Step 9 B – Maqaasid

*~*Step 9th B Krwany k Maqasid*~*

1. Is step ka naam hy,
“Zaviya e Nazar.”
Is step mein dil mein outray Allah k ihsas e aashnai or noor e emaani ke wajah sy zindgi k moamlaat ko pehlay sy mukhtalif or badlay hoay zavia e nazar sy dekhna seekhtay hein.

2. Wo tamam moamlaat jinhein pehlay ham duniyavi nuqta e nazar sy dekhtay, janchtay or parakhtay hein is step mein inhi moamlaat ko Allah k ihsas sy jorr kar oun ko aik mukhtalif zaviya e nazar sy dekhtay hein tou in maomlat ke haqeeqat ham par khulti hy or is hawalay sy hamaray andaz e fiker mein mussbat tabdeeli or behtari anay lagti hy.

3. Jab kisi bhe moamlay ko Allah k ihsas sy jorr kr aik mukhtalif zavia e nazar sy dekhtay hein tou is badlaao ke wajah sy hamaray ihsas or soch k tamam tarr zaviye Allah k ihsas k tabay honay lagtay hein.

4. Zindgi k moamlaat mein badlay hoay zavia e nazar ke wajah sy khud zindgi or is k moutaliqa moamlaat k maani badal jatay hein or yehi badlao in moamlaat mein Allah k yaqeen par khara hona sikhata hy or eman mazboot karta hy.

5. Moamlaat mein Zavia e Nazar ka badalna hamein fani dunia k moamlaat mein phanssnay sy bachata hy.
Hamaray Zavia e Nazar ka badalna hamaray maomlat parr asar andaz hota hy.
Hamaray duniyavi moamlat jin ka markaz pehlay sirf fani dunia hoti hy jab ham Allah ke qurbat k safar mein agay barhtay hoay oun moamlaat mein apna Mehvar o Markaz Allah ke zaat ko bana letay hein tou zindgi k moamlaat mein badlaao anay lagta hy.
Yehi badlao haq ke raah par outhtay qadam taizi sy agay barhata hy or yeh outhtay qadam dil mein Allah sy qurbat ke aashnai k ihsas dil mein outartay chalay jatay hein or youn haq ke raah ka safar taizi sy jari rehta hy.

Dil sy dua :)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *