Tip # 42 : Worker Hkr k saath direct relationship mein na rahy

“Worker Hkr k saath direct relationship mein na rahy” 

Ustaad kisi trah se bhi apni zaati pasandeedgi mein phans kar aik Hkr ko ziada tawajo, piyar aur waqt na dey….
Balkay tamam Hkrs usky liye barabar houn…
Albata jo khud se jazba aur talab rakhta ho khud ba khud ziada rabty mein reh kar ziada wasool karay ga….
Lekin Ustaad apny tour par kisi tarah bhi kisi ko youn tarjeeh, apni pasand k mutabik na dey….
Agar aisa kary ga to ye uska zatiyaat mein phasna hoga, jo uski markaz se doori ka sabab banay ga aur uski working ko bhi mutasir karay ga….
Ustaad piar dey…
Apnaiyat dey…
Or har aik ko ye ehsas ho k jese ustaad us se ziyada to kisi se piyar nai karty…
Yehi ustaad ka khalis pan bhi barqarar rakhy ga aur uski working bhi behtareen terha se jaari rehe gi….

از : ❤ شاہ جی

? “حق کا علم تھامے رکھنا” ?
(محمدی حسینی سلسلہ )


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *