Tip # 67 : Worker ka ‘main’ per nahin balkay ‘TU’ per yaqeen hona

 “Worker ka ‘main’ per nahin balkay ‘TU’ per yaqeen hona”

Working kerty huye kabi bhi sabar ka daman hath sy na chutny paye….
Worker ny aala zarfi ka muzahira kerna hota hy our jb hum khud apni manzil ky sath jury hon gy to andar yaqeen kay aik khas level per ho ga….
Kay main tanha nahi hoon….
Bal’ky myry sath “Malik” hyn ….
Wohi meri is power ka zariya hen….
Jo ky her mushkil main mery kaam aaye gi….
Kiun ky jab hamara “Wahan” tanka mazboot ho to sabar ka daman nahi chut’ta…..
Haq ki raah sabar ki raah hy…
Bardasht ki raah hy…. Yahan aesa ehsas nahi rakhna hota ky main koi bari cheaz hoon or my ye sb ker sakta hoon…
Bal’ky main ko khatam ker ky “TU” per yaqeen mazboot rakhna hota hy….
Kay Tu kerwa ly ga or Tu hi mujy thamy rakhy ga.

از : ❤ شاہ جی

? “حق کا علم تھامے رکھنا” ?
(محمدی حسینی سلسلہ )


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *