Step 9 – Step 9 krwanay k Maqasid

*~*Step 9 A Krwany K Maqasid*~*

1. Is step k 2 part hein.

Pehlay part ka naam hy,
“Mahi Mere Naal”

Is step mein Allah ke sifat par tafakur kar k in sy aashna hona seekhtay hein k kaisay Allah ke yeh sifaat Allah k banday par azal, dunia or abad mein bhe jalwa garr hoti rehti hein.

2. Allah ke siffat ke har zamanay mein apnay banday par jalwa gari k parday ham par khultay hein tou andar yeh yaqeen rasikh honay lagta hy k Allah tou azal sy abad tak har waqt ham par apni siffat ke jalwa gari sy hamaray sath hy or is azli o abdi ta’aluq par yaqeen ke wajah sy Allah par eman mazboot honay lagta hy.

3. Allah ke siffat ke ghehrai or Osske shan ke wusat ka ihsas jab hamaray dil mein outarta hy k Wo tou azal mein bhe ham par youn apni sifaat ke jalwa garri kar raha tha tou dunia mein bhe in siffat ke khud par jalwa gari ka ihsas yaqeen ke sorat dil par outarta hy.
Yeh yakeen hamein har waqt is talash or tajassus mein rakhta hy k kaisay kaisay, kahan kahan or kis tara Allah ke siffat mujh par jalwa garr ho rahi hein.
Or yehi yaqeen jab dil mein rasikh hota hy tou Allah k sath qurbat or muhabat ka ta’aluq mazboot hota chala jata hy.

4. Jab azal mein Allah ke siffat ke aashnai ham par khulti hy tou hamaray andar Allah ke siffat par har lamha ham par dunia mein jalwa garr honay ka yaqeen outarta hy. Is tara lamha lamha Allah ke siffat parrt darr parrt khulnay lagti hein or jab hamaray andar yeh yaqeen rasikh ho k Allah ham par apni siffat ke jalwa garri kar raha hy tou phir yeh yaqeen andar outarta hy k jab ham abad ke taraf qadam barhaein gey tou tab bhe Allah ke siffat ke jalwa garri ham par aisay he ho ge or Wo tab bhe hamein nai choray ga.
Azal or dunia mein Allah ka apni siffat k sath ham par meharban hona hamaray yaqeen barhata hy k Wo abbad mein bhe apne tamam sifaat ke jalwagari ham par aisay he karay ga.

5. Roz e Azal sy Rooh mein outri ashnai ke buniyad pr azal, dunia or abbad mein Allah ke siffat sy ashnai ke haqeeqat k darr jab ham par khulltay hein tou rooh apnay Malik e Haqeeqi sy qurbat k safar mein aagay barhti chali jati hy.
Dil sy dua :)


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *