Step 7 -Step 7 krwanay k Maqaasid

*~*Step 7 A & B Krwany k Maqasid*~

1. Is k *A* step ka naam hy,

“Apnay Mann Mein Doob Ja”

Or *B* Step ka naam hy
“Mere Zaat Zara E Be’nishaan”

Is mein ham apnay andar apnay mann mein doob kar apni zaat k pardon ko parrt darr parrt kholna is intahaa tak seekhtay hein k hamein apne zaat zara e be’nishaan lagnay lagay.

2. Apnay andar ghehray ghotay laganay sy apni he zaat k ghehrai mein parray hoay be shumar manfi pehloo khul khul k samnay anay lagtay hein tou apni haqeeqat khud par aya’n hona shuru ho jati hy.

3. Is step mein Apnay Man Mein Doob kar andar k band darwazay kholnay ke ashnai millti hy. Wo band darwazay, jin k peechay zaat chuppi hoe hoti hy, jab khultay hein tou apni zaat ka ghatiya pann ham par mazeed khulta jata hy.

4. Apni be shumar kamion, kotahion, khamiyon, khataoun or gunahon ka ihsas baidar honay lagta hy. Ghaflat mein douba dil nadamat mein jana shuru hota hy tou in k iqrar ke himmat bandhti hy, apna ap khol k samnay rakh dena hamein hamaray zaat k khol ko torr kar apnay or Allah k beech ke tamam roukwaton ko torr dalnay ke taqwiyat millti hy.

5. Apni khataoun or gunahon ko tasleem karna or nadim ho k in ka iqrar kr laina hamein apni haqeeqat dikhata hy. Youn Hamare nazar mein koe bura nahi rehta. Or agar koe bura lagay bhe tou apne asal tasveer par ik nazar dalna kisi dousry ke bourai sy nazar hataanay mein madad dy ge or youn khud par nazar rakhnay sy
“main kuj v nai”
k sachay ihsas dil mein baidar honay lagtay hein.

6. Ab jab apnay ander ki halat or asliyat khud daikh laity hein tou is sy dil nadamat k is ehsas ki waja sy ainda hamesha ajzii mein jhuka rahay ga or ye Allah ki pasandeeda dil ki halat hy.

7. Apni haqeeqat khulnay k baad ab aagy Allah ki aashnaai or qurbat mein chahay kitnay he aalla maqam par pohonch jaein…
Par kabi bhe khud ko is maqaam k qaabil nai samjhein gy balkay or sharminda ho kar dil aajzi mein jhukta jaey ga k mujh ghatia par itna fazl karrm or aatta…

8. Dil mein ajizi k ihsas k paida honay ke wajah sy ham shukar mein rahein gy jo or aalla maqam ke jaanib barrhnay ki raah aassan karay ga.

9. Ham jitnay gehray ghotay laga kar parrat dar parrat apnay dil mein outray hon gy tou aagay kam az kam dil ke itnii he gehraai mein Allah ke ashnaai or piyaar ka ihssas outarta chala jaey ga

10. Is step mein ham ny apnay andar apnay Mann mein Doub kar khud he ander k band darwazay kholay,
Kion k in darwazon ke kunddi ham ny apnay ander sy lagai hoe thee jo ham ny he ander sy he khol de. Bahir sy koe khat khata tou sakta hy par khol nai sakta…
Ham jitnay band darwazay kholtay jatay hein outna Allah ka noor or aashnaai andar outarti jaey ge or ander ki zulmatein khatam ho kar noor e aashnaai ke roshni phailti jaey ge.

Dil sy dua :)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *