Tip # 64 : Worker ka hkr ko easy level per la ker baat khulwaana

“Worker ka hkr ko easy level per la ker baat khulwaana” 

Jub koi Hkr aata hy or ustad ky sath attach hota hy to wo us sy khul ker bat nahi ker sakta… Byshak ky us ka koi masla bhi ho….
Laikin jub tak us ko aik aitmad or apnaiyat mehsoos nahi ho gi tab tak wo khuly ga nahi…. Piyar dyna…
Apnaiyat ka ehsas dyna…
Aitmad or waqt dyna…
Ye cheezain khud ba khud andar khulwati hyn…..
Is sy result ziyada acha aata hy….
Bajaye is ky ky hum kahen ky jub tak tum khul ker nahi batao gy hum kuch nahi ker sakyn gy…..
Kiun ky aik ne’yaa aany wala bhi insan hy jo ky aik naye mahool ka hisa banta hy…..
Usy naye setup ka hissa ban’ny main waqt to lagy ga…..
Is liye aik worker ki hysiyat sy zaroori hy ky pehly case ky sath yaqeen our dosti ka rishta banayen phr us ky liye aagy bharna aasan ho jay ga…..

از : ❤ شاہ جی

? “حق کا علم تھامے رکھنا” ?
(محمدی حسینی سلسلہ )


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *