudaibiya k baad Aap S.A.WW ny ashaab sy farmaya k qurbaniyan karain or sar mundhwa lain.
Msg 61

Aap Madeena tashreef laaye tou Abu Baseer Saqfi Makkah sy bhaag kar Aap S.A.WW ke khidmat mein hazir hoay.
Aap S.A.WW ny moahidy k mutabiq wo 2 shakhs jo oun ko lainy aaye thy oun k hwaly kar deya.
Zil khalifa k maqam par Abu Baseer ny aik sy kaha talwar dikhao or ous ka kaam tamam kar deya, dousra bhaagta hoa Aap S.A.WW ke khidmat mein hazir hoa.
Abu Baseer bhe Aap S.A.WW ke khidmat mein hazir hoay or arz keya k…
Msg 62

Aap S.A.WW ka wada poura hoa.
Aap S.A.WW ny farmaya,
Nai too jahan chahta hy chala ja.
Abu Baseer sahil e samandar par chaly gy
Abu jandal bhe oun sy aan mila.
Aahista aahista wahan oun ke aik jamaat ban gi oun logon ny quraish ka sham ka tijarti raasta rok leya.
Quraish tang aa kar Aap S.A.WW k pass hazir hoay or wapsi ke shart khatam karny ka kaha.
Aap S.A.WW ny Abu Baseer or Abu Jandal ko aik khat bheija.
Abu Baseer sakht beemar thy Aap S.A.WW ka naam e mubarik aap r.a k hath mein tha k intaqaal kar gy.
Abu Jandal sathion samait Madeena mein Aap S.A.WW ke khidmat mein hazir hoa or Aap S.A.WW k pass he reh gy or Hazrat Umer r.a k zamana mein shaheed hoay.
Msg 63

FATAH MAKKAH 

Maah e Ramzan 8 hijrii mein ghazwa fatah Makkah waqoo pazeer hoa.
ous ka sabab yeh tha k quraish ny moahida sulah hudaibiya tora tha.
Aap S.A.WW 10 ramzan 8 hijrii ko 10,000 ke fouj ly kar Madeena nikly.
Qadeed mein tamam qabaail ko jhandy deay gy.
Aakhri paraao Makkah sy aik meel k faasly par keya geya.
jahan Aap S..A.WW ny hukm deya k taman fouj alag alag aag roshan kry…
Quraish ko jab lashkar e islam ke rwangi ke itlaa milli tou ouno ny Abu sufiyan k sath 2 or logon ko tehqeeq k leay bheija.
Msg 64

yeh teeno khaima e Nabvi k qareeb pohanchy tou hifazt par jo dasta maamoor tha ous ny Abu sufiyan ko Aap S.A WW ke khidmat mein paish kr deya.
Aap S.A.WW Makkah mein balaai hissy ke taraf sy dakhil haoy or eilaan farmaya k,
jo shakhs hathiyar daal dy ga,
Abu sufiyan k ghar mein panah ly ga,
ya masjid mein dakhil ho jaye ga,
ya darwaza band kar ly ga
tou ous ko panah de jaye gi.
Msg 65

Aap S.A WW ny Hazrat Khalid bin waleed r.a ko hukm deya k qabaail arab k sath Taa’ein ke taraf sy dakhil hon or hum sy aa milein or kisi sy jang na krain, magar Safwan bin umiya, Akarma bin abi jehal, or suhail bin umro ny raasta roka or teer barsaye.
Jis sy Hazrat Jabous bin Ash’ar r.a or Qaraz bin jabir r.a ny shahadat paaei.
Kuffar 13 sy ziada laashein chor kar bhag gy.
Msg 66

Aap S.A.WW ny kuch dair apny khaimy mein aaram farmaya, ghusal farmaya or hathiyar laga kar Qaswa par swar hoay or apny ghulam k baity Usama ko peechy bitha leya.
Aap S.A.WW aajizi or shukar mein is qadar jhuky hoay thy k Aap S.A.WW ka sar e mubarik naqa k kajawy k sath lagny laga.
Aap S.A.WW ny sub sy pehly hajar e aswad ko bosa deya phir apni naqa par twaaf e ka’aba keya.
Msg 67

Baitullah k ird gird or ouper 360 bout thy.
Aap S.A.WW k dast e mubarik mein aik chari thee.
Aap S.A.WW aik aik ko thokar lagaty jaty or farmaty,
“Haq aa geya batil mitt geya beshak batil mitny k leay hy”.
(sorat Bani Israeel)
Msg 68

is tarah Baitul shareef bouton sy paak ho geya.
Aap S.A.WW ny Hazrat Usman Bin Talha r.a sy kunji ly kar darwaza khola.
Tamam tasaveer or mujasmy khatam kar k darwaza band kar deya.
Hazrat Usama r.a or Hazrat Bilal r.a or Hazrat Usman bin talha r.a Aap S.A.WW k sath andr rahy.
Aap S.A.WW ny in teeno k sath namaz ada ke or har taraf takbeer kahi or darwaza khol deya.
Msg 69

GHAZWA HUNAIN

Jab Makkah fatah hoa tou bohat sy logon ny islam qabool kar keya.
Hawazran ka qabeela bohat ghussy mein tha ouno ny hamly ke tayariyan shuru kar deein.
Ouno ny apni aourtein, bachy or maal amwaal apny sath leya or Malik bin aouf nasri ke sipah salari mein Madeena ke taraf barhy.
Msg 70

Aap S.A.WW ny Hazrat Abdullah bin ubi aslami r.a ko haal daryaft karny k leay bheija ous ny saray halaat aa kar Aap S.A.WW ko btaey.
Aap Shawala 8 hijri men 12,000 k lashkar k sath jin mein 2,000 ehl e Makkah bhe thy rawana hoay itny bary lashkar ko dakh kar sardaran e mushrikeen ny kaha k aaj hum par kon ghalib aa sakta hy…
Islami fouj ny dat’t kar muqabla keya kuffar bhaag nikly, musalman maal e ghaneemat ikatha karny lagy k kuffar ny dobara hamla kar deya.
Msg 71

Aap S.A.WW k ashaab sabit qadam rahy. .Hazrat Abbas r.a ke aawaz bohat buland thee.
Aap S.A.WW ny hukm deya k muhajreein o insaar ko aawaz dain k,
Aey giroh e ansaar,
Aey bait e rizwan,
Aey soraa Baqra waly….
is aawaz par sub Labaik kehty hoay jama ho gy.
sub ny bohat buhadri sy muqabla keya…
Msg 72

Jang ke shiddat meim Aap S.A.WW ny farmaya,
Tanour khoub garam ho geya hy, frishton ka lashkar madad k leay outara geya jo ghurr swaron ke shakal mein kuffar ko nazar aaya.
Aap S.A.WW ny mutthi bhar khak le or Shahtul Wajooh parhty hoay kuffar ke taraf phaink di.
Kuffar k lashkar mein koe aisa na tha jis k chehry par wo khak na pari ho is tarah lashkar e kuffar ko shikast hoe. Aap S.A.WW ny Taaif ka mohasira keya or Tufal bin umroo ko kaha k apni qoum sy madad lay kar Taaif mein aao.
Msg 73

Hazrat Tufail r.a qabeely k 400 aadmi or dababa or manj’neeq lay kar Taaif mein hazir ho gy. Yahan aik qily mein dushman panah guzeen tha or islam mein yeh pehla mouqa tha k qilaa shikan hathiyat istamaal hoay.
Qilaa ko fatah na kar saky tou Aap S.A.WW ny munadi krwa di k kuffar ka jo ghulam qiloon sy nikal kar hamary pass aaye ga ous ko azad kar deya jaye ga. is tarah 23 ghulam qilaa sy bahir aaye jin ko azaad kar deya geya.
Msg 74

Taqreebn 2 hafta mohasira k baad bhe qilaa fatah na hoa tou sahaba r.a ny Aap S A.WW sy arz ke k Aap S.A.WW in k leay bad dua farmaein.
Aap S.A.WW ny is tarah dua farmaei,
Aey Allah…!!!
Too Taqeef ko hidayat dy or in ko musalman bana.
Aap S.A.WW ke dua ka nateeja yeh hoa k 9 hijri mein Taqeef k aik bary wafd ny islam qabool kar leya.
Msg 75

GHAZWA E TABOUK 

yeh ghazwa hijrat k 9wein saa Maah e Rajab mein paish aaya.
Madeena mein yeh khabar pohanchi k eisaaei arbon ny Madeena par hamla karny k leay bohat bari fouj tayar ke hy.
Aap S.A.WW ny ehl e Makkah or baqi qabaail sy jani o maali imdad talab ke. Is lashkar ke tayari mein Hazrat Usman r.a ny khas toar par hissa leya.
Hazrat Abu Bakr r.a ghar ka sara samaan ly aaye…
Msg 76

Hazrat Umer r.a ny ghar ka aadha samaan dy deya.
is waqt sakht qehat para tha or shadeed garmi thee magar Aap S.A.WW 30,000 ke fouj k sath Madeena rawana hoay.
Tabouk pohanchny par maloom hoa k yeh khabar ghalat thee.
Ehl e Tabouk ny jiz’ziya dainy par razamand ho kar Aap S.A.WW sy sulah kar le.
Aik nasrani Youhana bin roba ko Aa S.A.WW ny chadar inayat farmaei or is tarah sulah ho gi.
Msg 77

MASJID ZARAAR

Munafiqeen hamesha musalmano mein phout dalwany ke koshish karty is gharz sy ouno ny apni alag masjid banay ka irada keya.
Abu Aamir Faarsi eissai ho geya ous ny munafiqeen ko kaha k masjid Quba k mut’tasil apni aik masjid bana lo wahan samaan e harb tayar karna main romion sy keh kar foujein laaoun ga taky Aap S.A.WW or Aap S.A.WW k ashaab ko mulk sy nikal dain.
Munafiqeen ny masjid e Quba k sath he aik masjid bana le.
Jab Aap S.A.WW Tabouk sy wapis aaye tou munafiqeen ny kaha k Aap S.A.WW is mein namaz parhaein magar Allah ny sort Toaba aayt 107 or 108 mein wahi nazil farmaei…
Msg 78

Tarjuma:-
Wo log jinhon ny masjid banai, nuqsan pohanchany, kufar na karny, or musalmano mein phoout dalny k leay or panah gaah banany k leay jo pehly sy Khuda or Rasool sy laar raha hy.
Albata wo qasmein zaroor khaein gy k hum ny tou bhalaai chai, Allah gwa rehna k wo jeet geya. Tum us mein hargiz khary na hona albata wo masjid (masjid e quba) jis ke buniyaad pehly din sy he parhaiz gaari par rakhi gi hy is baat ke ziada mustahiq hy k Too is mein khara ho, is mein aisy log hein jo paak rehny walon ko dost rakhty hein, or Allah pak rehny walon ko dost rakhta hy.
Msg 79

Aap S.A.WW ny Hazrat Malik bin Khasham r. a ko Hazrat Hassan bin ubi ko hukm deya k masjid e zarar ko jala do or gira do.
Chunachy aisa he keya geya is saal mukhtalif qabaail k wafood kasarat sy islam qabool karny lagy.
Msg 80

Khutba Hajja TUl Widaa

10 Hijriii k waqiyaat mein sy shaandaar or eham tareen waqiya Hajja tul widaa hy.
Yeh Aap S.A.WW ka aakhri hajj tha or hijrat k baad yehi Aap S.A.WW ka pehla Hajj tha. Zee’qad 10ھ mein Aap S.A.WW ny hajj k leay rawangi ka eilaan farmaya.
Yeh khabar bijli ke tarah saray Arab mein har sou phail gae or tamam shurfaa e Arab Aap S.A.WW ke hamraahi k leay tayaar ho gaey.
Hazoor S.A.WW ny Zee’qad k aakhir mein jumairaat k din Madina mein ghussal farma kr tehband or chadar zaib e tan farmaya or namaz e zohar masjid e Nabvi mein adda farma kr Madina Munawara sy rawana hoay or apni tamam Azwaaj E Mutahiraat ko bhe sath chalnay ka hukam deya.
Madina sy 6 meel dour Ehl e Madina ke “Meeqaat Zul Halifah” pohanch kr raat bhar qayaam farmaya phir ehraam k leay ghussal farmaya.
Hazrat bibi Ayesha r.a ny Apnay hathon sy jism e athar par khushboo lagai phir Aap S.A.WW ny 2 rak’at namaz adda farmai or…
Msg 81

4 Zil Hajj ko Aap S.A.WW Makkah mein dakhil hoay or Aap S.A.WW k khandaan Banu Hashim k logon ny Aap S.A.WW ke tashreef aawari ke khabar souni tou khushi sy doar paray.
Aap S.A.WW ny Fajar ki namaz
Maqam e “Ze To’aa” mein adda ke or ghussal farmaya phir Aap S.A.WW Makkah Mukarma mein dakhil hoay or chasht k waqt yani jab aaftaab buland ho chuka tha tou Aap S.A.WW Masjid E Haraam mein dakhil hoay…
Msg 82

Manasik e hajj ada karty hoay Hazoor S.A.WW ny arfaat pohanch kr aik kambal k khaima mein qayaam farmaya.
Jab suraj dhal geya tou Aap S.A.WW ny apni ountni “Qaswa” par sawar ho kr khutba parha.
Is khutba mein Aap S.A.WW ny bohat sy zaroori ehkaam e Islaam ka eilaan farmaya or zamana e jehliyat ke tamam buraiyon ko Aap S.A.WW ny mitaty hoay farmaya…
Zamana e jehliyat k tamam dastoor mere dono qadmon k neechay hein”
Piaray Aaqa S.A.WW ny is moqa par 2 khutbay deay.
Pehla Arfaat ke pahari par 9 zil hajj ko or dosra 10 zil hajj ko Minaa mein.
Khutba E Arfaat…
Zamana e jehiliyat k khandaani tafakhur or rang o nasal ki bartari or qoamiyat mein ounch neech k butoon ko paash paash krtay hoay or musawaat ka alam buland farmatay hoay Aap S.A.WW ny is tareekhi khutba mein…
Msg 83

irshaad farmaya k…
“Beshak k tumhara Rab Allah hy or beshak tumhara baap (Aadam) aik hy.
Kisi arbi ko ajmi or kisi ajmi ko kisi Arbi par fazeelat hasil nai magar taqwa ke bunyaad par”
Aap S.A.WW ny Allah ke hamd o sana biyan ke or farmaya,
Main tum ko ibadat ke naseehat karta hon.
Mere batein ghour sy souno main tumhain wazahat sy btata hon kion k main nai samajhta k is saal k baad tum sy is maqaam par mulaqaat kr sakoon ga.
Tumharay khoon or tumharay maal aik dosray par haraam kr deay gaey hein.
Ta ham tum apnay Rab k hazoor jaa kr paish ho jao.
Jaisa k tumharay is maheenay mein or is shehar mein tumhara yeh din haraam hy.
Jis k qabzay mein koe amanat ho tou ousay ous k malik ko adda kr dy.
Doar e jehliyat k soodi nizaam kal’adam kr deay gy hein or sab sy pehlay main apnay chacha Abaas bin Abdul Mutlib r.a k soodi mutalbaat ko kal’adam krta hon.
Daor e jahliyat k tamam khoonon ky mutalbaat e qasaas kal’adam kr deay hein or sab sy pehlay main Aashir bin Rabii bin Haris…
Msg 84

Bin Abdul Mutlib k khoon ka mutaliba saaqit krta hon.
Daor e jehiliyat k tamam aizazaat or mansub kal’adam qarar dy deay gaey siwaey Ka’aba ke daikh bhaal or saqayat (Hajiyon ki aasani k leay pani pilany ka kaam) k leay.
Qatal e amd ka qasaas leya jaey ga.
Shaitaan nizaam e haq k chaa janay k baad is baat sy tou na umeed ho geya k ab tumhari is sar zameen par ous ke ibadat ke jaey ge lakin wo is par bhe khush ho ga k is k elawa in dosray gunahon mein ous ke ita’at ke jaey ge jin ko tum halka samajhtay ho.
Maheeno (yani haraam maheeno) ka adal badal kufar k tarz e amal mein izafah hy or is k zariye kufaar or ziada gumraahi mein partay hein k aik saal kisi maheenay ko halaal kr daita y hein tou dosray saal haraam…
Msg 85

thehra laitay hein ta’k aagay peechay kr k Allah k haraam krda maheeno ke lafzi ginti poui kr dain.
Tumhari khawateen ko tumharay muqablay mein kuch haqooq deay gaey hein or tumhein oun k muqablay mein haqooq deay gaey hein.
In par lazim hy k wo tumhari khawb gaahon mein tumharay ilawa kisi ko na aanay dain or kisi aisay shakhs ko (ghar mein)tumhari ijazat k baghair dakhil na honay dain.
Jis ka dakhil hona tumhain pasand nai hy or kisi be hayai ka irtakaab na krain.
Agar wo koe aisi baat krein tou tumhein Allah ny ijazat de hy k oun ke islaah k leay oun ko juda kr saktay ho, khawb gaahon sy alag kr saktay ho or aisi badni saza dy saktay ho jo nishaan dalnay wali na ho, phir agar wo baaz aa jaen or agar tumhari ita’at mein chalain tou qaaiday k mutabiq oun ka naan o nafqah tumharay zimay hy yaqeenan khawateen…
Msg 86

Tumharay zair e nageen hein jo apnay leay batour khud kuch nai kr sakteein tum ny oun ko Allah ke amanat k toar par apni rafaqat mein leya hy or oun k jismon ko Allah he k qanoon k mutabiq tasaruf mein leya hy.
So khawateen k moamlay mein Allah sy daro or bhalay tareeqay sy oun ke tarbiyat kro.
(Momin aapas mein) bhai bhai hein.
Kisi shakhs k leay is k bhai ka maal laina is ki raza mandi k baghair jaaiz nai hy.
Mere baad kaheein is (Akhuwat ko tarak kr k) phir kafirana dhang ikhtiyaar kr k aik dosray ki gardanein na katnay lag jana.
Main tumharay darmiyaan aik aisi cheez choray jaa raha hon k jab tak is par kaar band raho gy kabhi raah e raast sy na hato gy.
Wo hy Allah ki kitaab…
Msg 87

Allah ny har meraas mein sy har waris k leay sabit krda hisa muqar’rar kr deya hy or aik tehaai maal sy zaaid ke waseeyat krna jaaiz nai hy.
Bacha ous ka jis k bister par (nikkah mein) twald ho or badkaar k leay pathar.
Jis ny apnay baap ke bajaey kisi dosray ko baap qaraar deya ya jis ghulaam ny apnay aaqa k ilawa kisi or ko aaqa zahir keya tou aisay shakhs par Allah or farishton or tamam insano ki traf sy lanat hy.
Is sy qayamat k din koe badla ya uzar qabool na ho ga.
Msg 88

Ain ousi halat mein jab k khutbah mein Aap S.A.WW apna farz e Risalat adda frma rahay thay
Yeh aayat nazil hoe:-
Tarjama:-
“Aaj main ny tumharay leay tumharay deen ko mukamal kr deya or apni naimat tamam kr de or tumharay leay deen e islaam ko pasand farma leya”
Aap S.A.WW by lohon su poucha k tum logon sy mery baray mein pocha jaey ga tou ab tum batao k tum kia kaho gy???
Logon ny pukaar kr kaha:
“Ham gawahi daitay hein k Aap S.A.WW ny paighaam pohanchaya ummat ko naseehat krnay ka, Haq adda kr deya, haqeeqat sy saray parday utha deya, or
amanat e elaahi ko ham tak pohancha deya.
Jo log yahan mojoud hein wo ye batain ghair hazir logon tak pohancha dain mumkin hy k baaz saamaeen k muqablay mein baaz ghair hazir log in baton ko ziada achi tarah yaad rakhain or in ke hifazat krain.
Aap S.A.WW ny farmaya,
Allah TOO gawah rehna
main Tera paighaam pohancha deya.



 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Aaap S.A.WW ny moaahida tehreer karny k leay talab farmaya,
a. Hazrat Abu Bakar r.a ko
b. Hazrat Ali r.a ko
c. Hazrat Usman r.a ko

2. Baitullah sharif mein bout thy,
a. 160
b. 260
c. 360

3. Munafiqeen ny masjid zaraar banaei,
a. masjid e Quba k sath
b. Makkah mein
c. Madeena mein

4. Aap S.A.WW ny famaya main tumhary darmiyan chory ja raha hon,
a. anmbiya
b. Allah ke kitab
c. frishty

5. Aap S.A.WW ny muhajireen o insaar ko pukarny k leay hukam deya,
a. Hazrat Umer r.a ko
b. Hazrat Ali r.a ko
c. Hazrat Abbas r.a ko

Fill in the blanks /5 

1. Urwa ny apni qoum ko ashaab r.a ke ___ k ___ btaye.
2. Aap S.A.WW ny ___ sy kunji ly kar baitullah ka darwaza khola.
3. Ehl e Tabouk ny __ dy kar Aap S A.WW sy sulah kar li.
4. Dour e jehliyat k ___ nizam ko kal’adam qarar deya geya.
5. Aap S.A.WW ny hazir logon ko ____ ghair hazir tak baat pohanchany ka frmaya.

True / False /5 

1. Khajoor k darakht k neechy bait e Rizwan le gi.
2. Ghzwa Hunain mein frishton ny ghurr swaron ke sorat Aap S.A WW madad farmaei.
3. Hazrat Umer r.a ny ghar ka aadha saamna dy deya.
4. Warasat mein aik tehaai sy ziada hissa muqarar karny ka hukm farmaya geya.
5. Aourton ke islaah k leay oun ke khawab gaah alag karny ka hukm deya geya.

Short Question / Answers/15 

1. Aap S.A.WW ny Hazrat Usman r.a ko Bait e Rizwan mein kaisy shamil farmaya?
2. Aap S.A.WW ny kin logon ko amaan dainy ka farmaya?
3. Ghazwa e Hunain mein lashkar e kuffar ko shikast ke kia wajah hoe?
4. Masjid e zaraar k leay Aap S.A.WW ny kia hukm farmaya?
5. Khutba Hajja Tul vidaa k mouqa par konsi aayat nazil hoaeein?
End


 

ANSWER SHEET

MCQ’s /5

1. (b)
2. (c)
3. (a)
4. (b)
5. (c)

Fill in the blanks /5

1. jaan nisari / ousaaf
2. usman bin Talha r.a
3. jiz’ziya
4. soudi
5. ghair hazir

True / False 

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answers

A1.Hazrat Usman r.a ke bait ke jagah Aap S.A.WW ny apna dayan hath baein hath par rakh kar oun ko bait mein shamil keya.
A2. Aap S.A.WW ny eilaan farmaya k,
jo shakhs hathiyar daal dy ga,
Abu sufiyan k ghar mein panah ly ga,
ya masjid mein dakhil ho jaye ga,
ya darwaza band kar ly ga
tou ous ko panah de jaye gi.

A3. Aap S.A.WW ny mutthi bhar khak le or Shahtul Wajooh parhty hoay kuffar ke taraf phaink di.
Kuffar k lashkar mein koe aisa na tha jis k chehry par wo khak na pari ho is tarah lashkar e kuffar ko shikast hoe.

A4. Aap S.A.WW ny Hazrat Malik bin Khasham r. a ko Hazrat Hassan bin ubi ko hukm deya k masjid e zarar ko jala do or gira do.
Chunachy aisa he keya geya

A5. yeh aayat nazil hoeein.
Tarjama:-
“Aaj main ny tumharay leay tumharay deen ko mukamal kr deya or apni naimat tamam kr de or tumharay leay deen e islaam ko pasand farma leya”
End


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *